Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Wednesday, February 19, 2014

AKAABIR ULEMA-E-DEOBAND KI GHUSTAKHIYAN





Bismillahirrahmanirraheem



AKAABIR ULEMA-E-DEOBAND KI GHUSTAKHIYAN



HAAJI IMDAD ULLAH SAHAB:



Firqa deobandiyah ke awwaleen buzurg jin ko sheikh ul arab wa azam kaha jaata hai wah haaji imdad ullah sahab hain

tazkiratul rasheed ke murattab(writer) ne inka taruf jin alfaaz aur alqaab ke saath kara hai wah ye hai:

" ala hazrat farooqi nasab hanfi al mazhab haqiqat aagaah, ma'aarifat dastgaah, haafiz kutub allah, sayyed al saadaat, iftefaar al masaikh ul ulema, ..........."


(tazkiratul rasheed pg 45)


haaji imdaad ullah sahab ke muballigh ilm ka haal ye bayan kiya gaya hai ke sirf kaafiyah tak padha tha (hikaayaat awliya page 208)

in haaji sahab ki shaan me intehaai tareefi qalimaat ka ambaar firqah deoband ki peer parasti aur auliya ka rutba nabiyon se badhaane ki waajeh misaal hai,

jabki imam ul rasool sayyid ul awwaleen wa aakhireen hz sallallaho alaihi wasallam ummat ko apni tareef me Ghulu karne se taaqeed farma rahe hain:

" meri taareef me is tarah na badhna jaise nasraani ne isa bin maryam ke shaan me kiya"

(hadith)



HAAJI IMDAD ULLAH KE BAAWARCHI(COOK) NABI SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM: (MAAZ'ALLAH)


Maulana aashiq ali merathi hanafi likhte hain:

" ek din aala hazrat(haji imdad ullah) ne khwaab dekha ke aap ki bhaawaj aapke mahmanon ka khaana paka rahi hai ke janab rasool maqbool sallalaho alaihi wasallam tashreef laaye aur aapki bhaawaj se farmaya ke " uth tu is qaabil nahi ke imadad ullah ke mahmano ka khaana banaaye, iske mahmaan(guest) ulema hain, iske mahmano ka khaana main pakaaunga"


(tazkiratul rasheed jild 1 page 46)

(maaz'allah)


"sheikh ul hadith maulana zikriya ne ye khwaab haaji imdadullah sahab ki bhaawaj ki taraf mansoob kiya hai"

(tareekh mashaikh chist pg 248)


haaji sahab ya inki bhaawaj ko aisa khwaab dekhte aur bayaan karte hue baargaah e risaalat Me gustakhi hone ka zara bhi khyaal na aaya, aur na inke shargirdon ko yah khwab apni kitabon me zikr karte hue ko jhijak mahsoos hui,

ghustakhi ka ehsaas na hone ki wajah se yahi ho sakti hai ke inke nazdeek haaji imdad ullah sahab ki wilaayat ka maqaam nubuwwat se ooncha haƬ,(naozubillah)



SUNNAT RASOOL SE HAAJI SAHAB KI MAZAAR KI SAFAAI:


maulwi ahmad hasan kanpuri marhoom jo ustad qul kahe jaate hain, haaji sahab ke bahut bade mureed they, inko apne peer (haji) sahab se is darja muhabbat wa aqeedat thi ke hiqaayaat auliya me bayaan kiya gaya hai:

" maulwi ahmad hasan kanpuri jab hz haji sahab ki khidmat me pahunchte hain munshi muhammad jaan marhoom kahte they ke maine ek roz maulwi sahab ko dekha ke hazrat ki jooti jo ke baahir rakhi thi sar par rakh kar zor zor se ro rahe hain"

(hikayaat awliya 446)


ustad ul qul maulwi ahmad hasan ki peer parasti ka aala muqaam yah tha ke apne be padhe Likhe peer haaji sahab ki wafaat ke baad in ki qabr par sha'aar islam aur azeem sunnat rasool se safaai kiya karte they, yani apni resh mubarak se mazaar par jhaadu(broomstick) lagaate they, jaisa ke mahar muneer me inke muttallik likha hai:

" makka muazzama me apne shaikh haji imdad muhajir makki ke mazaar par 6 mahine qayaam kiya aur har roz apne resh mubarak se mazaar ko saaf kiya karte they, subhaallah, apne waqt ke ustad ul qul(maulwi ahmad hasan) ki apne sheikh ke saath yah nisbat niyaaz wa aqeedat"

(mahar muneer page 72,73)


bhaiyyon batayen ke yah subhanallah kahne ka maqaam hai ya naozubillah padhne ka , peer parasti ke josh wa junoon me sha'aar islam aur sunnat rasool(sws) ki is qadar be hurmati aur wah bhi ek ustaad ul qul ke haanthon jo maulid rasool hain


HAAJI SAHAB KE NAZDEEK NAZAR O NIYAAZ AUR 10wa,20w, 40wa, ETC IBAADAT HAI:



haaji imdad ullah sahab farmate hain:-" tareeqa nazar o Niyaaz qadeem zamaane se jaari hai, is zamaane me log inkaar karte hain"


(al imdaadiyah pg 70, manqool az muhasibah deobandiyat pg 88)

haaji sahab apne halqa me quraan ke bajaaye masnawi roomi ki tilaawat kiya karte they, aur uske khatam par niyaaz, fatiha, bade ahtimam se kiya karte they,

chunanche bayaan kiya jaata hai ke

" jab masnawi ke dars ka waqt aata to hz haaji sahab yun farmaya karte they ke 'aao bhaai masnawi ki tilawat kar len'"

(hikayaat awliya pg 207)


aur jab masnawi shareef khatm ho gayi baad khatm sharbat banaane ka huqm diya aur irshaad hua ke is par maulana room ki niyaaz bhi ki jaayegi, gyarah gyarah baar surah ikhlaas padhkar (sharbat par) niyaaz ki gayi aur sharbat banna shuru hua"

(al imdaadiyah pg 68,manqool az mahasibah deobandiyat pa 88)


MAULANA RASHEED AHMAD GANGOHI KI KUFRIA DAAWA:



Haaji imdad ullah sahab ke baad maulana rasheed ahmad gangohi ka number aata hai, Inko imam rabbani, qutub aalim etc se yaad kiya jaata hai, aur kaha jaata hai ki inki ziyafat ke liye haji imdad ullah sahab ke bawarchi khaana me rasoollullah(sws) ne khaana pakaane ki pesh kash farmayi thi,(auzubillah)


maulana gangohi ki khaankaah aur tazkirah us tarah pesh kiya jaata hai jaise wahi musalmano ka asal qablah wa kaaba hain,


maulana ka bajubaan khud yah dawa tha ke wah haq wa hidayat ke us maqaam par faiz hain jo sahab nubuwwat wa shariat ka huwa karta hai


KUFRIA DAAWA:


Maulana gangohi ke sawaneh nigaar maulwi aashiq ali merthi deobandi khud maulana gangohi ka qowl balke farman shaahi naqal karte hue likhte hai:


aap(gangohi) ne kai martaba ba haisiyat tableegh ya alfaaz zabaan faiz tarjumaan se farmaaye hain

" sun lo haq wahi hai jo rasheed ahmad ki zabaan se nikalta hai, aur ba qasam kahta hun ke main kuch nahi hun magar is zamaane me hidaayat wa nijaad mauqoof hai mere Itteba par"

(tazkiratul rasheed pg17)


baat bilkul saaf hai ke maulana gangohi ne baar baar is daawa ko bataur farman shaahi jaari kiya hai ke haq aur hidayat wa nijaat ke wahi tanha maalik hain, koi inki itteba se inharaaf karega wa hidayat wa nijaat nahi paayega,

bhaiyyon ghaur farmayen to inko yah samjhne me der nahi lagegi ke maulana gangohi ne apne liye nubuwwat wa risaalat se bhi unche muqaam par faiz hone ka daawa kiya hai



MAULAANA GANHOHI KE DIL ME SHEIKH AUR NABI (SWS) KE SAKOONT



Tasawwur shaikh ke maslah me bhi gangohi bahut aage nikal chuke they aur us maqaam par pahunch gaye te ke in ke murshid haji imdad ullah aur nabi akram(sws) inke dil me saaleha muqeen wa sakoonat pazeer rahe

chunanche bayaan kiya jaata hai

" hz gangohi rh josh me they aur tasawwur shaikh ka masla dar pesh tha. ..... Farmaya ke 3 saal tak kaamil hz imdad ka chehra mere qalb me raha aur maine inse pooche Begair koi kaam nahi kiya phir aur josh aaya..... Farmaya ke itne saal (raawi ko yaad nahi raha kitne saal kaha) hz sallalaho alaihi wasallam mere qalb me rahe aur maine koi baat begair aap se pooche nahi ki"


(hikaayat awliya pg 308)


FATAWA RASHIDIYAH:


maulana gangohi ne apni jubaan ke khaalis haq tarjumaan hone ka jo kufriya daawa kiya hai, us par zabardast hujjat inke fatawa bhi hain jo fatawa rasheedia ke naam se 608 page par shaaya hui hai, maulana ne kisi fatawa me aayat ya hadith ya fiqah wagerah ka koi zikr nahi kiya hai aur na hawaala diya hai, mashaallah... Maulana har maslah me apni zubaan wa qalam hi ko haq ki hujjat wa daleel banaya hai


ab ham chaahte hain ke fatawe rashidiyah ke hawaale se mazeed chand masail naqal karke aapko dikhaaye ke deobandi firqah ke ranga rang aquaidaat ahle sunnat wal jamaat ke aqaid sahih aur mawafiq hain



MADAD KE LIYE:-" YA MUHAMMAD FARYAAD HAI" PUKAARNA JAAYEZ HAI:



SAWAAL-- ASH'AAR IS TARAH PADHNE

" ya rasool faryaad hai

ya muhammad mustafa faryad hai

madad kar khuda hz muhammad mustafa

meri har ghadi tumse faryad hai

KAISE HAIN??


JAWAAB-- Aise alfaaz padhne se muhabbat aur khuloot me bais khyaal ke haq taala aap ki zaat ko mutla farma de, ya mahaz muhabbat se bila kisi khyaal ke jaayez hai"


(fatawa rasheediya pg 103)



MAZAARAAT AWLIYA SE FAIZ HAASIL HOTA HAI:


SAWAAL-- Mazaarat awliya se faiz haasil hota hai ya nahi??


JAWAB-- Mazaarat awliya se mureedon ko faiz haasil hota hai (aizan pg 104)

awliya bhi shuhada me se hain:


SAWAAL-- awliya allah bhi martaba shuhada ke andar dakhil hain ya nahi??


JAWAB: awliya kiram bhi shuhada hai(aizan pg 105)


TAWASSUL(WASEELA) AWLIYA DUA KAR JAYEZ HAI:


SAWAAL: Aksar aadmi shajrah khaandaan ka har subah wa shaam padhte hai ye kaisa hai??


JAWAB-- shajrah padhna durust hai, kyonki Usme tawassul awliya ke haq taala se dua karte hai, iska koi harj nahi"

(aizan pg 217)


SAWAAL:- baaz soofi quboor awliya par chasm band karke baithte hai aur surah al nashrah padhte hain aur kahte hain ke hamaara seena khulta hai aur hamko buzurgon se faiz hota hai, is baat ki kuch asal bhi hai ya nahi?


JAWAAB-- iski bhi asal hai, isme koi harj nahi agar niyat bakhair hai, faqat wallahu alam

(aizan pg224)


quran khwani karna jayez hai

(aizan pg 268)


rupaiye, money order me bhejna durust nahi hai khwaah isme kuch paise deye jaayen ya na deye jaayen (pg 502),

money order karna sood me daakhi hai (pg 503),

bank me rupaiye rupaiye daakhil karna na dururst hai khwaah sood le ya na le(pg 504)


ye firqah deoband ke yah do rukhe fatawe ke ek taraf niyaaz fatiha aur dusri taraf rupaiye money order karne aur bank me jama karne ko na jayez aur sood kahte hain,

phir nahle par dahla ke Deoband aur tamaam madaaris ki jaanib se chanda dene waalon ke paas money order form rawaana kiye jaate hain, aur is tarah haasil hone waali soodi raqam ko bank me jama karke mazeed soodi sarma yahkaari ki jaati hai, jise yahi muftiyan deoband khidmat deen kar certificate dete hai


CHORI KI INTEHA (KISSA KAKDI KA)


Isi tarah dusron ke khet wa baagh ka fal(fruit) chori se tod lena aur uska khaana mashaikh ke liye koi harj ki baat nahi hai, isko khud inhi ki zabaan se sunen



maulana muhammad qasim nanotwi baani darul uloom deoband jab marz wafaat me mubtala hue to aapne maulwi muhammad ul hasan sahab( sheikh ul hind wa sheikh ul hadith daarul uloom deoband) se farmaya ke kahin se kakdi laao, maulana mahmood ul hasan farmate they ke main tamaam kheton me phira magar sirf ek kakdi chhoti si mili"


(hikaayaat awliya pg 246)


yah baat kisi se chhupi nahi hai ke dusron ke kheton wa baaghon ka fal chori Se todna aur khaana muslim wa gair muslim sab ke nazdeeq mayoob gunaah kaam hai, jo awaara gard bacche is tarah ki harqat karte hue pakde jaate hai to saza bhi paate hai..... Lekin kabhi malum na ho saka ke us kakdi ki qeemat ada kardi gayi thi ya khet waale se maaf kara li gayi thi


QAARI MUHAMMAD TAAHIR NANOTWI ,ADAALAT ME JHOOTI QASAM:



Maulana zikriya khandaalwi ki aap beeti me mazkoor hai ke

" hz maulana alhaaj hafiz qaari muhammad tayyab ke chote bhai qaari muhammad tahir sahab rh deoband se ek akhbaar nikaala karte they , ghaaliban " al ansaar" isme koi mazmoon kisi aala afsar ke khilaaf shaaya(publish) ho gaya, in sahab ne tahat izzat(maanhaani) ka daawa kar diya, wah chunke bade aadmi they isliye waqeelon ke mashware se inke jawab daawi ki tazweezen kai din tak khoob aati rahin,

muddai ki koshish thi ke warrant bila zamanat kisi tarah se jaldi jaari ho jaaye, jiski wajah se sabhi badhon Chhoton ko fiqr thi, koi sahab muzaffar nagar se deoband pahunche kahne lage, taahir beta! Itni si cheez me ghabra gaye, jawaab daawa likh do ki main to ek mahine se kunwar sahab ke yahan shikaar khelne waaste gaya huwa tha, meri ghair haajiri me yah majmoon(article) likha gaya, muddai ko bhi azeez taahir marhoom se adawat thi,

azeez taahir marhoom ne kaha taaya ji! Aap adaalat me kis tarah jhooti qasmen khaawenge ke yah mere saath shikaar me they, kahne lage ! Apne muqaddama me hazaar jhooti qasmen khaayin hain,

maulana qasim ke pote ke liye agar jhooti qasam kha lunga to khuda ki qasam meri saari jhooti qasamon ka kaffara ho jaayega, chunanche daawa me yahi likha gaya ke main us zamana me kunwar shahab ke saath shikaar ke liye gaya huwa tha aur kunwar sahab ki tasdeeq par muqaddama khaarij ho gaya"

( aap beeti, maulana zikriya pg 616,617, manqool az sirat e mustaqeem london march 1998)



Jhooti qasmen khaane waale ye koi maamooli shakhsiyat nahi hain , bani darul uloom deoband maulana qasim nanotwi ki pote hai, darul uloom ke 5we mohtamim maulana muhammad ahmad ke bete aur darul uloom ke 7we mohtamim qaari muhammad tayyab sahab ke bhai hai, allah allah



ALLAH HAMEN AISE AQEEDE SE BACHAAYE.... Ameen

No comments:

Post a Comment