Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Wednesday, February 19, 2014

AHLE HADITH KI TAAREEF: ULEMA KI NAZAR ME






BIsmillahirrahmanirraheem

 


AHLE HADITH KI TAAREEF: ULEMA KI NAZAR ME

 

Kahte Hain Ke 1322 Hijri Me Ahle Hadith Ulema Wa Arkaan Lahore Me Jama Hue Jinme Sheikh Muhammad Hussain Batalwi (Rh) Bhi Shamil They,

Is Ijlaas Me Is Amr par Bahes Hui Ke Ahle Hadith Ke Naam Se Kaun Shakhs Mausoom Ho Sakta hai, Bahes Wa Mubaahsa Ke Baad Qarar Diya Gaya

"Ahle Hadith Wah Hai Jo Apna Dastoorul Amal Wa Istadlal, Hadith Sahiha Aur Asaar Salafiya Ko Banaaye Aur Jab Uske Nazdeek Saabit Wa Muhaqqiq Ho Jaaye Ke Unke Muqable Me Koi Mu'aariz Masaawi Ya Usse Qawi Nahin Paaya Jaata Toh Wah Un Hadith Wa Asaar Par Amal Karne Ko Musta'ad Ho Jaaye Aur Us Amal Se Usko Kisi Imam Ya Mujtahid Ka Qol Bila'daleel Maane Na Ho"

Yani Ahle Hadith Wah Hai Jo Baraah E Raast Kitabulllah Aur Sunnat E Rasoollullah Ko Sar'chasma Hidaayat Samjhta Ho, Aur Un Har Do Se Baraah E Raast Istefaadah Karta Ho,

Aur Rasoollullah (Sws) Ke Irshad'giraami

"Taraktu Fikum Amraini Lan Tazaillu......."

Par Yaqeen Rakhta Ho, Har Wah Shakhs Ahle Hadith Hai JO Is Tareeqe Par Ghaam'zan Ho Khwaah Baaz Juzziyaat Me Ahle Hadith Ke Maroof Maslak Ke Mawafiq Na Ho,

Isi Tarah Wah Shakhs Jo Raful'yadain, Aameen Bil Jaher Wagerah Par Kaar'band Ho Lekin Quran Wa Sunnat Ko Baraah E Raast Sar'chasma Hidaayat Na Samjhta Ho , Wah Ahle Hadith Nahin,

Jaisa Ke Shaifaiyya Aur Hanabala Wagerah..

Ahle Hadith Ka Maslak Dalail Ko Maanna Hai, Khwaah Dalail Unhe Khud Mil Jaaye, Ya Kisi Aur Kitaab Se Mil Jaaye,

Chaahe Hanafi Kitab Me Hon, Ya Shafaiyah Ya Kisi Aur Ki Kitab Me,

Daleel Par Amal Karna Ya Uske Sahih Ya Ghair Sahih Hone Ki Tameez Karna Ya Dalaalat Wa Daal Madlool Me Mutaabiqat Malum Karna Mujtahid Ka Kaam Hai Na Ke Muqallid Ka,

Sheikh Muhammad Hussain Batalwi (Rh) Kahte Hain

"Jo Qaul Kisi Hadith Sahih Ke Mutaabiq wa Mawafiq Hoga, Wah Mazhab Ahle Hadith Kahlaayega, Aur Jo Qaul Jumla Hadith Sahiha Ke Mukhaalif Hoga Wah Mukhaalif Mazhab Ahle Hadith Hoga Aur Man'jumla Hadith Mukhtalif Ul Sehat Aur Mutzaad Ul Mafaad, Jis Hadith Ke Jis Maane Mukhtaar Salaf Se Koi Tamisk Karega Wah Mazhab Ahle Hadith Hoga,

Agar Koi Shakhs Kisi Hadith Ki Sehat Me MardooD Ho Ya Uske Muqaable Me Koi Aur Hadith Wa Dastawez Rakhta Ho Aur Us Hadith Ki Nazar Se Wah Us Hadith Me Taweel Karta Ho, Wah Munkar Hadith Nahin Hai, Jo Ahle Hadith Aalim Ya Koi Hanafi Ul Mazhab, Surah Fatiha Ko Waajib Na Samjhe Aur Us Par Kisi Aayat Maslan

" Faq'raoo Ma Tayassara Minal Quran"

Ya Hadith, Maslan

" Man Kaana'lah Imam"(Sunan Ibn Majah, Kitab Us Salaat Bab Az Qiratul Imam Hadith No 850)

Ya Hadith

"Iza Qirah Fantasu" (SAhih Muslim, Kitab Us Salaat Bab Tashhud Fil Salaat Hadith 404)

Se Isko Sahih Samjhkar Istadlal Kare Wah Bhi Ahle Hadith Hai,

Aur Jo Shakhs Surah Fatiha Ko Waajib Kahe Aur Is Hadith Pr

"La Salaati Liman Lam Yaqrah Alm Quraan " (Sahih Muslim Kitab Us Salaat, Bab WajooB Qiratul Fatiha Fil Qul Rakah Hadith 394 )

Se Istadlal Kare Wah Bhi Ahle Hadith Hai "

Janab Sanaullah Amritsari (Rh) Kahte Hain

"Ahle Hadith Laqab Jo Ke Pasandeeda Hai Isliye Hamare Bhai Muqallideen Is Lafz Ko Sunte Hi Kaha Karte Hain Ke Kya Ham Ahle Hadith Nahin ?? Tum Hi Ahle Hadith Ho ??

Iska Jawab Ye Hai Ke Jin Maana Me Ahle Hadith Apna Naam , Ahle Hadith Rakhte Hain, Un Maane Se Muqallideen Ahle Hadith Nahin Hain,

Ahle Hadith Aur Muqallideen Ke Tareeq Amal Bil'hadees Alag Alag Hain,

Ye Jab Usool Musallama Hadith Ko Doum Darja Qur'an Se Samjhkar, Aur Quraan Shareef Ke Baad Talaash Masail Ke Waqt Pahli Nazar Hadith Par Daalte Hain,

Agar Ba'qaida Hadith Se Wah Masla Mil Gaya Toh Fir Unhe Is Baat Ki Parwaah Nahin Rahti Ke Us Masla Me Kisi Ka Kya Mazhab Hai Aur Kisi Ka Kya Khyaal Hai ?? Zaid Kya Kahta Hai Aur Umro Kya Farmaata Hai ?? Balke Wah(Ahle Hadith) Be'khataka Us Par Amal Kar Lete Hain 

Yahi Wajah Hai Ke Wah Apne Fatawon Me Muqaddam Quraan Wa Hadith Likhkar Kisi Ka Qaul Likhte Hain , Toh Bataur Taeed Ke Likhte Hain Na Ke Asbaat Mud'da Ke Liye,

Inke dalail Me Siwaaye Quraan Wa Hadith Ke Aur Kuch Na Hoga, Aur Yahi Tareeqa Tamaam Salaf Wa Saaliheen Ka Tha,

Magar Hamare Bhaiyyon Ka Ye Tareeqa Nahin Balke Wah Apni Daleel Apne Imam Ka Qaul Naqal Karke Aksar Usi Par Amal'paira Ho Jaate Hain,

Agar Kisi Mukhaalif Ka Khauff Ho Toh Us Qaul Ki Mahaz Taid Ke Liye Kisi Hadith Ki Talaash Karenge, Mili Toh Theek Warna Itna Ki Kaafi Hai Ya Yahi Riwaayat Imam Sahab Se Hai, Kah Dete Hai"

Aur Agar Koi Hadith Imam Ke Mazhab Ke Khilaaf Mili, Toh Ye Toh Unse Ho Hi Nahin Sakega Ke Imam Ke Qaul Ko Chhod Den, Aur Hadith E Mustafa (Sws) Par Amal Karen,

Balke Sar'dast Hadith Rasool Ko Taweel Kar Lenge Ya Chhod Denge Ke Khuda 

Jaane Ye Hadith Kaisi Hai ?? Sahih Hai Ya ghair Sahih,

Phir Agar Sahih Hai, Toh Mansookh Hai Ya Ghair Mansookh,


Magar Ahle Hadith Ko In Baaton Ka Khyaal Bhi Na Aayega, Pas Yahi Wah Bina Hai Jiski Wajah Se Ahle Hadith Toh Ahle Hadith Kahlaane Ke MusTahiq Hain, Muqallideen Nahin,

Aur Ghaliban Ye Wajah Bilkul Numaayan Hai, Jiski Tasleem Me Kisi Ko Chun Wa Chara Na Hogi,

Maine Ek Bade Hanafi Aalim Se, Jo Sheikh Ul Qul Hz Maulana Sayed Muhammad Nazeer Hussain Dehlawi (Rh) Ke Shaargird They, Ye Apne Kaano Se Suna

"Ham Log Toh Hadith Isliye Padhte Hain Ke Tum Log Jo Hamen Tang Karte Ho Jawaab De Saken, Warna Amal Ke Liye Hamen Kya Haajat Hai"

Jab Maine Hairaani Se Unka Ye Kalaam Suna Toh Farmaane Lage

" Aap Hairaani Se Sunte Hain Aur Ye Nahin Sochte Ke Jab Ham Muqallid Hain Toh Hamen Apne Imam Ki Tahqeeq Se Kis Ki Tahqeeq Acchi Hai ?? Jo Kuch Wah Tahqeeq Kar Gaye Hain, Hamare Liye Toh Wahi Sahe Raah Hai "

Pas Yahi Wah Farq Hai Jis Par Ye Pyaara Naam Mabni Hai Warna Yun Toh Kaun Hai Jo Ye Laqab Apne Haq Me Na Chaahta Ho...."

No comments:

Post a Comment