Bismillahirrahmanirraheem
12 WAFAAT KI BIDAT
Aaj kal Hamare Muaashrey Mein festival Jaisa Mahaul Hai, Har Taraf Sajaawat hi Sajaawat, Bilkul Lag Raha Hai Ke Musalmano Ka Bahut Hi Bada Festival Hai..
Lekin...
Aaiye Dekhte Hai Iss Pal Iss Waqt khud Nabi unke Sahaba Ikraam ke Yahan, Nabi ke Shahar Madinah Mein Ka Kaisa Mahaul Tha..
.........
Hazrat Aishah RA bayaan karti hai Nabi ke aakhri waqt ke lamhey ko..
Nabi sallahu alayhe wasallam ne Farmaya:
"Khaibar Mein jo Zehar wala Luqma maine apne munh mein rakh liya tha, iski takleef aaj bhi mehsus karta hoon. Aisa Maloom hota hai meri shah-rag [veins] iss zehar ki takleef se kat jayegi.
[Sahih Bukhari, Kitab Ul Maghazi, Hadees No. 4428]
Hazrat Ibn Abbas RA Farmaate hai,
"Jumeraat ke Din [Yani Nabi ki Wafath se 4 din Pehle, 8 Rabi Ul Awwal], Nabi ke beemari mein tezi paida ho gayi thi.
[Sahih Bukhari, Kitab ul Maghazi, Hadees No. 4431]
Hazrat Aishah Farmaati hai ke Beemari ki shiddat ki wajah se Nabi ki awaz bhaari pad gayi thi.
[Sahih Bukhari, Kitab ul Maghazi, Hadees No. 4435]
Hazrat Aishah RA Farmaati hai;
Nabi sallahu alayhe wasallam do Sahabi Ka Sahara Le Kar Chalne Lage The, Apke Paaon Zameen Mein Ghisat Rahe They.
[Sahih Bukhari, Kitab ul Maghazi, Hadees No. 4444]
Hazrat Aisha RA farmaati hai;
Jab Nabi SAW ka aakhri waqt tha, Apke Paas Paani ka ek pyala rakha gaya, Aap Paani Mein Haath Daalte Aur Chehre Par Pher Lete aur farmaate;
"Aye ALLAH! Maut Ki Sakhtiyon Par Meri Madad Farma.
[Sunan Ibn Majah, Kitab Al Janaiz, Hadees No. 1623]
..........
Ab Dekhye Madinah Ka Kya Mahaul Tha Iss Waqt;
Hazrat Anas RA farmaate hai;
Jab Aap sallahu alaihe wasallam Madinah Tashreef laaye they to har cheez roshan ho gayi thi aur jis din Aapki Wafath Hui, Madeeney Ki Har Cheez Andheri Ho gayi.
[Sunan Ibn Majah, Kitab Ul Janaiz, Hadees No. 1631]
Madinah Gham Ke Andherey Mein Dooba tha aur aaj hamare yahan sab taraf roshan mahaul hai.
..............
Ab Nabi ki Laadli Beti Hazrat Fatma Az Zehra ka haal dekhye..
Hazrat Anas RA Farmaate hai,
Jab Nabi sallahu alayhe wasallam ki beemari se bechaini barh gayi, to Fatma Az Zehra Kehti thi;
"Haaye Mere Abba Jaan Ko Kitni Bechaini Hai,
Phir Jab Nabi ki wafath ho gayi tab Tab Fatma Az Zehra Kaha Karti thi;
"Haaye Abba Jaan, Aap Apne Rabb Ke Bulaawe Pe Chale Gaye.
Phir Jab Nabi e Kareem ko dafan kar diya gaya tab Fatma Az Zehra Farmaati;
"Aye Anas, Tumhare Dil Nabi Par Mitti Daalne Ke Liye Kis Tarha Maan Gaye The"
[Sahih Bukhari, Kitab ul Maghazi, Hadees No. 4462]
..............................
Ab Zara tasawwur karye, iss waqt Nabi ke Sahaba par kaisa gham ka pahaad tut pada tha, Madina ka kya mahaul tha aur isi pal isi waqt yahan tak ke usi din ko Eid manaya jaa raha hai.Yahan kaisa festival jaisa mahaul hai.
No comments:
Post a Comment