Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Monday, February 4, 2019

NAMAZ KA MASNOON TARIKA.



Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam ne Farmaya Namaz iss Tarah Parho Jiss Tarah Mujhe Parhte Huwe Dekhte ho. Sahi Bukhari Kitab_ul_Azaan Hadis num 631

Namaz_e_Nabvi SallALLAHu AlaihyWasallam

1_Takbeer_e_Teh reema ka bayaan Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam ne Farmaya Namaz ( k Doraan men Baat Cheet ) ka Haraam Hona Takbeer hi k Baad hey.or iss (Baat Cheet) ka Halaal Hona Salam hi (k Baad) hey. Abu Dawood Kitab_ut_Tahara at Hadis Num 61

2_Qayaam ka bayan Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam ne Farmaya Khare hokar Namaz Parho, Taqat na ho tu Beth kar parh lo, iski Taqat na ho tu Phir Lait kar Namaz Parh lo. Sahi Bukhari Kitab_ut_Taqsee r Hadis Num 1117

3_Rafaydain (Yani dono Hathon ko Uthana) Abdullah Bin Umar RaziyALLAHU Anhu farmate hen k Mene Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam ko Takber kehtehuwe dekha k aap Takber Kehte huwe apne dono Hathon ko Kandhon k Baraber uthate they. Sahi Bukhari Kitab_ul_Azaan Hadis Num 738

4_Hath Baandhna Sahal bin Saad RaziyALLAHU Anhufarmate hen k Logon ko Hukum diya Jata tha k woh Namaz men Dayaan hath ( right hand ) Baayen ( left ) Ziraa (the part of hand which starts from the middle finger of the hand and its end on elbow) par Rakhen. Sahi Bukhari Kitab_ul_Azaan Hadis Num 740

5_Seney Par Hath Baandhna Waaiel Bin Hajar RaziyALLAHU Ta’ala Anhu Farmate hen Mene Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam k sath Namaz Parhi tu Aapne Apna Sedha Hath ulte Hath par Rakh kar ( Dono Hath) Seney par Baandhe. Sahi ibne Khuzaima Kitab_Us_Salat Jild 1 Page 243 Hadis Num 479 NOTE Naaf k Nechey Hath Baandhne ki koi Sahi Hadis Nahi Hey.

6-Dua_e_istifta ah Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam Namaz men Takber_e_Tehree ma k baad yeh dua parha karte they. Tarjuma”( Translation) Aey ALLAH mere or mere Gunaahon k Darmiyan dori daal de jiss tarah tu ne Mashriq or Maghrib k Darmiyan dori daal rakhi hey.Aey ALLAH mujhe mere Gunaahon se iss tarah Saaf kar dek jiss tarah Sufaid Kapre se Mail Saaf kiya jata hey.Aey ALLAH mere Gunaahon ko Paani, Baraf or Oulon se Dhoo Daal. Sahi Bukhari Kitab_us_Salat Hadis Num 744 NOTE Arbi ibaarat k liye Asal Kitab ki Taraf Rouju karen.jazakALLA H

7_Qiraat ka bayan Surae Fatiha Parhna Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam ne farmaya Jiss Shakhs ne Surae Fatiha nahi Parhi uss ki Namaz nahi. Sahi Bukhari Kitab_ul_Azaan Hadis Num 756 OR Musnad_E_Ahmad ki ek Riwayat men hey k kuch Sahabae Karam Rizwanullahi Alaihim Ajmaeen Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam k Pechey Qiraat karte They tu aap Sallallahu Alaihy Wasallam ne unn ko apne PecheyQiraat karne se mana Farmaya orFarmaya k imam k Pechey Surae Fatiha k ilawa kuch nahi Parha karo kiyo k jo Surae Fatiha nahi Parhta uss ki Namaz nahi hoti. Musnad_E_Ahmad Hadis Num 23047

8_Aameen Kehna Sayadna Waaiel bin Hajar RaziyALLAHU Anhu Farmate hen kNabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam jub Walzz_Zualleen Parhte tu Buland Awaaz se Aameen kehte. Abu Dauood Kitab_us_Salat HadisNum 932 Sayadna Abdullah bin Zubair RaziyALLAHU Anhu or unn k Muqtadiyon ne iss Qadar Buland Awaaz se Aameen kahi k Masjid Goonj uthi. Sahi Bukhari Kitab_ul_Azaan Taaleeqan

9_Surae Fatiha k Sath Dosri SuratMilana Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam ne Ek Shakhs se Farmaya Jub tu Qibla Rukh Hojaey tu Takbeer (Tehreema) keh.Phir Surae Fatiha Parh, Phir jo tu Parhna Chahta Hey Parh. Sahi ibn_e_Habban Hadees Num 1787

10_Ruku men jate huwe Or Ruku se Uthne k Baad dono Hathon ko Kandhon tak Uthana Abdullah ibne Umar RaziyALLAHUAnhu Farmate hen k Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam Jub Namaz Shuro Kartetu Kandhon tak apne dono Hathon ko Uthate or isi Tarah Ruku men jate Waqt or Ruku se sir Uthate Waqt karte They.or dono Sajdon k Darmiyan Hathon ko nahi Uthate They. Sahi Muslim Kitaab_us_Salat Hadees Num 861

11_Tamaam Sahabaa se Rafaydain ka Saboot imam Saeed bin Jubair Rehmatullah Alaihy ne Rafaydin kmutalliq Farmaya k yeh ek aise Chez hey k Jiss k sath Namaz ki Zeenat Hojati hey.or Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam k Sahabaa Shrou Namaz men ,Ruku k Waqt, or Ruku se sir uthaane k baad Rafaydain Karte they. Sunan_ul_Kubra Jild 2 Page Num 109 Hadees Num 2525

12_Ruku ka Bayaan Abu Humaid Saadi raziyALLAH Anhu Farmate hen k Jub Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam Ruku Karte tu Dono Hath Ghuthnon par Mazbotise Jamaa lete.apni Ungliyon ko Kholte, phir apni Kamar ko iss Tarah Jhukate k Sir na Opar Utha Huwa Hota or na Bilkul Jhuka Huwa hota. Abu Dawood Kitab_us_Salat Hadees Num 731

13_Ruko or Sajdah itmenan se Karna Huzaifa bin Yaman RaziyAllahu Anhu ne ek Shakhs ko Namaz Parhte huwe Dekha woh Ruko orSajdah Pori Tarah ( itmenan se ) nahi Karta tha tu Huzaifa RaziyAllahu Anhu ne uss se Farmaya k tu ne Namaz hi nahi Parhi or agar tu Mar gaya ( isi Tarah Namaz Parhte huwe ) tu, tuuss Tarike par nahi Marega Jiss par ALLAH ne Muhammad Sallallahu Alaihy Wasallam ko Paida kiya. Sahi Bukhari Kitab_us_Salat Hadees Num 754 Lehaza Apni Namazon ki Fikar Karen or Namaz Men Aetedaal Yani Thehrao Lekar Ayen.JazakALLAH

14_ruku se uth kar dua parhna Ruku se uth kar pehle dono Hathon ko Kandhon tak Uthaen jis ki Daleel Post num 10 men Guzar Chuki hey phir Yeh Dua Parhen.Arabic ibaarat k liye Bookki Taraf Ruju Karen. Translation. …Aey hamare Parwardigaar har qisam ki ta’areef sirf aap k liye hey.aasmano or zameen or har uss chez k bharao k baraber jo aap chahen or bande ne jo apki ta’areef or buzrugi ( bayan ) ki woh aap hi k laaiq Hey or hum sub aap k hi bande hen.Aey ALLAH koi rokne wala nahi uss chez ko jo aap ne di or koi dene wala nahi uss chez ko jo aap ne rok di.or kisi dolat_mand ko uss ki dolat_mandi apke azaab se nahi bacha sakti. Sahi muslim kitab_us_salat hadisnum 477

15_RUKU SE SAJDE MEN JAANE KA TARIKA Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam ne farmaya Jub tum Sajde men jao tu Ount ki Tarah na Betho Balke Pehle hath Rakho phir Ghuthne Rakho. Abu Dawoud Kitab_us_Salat Hadees Num 840 Sahabiye Rasool Sallallahu Alaihy Wasallam ka amal. Naafay Rematullah Alaihy Farmate hen k Abdullah ibne Umar RaziyALLAHU Anhu Ghuthno se Pehle apne Hath Rakha karte hey or Farmate They Rasoollullah Sallallahu Alaihy Wasallam Aisa hi Kiya Karte They. Sahi ibne Khuzaima Jild 1 Page 318

16_ Nabiye Akram Sallallahu Alaihy Wasallam ne Farmaya Hamen (ALLAH ki taraf se ) Hukum Diya Gaya hey k hum Saat (7) Haddiyon par Sajdah Karen or Apne Kapre or Baal ( Hair) Na Sameten. Sahi Bukhari Kitab_ul_Azaan Hadees Num 810

17_Sajdah Karne ka Tarika Abu Humaid Sa’adi RaziyALLAHu Anhu Farmate hen k jub Nabiye Akram SallALLAHu Alaihy Wasallam Sajdah karte tu Haath Zameen apr Rakhte or Baazu na Zameen par Bichate or na Samet kar Pehlu se Laga lete. Sahi Bukhari Kitab_ul_azan Hadees Num 828

18_ Sajdah men Pairon ki Kefiyat Amma Aisha RaziyALLAHu Anha Farmati hen mene Rasoolullah SallALLAHu Alaihy Wasallam ko Raat ko Bistar se ghum paya menunn ko Talash karne lagi tu mera hath apke Qadmon k ander waale hisse par laga or aap Sajdah ki Halat men they.aap k Paaon khare they Eariyan mili hui theen or Aap ne Paoon ki Ungliyon ko Qibla rukh kiya huwa tha. Sahi Muslim kitab_us_salat Hadees Num 1090

19_Dono Sajdon k Darmiyan Bethna Baraa bin Aazib RaziyALLAHu Anhu Bayan Karte hen k Nabiye Akram SallALLAHu Alaihy Wasallam ka Sajdah or Ruku or dono Sajdon k Darmiyan ( Bethna ) Takriban Baraber hi hota tha. Sahi Bukhari Kitab_ul_azaan Hadees Num 780 Muhammadilibrar y.com Muhammadi Sms Club

20_Jalsa_e_ista raahat Maalik bin Huwairas RaziyALLAHuAnhu Farmate hen k Mene NabiyeAkram SallALLAHu Alaihy Wasallam ko Dekha aap jub TaaqRakat men Hote tu ( Yani Pehli orTeesri Rakat men ) Uss Waqt tak nahi uth_te They k jub tak k Thori der Beth na Lete. Sahi Bukhari Kitab_us_Salat Hadees Num 823 Muhammadilibrar y.com Muhammadi Sms Club

21_ Dosri Rakaat Abu Hurairah RaziyALLAHu Anhu Bayan Farmate hen k jub Nabiye Akram SallALLAHu Alaihy Wasallam Dosri Rakaat k liye Khare Hote tu ALHAMDULILLAHE RABBIL AALAMEEN se Qiraat Shuro Karte or ( Duaey isteftaah parhne ) k Liye Khaamosh na Hote. Sahi Muslim Kitab_ul_Masaji d Hadees Num 1356 [Note] Baaki Tamam Rakaat isi Tarah Parhen Jese Pehli Rakaat Parhte hen.

22_Tash’hud Men Bethne ka Tarika Abu Humaid Saa’di RaziyALLAHu Anhu Farmate hen k Nabiye Akram SallALLAHu Alaihy Wasallam jub Dosri Rakat men Tash’hud k Liye Beth_tey tu Bayaan ( left ) Paon Bicha kar uss par Beth_tey or Dayaan ( right ) Paon Khara kar Lete. Sahi Bukhari Kitab_ul_Azaan Hadees Num 828

23_Tash’hud men Shahadat ki Ungli se ishara Karna Nabiye Akram Sall’ALLAH’u AlaihyWasallam jub Tash’hud men Beth_tey tu Seedhe Hath ki Shahadat ki Ungli k ilawa Tamam Ungliyan Band kar lete.OrShahadat ki Ungli ko Uthaa lete they Or Uss se ishara Karte. Sahi Muslim Kitab_ul_Masaji d Hadees Num 1307,1308,1309, 1310,

24_Teesri rakat 3 Rakat ya 4 Rakat waali Namaz men jub Pehle Tash’hud se Uthenge tu ALLAH O AKBER Kehte huwe dono Hathon ko Kandhon tak Uthana Abu Huraira RaziyALLAHu Anhu Farmate hen k Nabiye Akram SallALLAHu Alaihy Wasallam do Rakaton k baad Beth kar jub khare hote tu ALLAH O AKBER kehte. Naafay Rehmatullah Alaihy Farmate hen k Abdullah ibne Umar RaziyALLAHu Anhu jub do Rakat se khare hote tu Rafaydainkarte or Farmate k Nabiye AkramSallALLAHu Alaihy Wasallam Aisa hi Kiya Karte They. Sahi Muslim Kitab_us _Salat Hadees Num 868 Sahi Bukhari Kitab_ul_Azaan Hadees Num 739

25_Aakhri Tash’hud Abu Humaid Saadi RaziyALLAHu Anhu Farmate hen k Nabiye Akram SallALLAHu Alaihy Wasallam jub Akhri Rakat men Tash’hud men Beth_tey tu Daayen ( Right ) Paaon ko Khara Karte or Baayen ( Left ) Paaon ko (Daayen Paoon ki Pindli k Necheyse ) Bahar Nikaalte or Zameen par beth Jaate. Sahi Bukhari Kitab_ul_Azaan Hadees Num 828

26_Akhri Tash’hud ki dua Nabiye Akram SallALLAHu Alaihy Wasallam ne Farmaya k jub Tum men se koi Tash’hud (men Attahiyat or Durood_e_ibraah imi k baad dua) Parhe tu 4 Chezon seALLAH ki Panah Pakre. ( or ) Kahe ya ALLAH men Panah Pakarta honTeri Jahannum k Azaab se or Qabar k Azaab se or Zindagi or Maut k Fitne se or Dajjal k Fitne se. Sahi Muslim Kitab_ul_Masaji d Hadees Num 1324 NOTE: Arabic ibarat k Liye Asal Kitab ki Taraf Ruju Karen Yahan hum ne sirf Translation Naqal ki hey.JAZAKALLAH

27_Salam ka Bayaan Duaen Parhne k Baad Daaeyn Taraf ( Right Side ) Chehra Pherenor Kahen Assalamo Alaikum wa Rahmatullah.Phi r Baaeyn Taraf ( Left Side ) Chehra Pheren or Kahen Assalamo Alaikum Wa Rahmatullah.Or Nabiye Akram SallALLAHu Alaihy Wasallam iss had tak Apna Chehra Pherte they k aap k Rukhsaaron ki Sufaidi Dekhi Jaati thi. Abu Dawood Kitab_us_Salat Hadees Num 996