bismillahirrahmanirraheem
GYAARVI (1)U=>
Gyaarvi
- Urdu, NON-ARABIC lafz hai.
- Dus(10)vi ke baad, (11th).
- Nabi(SAW) ARABI,
- Quran ARABIC Me naazil hua,
- Shari'at ARABIC Me,
- Deen MukaMMal ARABIC Me hua.
GYAARVI ka Ta'alluq;
- URDU zubaan,
- Hind-Pak Bar-Sagheer ke logo se hai.
- NA Nabi(SAW)se,
- NA Arabic zubaan se hai.
GYAARVI naaM ki, IslaM Me;
na koi Eid,
na koi RasM,
na koi aMal,
na koi Neki aur
na hi koi Wajood hai.
- IslaM ka GYAARVI se KOI Taa'lluq NAHI.
Ye ek NAYI cheez(BIDDAT) hai.
Iske karne se KOI Sawab NAHI, balke GUNAH hai.
# Deen Me 'HAR Nayi Cheez', BIDDAT hai.
Aur 'HAR Biddat', GUMRAHI hai.
> Abu Dawood 4609.
# Aur 'HAR GuMraahi',
AAG (JahannuM) ki taraf le jaane wali hai.
> Ibn KhuzaiyMa 1785.
Allah ne IBADAT(har NEK AMAL ko) MUQARRAR kar diya hai.
# HuMne(Allah),
tuM Me se har(UMMat) ek ke liye,
ALAG SHARIYAT aur Kushadaah RAAH-e-AMAL banaya hai.
> Maeda(5):48.
# HuMne(Allah),
HAR UMMat ke liye
Ek Raah (AhkaM-e-Shariyat) MUQARRAR kar di hai
aur unhein ISI par chalna hai .
> Hajj(22):67.
Sabse Nek, Behtareen aur Ibaadat-Guzaar Insaan banna hai?
# 'HARAAM cheezon se Bach jaao',
sabse B-E-H-T-A-R-E-E-N 'IBAADAT-GUZAAR' ban jaaoge.
> TirMidhee 2305.
HAR Biddat, Sunnat ke Khilaaf hoti hai aur us par aMal karna 'HaraaM' hai.
# Jo cheez tuM ko Rasool(SAW) de, WOH le lo;
aur jis se MANA'A kare, us se BAAZ raho(Bach jaao).
> Hashr(59):7.
# Aye IMaan walo !
- TuM ALLAH ki Itaa'at kiya karo aur
- RASOOL(SAW) ki Itaa'at kiya karo aur
'apne Aa'Mal BARBAAD NA karo'.
> Surah MuhaMMad(47):33.
Allah ka Deen MukaMMal ho chuka hai.
"Maine(Allah) aaj tuMhare liye,
tuMhara Deen MUKAMMAL kar diya hai."
> Maeda(5):3.
- Allah ke Deen Me haMare Pyare Nabi(SAW) ne,
'GYAARVI jaisi KOI RasaM' ka
NA hi Zikr kiya aur
NA hi Manaane ka hukM diya.
- GYAARVI ke naaM par aise RasooMat Manaana IslaM NAHIN, 'Be-Deeni' hai.
- Inka ehtaMaaM saraasar BIDDAT hai.
isliye ke aisi RasaM,
NA Nabi(SAW) ne,
NA Khulafaa-e-Rashideen(RA) ne,
NA Sahaba(RA) ne,
NA Tabai'een(Rh) ne,
NA Taba'a Tabai'een(Rh) ne,
NA Aa'iMMa(Rh) ne,
NA Mufassireen(Rh) ne aur
NA Muhaddiseen(Rh) ne Manaayi,
NA aisa koi waaqiya saabit hai, jis se iska saboot Milta ho.
Is RasaM ka
-NA Allah ke Deen se aur
-NA hi Nabi(SAW) ki Sunnat se KOI Ta'alluq hai,
balke yeh Ahle-BIDDAT ki den hai.
- Yeh RasaM (Biddat) KAB aur KAISE shuru' hui?
- 'Ahle-Biddat'
GYAARVI ko 'Shaykh Abdul Qadir Jilani' ke naaM Eesaal-e-Sawaab,
ke taur par Manaate hain.
Is Biddat ki TAARIKH (History)->
AllaMa Ya'fi, 'Qurrat-un-Naazirah' Me,
page 11 par likhte hain;
"Peeran-e-Peer,
'Har saal Rabi-ul-Akhir ki GYAARAH' ko Nabi(SAW) ki NIYAZ [Nabi(SAW)ka URS] dilvaya karte.
Ye NIYAZ itni Mashoor-wa-Maqbool hui ke,
Peeran-e-peer 'HAR Maah ki Gyaarah taarikh ko', Nabi(SAW) ki Niyaz dilvate.
Rafta rafta, yehi NIYAZ ab Khud Shaykh Abdul Qadir Jilani ki Niyaz qaraar payi."
> Taaruf Syedna Ghaus-e-AzaM, pg 16.
(Faiz AhMad Owaisi QADRI).
IslaM Me,
- NA Urs,
- NA YauM-e-Wilaadat,
- NA YauM-e-Visaal aur
- NA koi aise RasooMat
Manaane ki Ijaazat aur koi Jagah hai.
- Ahle-Biddat,
GYAARVI ko 'Shaykh Abdul Qadir Jilani' ki taraf nisbat karte hain.
- Abdul Qadir Jilani 471 Hijri Me,
[Wafaat-e-Rasool(SAW) ke Chaar Sau Saathh(460) saal baad] paida hue
aur Wafaat 561 Hijri ko paayi.
- KaM-az-kaM 460 saal Hijri tak to GYAARVI ka koi Wajood hi NA tha.
Nabi(SAW)ne farMaya:
Sab se
- BEHTAREEN ZaMaana, Mera ZaMaana hai;
- Iske baad, Baad aanewala ZaMaana hai;
- Uske baad, uske Baadwala ZaMaana hai.
> Bukhari, 3651.
Quroon-e-Salasa (Behtareen Teen ZaMaane)Me,
GYAARVI jaisi koi RasaM/Cheez NAHI thi.
Ahle-Biddat ke GYAARVI ke Manane ke kai Asbab/ Wajuhat/ Maqaasid hain,
InMe se kuch ye hain.
(Abdul Qadir Jilani se)
- MOHABBAT,
- Unka KHAUFF/DARR,
- Unse UMMEED,
- Unki SHAFA'AT,
- Unko ESAAL-E-SAWAAB waghaira.
1. MOHABBAT-
Abdul Qadir Jilani ki Be-Inteha MOHABBAT Me GYAARVI Manaate hain.
Aur logon Me baaz aise bhi hain,
jo "Allah ke Shareek" AURON ko tehraate hue,
"Unse ALLAH SI MOHABBAT"
jaisi Mohabbat karte hain.
Aur jo log IMaan wale hain,
woh(har ek se badh kar) Allah se BAHUT hi Zyada Mohabbat karte hain.
Aur agar ye ZaaliM log us Waqt ko DEKH LE
jab Azaab inki ankhon ke saaMne hoga,
ke SAARI Quwwaton ka Maalik ALLAH hai.
Aur beshak, Allah SAKHT Azaab dene wala hai.
> Baqara(2):165.
2. KHAUFF/ DARR-
Gyaarvi NA Manaane ki soorat Me,
Abdul Qadir Jilani ka Khauff.
Ke woh inka NUQSAN kardenge.
(Gyaarvi par Doodh NA taqseeM karo,
to bhains Marne ka KHAUFF
ka qissa Mashoor hai).
Aye Mere Bando!
Bas MUJH(Allah) se Darte raho.
> az-ZuMar(39):16.
3. UMMEED-
Abdul Qadir Jilani se uMMeedein baandhte hain,
ke woh inki SAARI Zarooratein poori karenge.
MoMin ki sifat yeh hai ke woh log,
'ALLAH ki RehMat' se uMMeed rakhte hain.
> Baqarah(2):218.
4. SHAFA'AT-
Logon ka ye Aqeedah hai ke Abdul Qadir Jilani
QayaMat ke din SIFARISH karenge.
FarMa dijiye!
"TaMaaM Shafa'at"
Allah hi ke Ikhtiyaar Me hai.
> ZuMar(39):44.
Jaabir(RA):
Nabi(SAW) ne farMaya;
"Azaan ka Jawaab de,
aur phir khatM hone par yeh Duaa,
(AllahuMMa Rabba Haazihi........) padhe,
iske liye QayaMat ke din,
Meri [MuhaMMad(SAW) ki] SHAFA'AT Waajib ho jaati hai".
> Bukhari 4719.
Beshak Waseela Bahisht Me ek Darjaa hai,
jo SIRF EK Bandey ke Laaiq hai.
Aur Main[Nabi(SAW)] uMMeed rakhta hun
ke woh "Main hi hun".
> MusliM 875.
No comments:
Post a Comment