Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Sunday, February 2, 2014

AHMAD RAZA KHAN AUR UNKE HAZAM NA HONE WALE FATAWE (UNDIGESTED FATAWE)




Bismillahirrahmanirraheem


Barelwiyat ke taruf ko aage badate hue maine ye zaroori samjha ki ab ala hazrat(ahmad raza khan) ke kuch aise kaarnaame bayan kar diye jaayen.. Jo hajam na ho saken..

Jaisa ki barelwi bhai ahmad raza ke gud gaate hain.. Ki unka chehra dekh kar Bahut se angrez musalmaan ho gaye wagerah wagerah..


Pahle aap unki gandi zabaan ka tazkirah karte chalen aur batayen ki kya aisi zaban kisi alim ya musalman ko shobha deta hai??

Ahmad raza wahabion ko gaali dete hue likhte hain-

" Kufr party wahabiya ka buzurg iblees laeen---khabeeson! Tum kaafir thaher chuke ho. Iblees ke maskhare, dajjal ke gadhe--are munafiqon--wahabiya ki poonch, zaleel imarat qaaroon ki tarah tahtussara pahuncti hai najdiyat ke kawwe, sisakte, wahabiyat ke boom bilakte aur majbooh gustakh bhadakte"

(KHALISUL ETIKAAD 2-20)

ALLAHUAKBAR,

Shah ismael shaheed ke baare me farmate hain-" sarqash , taaghi, shaitaan, Laeen, banda daaghi"

(al aman wal oola 112)

Fatawa rizwiya me farmate hain-" gair muqallid wa deobandi jahannum ke kutte hain rafziyon(shia) ko inse bura kahna shiaon par zulm karna jaisa hai"

(fatawa rizwiya 6-90)


"jo shah ismael aur nazeer husain etc ko maanta ho, iblees ka banda wa jahannum ka kunda hai. Gair muqallid sab bedeen pakke shaitaan poore laanat waale hain"

(subhanus subuh 134)

Ye to thi inki mubarak zubaan jo shayad hi kisi ahle sunnat wal jamat ke ulama ya alim ne kahi ho.....lekin ye thahre Aala hazrat yani sabse bade hazrat....hamare nabi to hazrate sallallaho alaihi wasallam hain.. Aur ye janab aaala hazrat hain....


Janab ahmad raza ne apne aapko ambiya ka darja dene ki bhi koshish ki...aakhir karte bhi kyon nahi. Aakhir mirza gulam qadyani ke bhai ke student jo they.

Janab barelwi apne baare me likhte hain-

" Sar dard aur bukhar we mubarak rog( marz) hain jo ambiya (as) ko Hote they"

Aage chalkar likhte hain-

" Alhamdulillah ki mujhe bhi bukhar ki hararat wa dard e sar rahta hai"

(MALFUZAT 1-64)

Janab ahmad raza asal me ye batana chahte hain ki unka jismani haal ambiya kiraam ke jaisa hai, apni pakeezgi saabit karne ke liye ek jagah likhte hai-


" Meri paidaish ki taareekh abjadi hisaab se qur'an kareem ki is ayat se nikalti hai jisme irshad hai- 

"ye we log hain jinke dilon me allah taala ne imaan likh diya aur unki ruhani manjoori kar di hai"

Mirja gulam qadyani aur ahmad raza me sirf itna farq hai ki qadyani ne apne ko nabi hone ka khulla dawa kiya.. Lekin ahmad raza khul kar na bata paaye....AFSOS


Ek sahab likhte hain-

" Ala hazrat ne apni paak zabaan se kabhi gair sharai word(alfaaz) nahi kaha. Allah ne aapko har tarah ki galtiyon se bachakar rakha"

aur yah ki-" ala hazrat bachpan se hi galtiyon se paak they. Seedhe raaste ki paiwi aapke ander maujood kar Di gayi thi"


(YAAD ALA HAZRAT 32, FATAWA RIZWIYA 2-5)


Unka ilmi aur gandi zuban ka tazkirah pahle ki kar chuka hun... Zaban ke paak hone ka sawal hi nahi uthta ki ahmad raza khan ki zaban gair sharai alfaz se paak thi..


Unke ek aur bande likhte hain-" ala hazrat ka wajood allah taala ki nishanion me se ek nishani tha"

(ANWAR E RAZA 100)


Sahaba kiram (ra) ka ek gustakh apne imam wa rahnuma ke baare me likhta hai-" ala hazrat ki ziyarat ne sahaba kiram ki ziyarat ka shauk kam kar diya"

(wasaya shareef 24)


Badha chadha kar bolne me aqal ka daaman haath se chhod diya jaata hai. Ek barelwi is rule ka daman bante hue likhta hai ki-

" Saadhe 3 saal ki umar shareef ke zamane me ek din apni masjid ke saamne maujood they ek sahab arbi libaas me tashreef laye aur aapse arabic language me baat ki. Aapne( saadhe 3 saal ki umar me) bahtareen arabic me unse baat ki aur iske baad unki soorat dekhne me nahi Aayi"

( hayat aala hazrat 22)

Unka ek mureed likhta hai-" aala hazrat ki baat samjhne ke liye zaroori hai ki insaan ilm ka samundar ho"

(anwar e raza 286)

Sahaba ne quran kaise samjha.... Wo to bas quran sunte hi giroh dar giroh islam me daakhil ho gaye


yahan kaunse ilm ke samundar ki baat ho rahi hai


Jihad ke khilaaf kuch fatawe bhi dekh lete hain-

" Hum hind ke musalmano par jihad farz nahi aur jo iski farjiyat ko maanta hai wa musalman ka dushman hai aur unko nuksaan pahunchana chahta hai"

" Hz hussain ra ke jihaad se daleel lena jayez nahi kyonki unpar jung thopi gayi thi aur waqt ke ruler par us waqt tak jihad farz nahi jab tak usme kaafiron ke muqaable ki taaqat na ho isliye hum par jihad kaise farz ho sakta hai kyonki ham angrez ka muqabla kaise kar sakte hain"


( al hujjatul motmana fi aaytul mumtahina pg 208, 210)

" hindustan ke musalmano ke ooper jihad wa jung laagu nahi hoti"

(DAWAMUL AISH 46)

Bahehaal ahmad raza ke baare mashoor ho gaya tha ki we britisher ki agent hain aur har us andolan(movement) ke virodhi hain jo angrejo ke dauran
chalaya jaata ho...

Allah hame barelwi aqeede se bachaye...

No comments:

Post a Comment