Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Sunday, February 2, 2014

ANGUTHA CHOOMNE AUR QABRON PAR AZAAN DENE KI HAQIQAT AUR BARELWI DALAIL

Bismillahirrehmanirraheem


Angutha(thumb) choomna(kissing) karna bhi ek bidat hai jiska hadith se koi saboot nahi, barelwi hazraat is bidat ko saabit karne ke liye man gadant aur kamzor riwayaton ka sahara lete hain,


Janab barelwi likhte hain-" hz khidr (as) se riwayat hai ki jo insaan ash-hadu anna muhammadur-rasool-allah sun kar apne anguthe ko chumega aur phir apni aankhon par lagayega uski aankhen kabhi na dukhengi"


(fatawa rizwiya 383)

Janab ahmad raza ne is riwayat ko imam sakhawi se naqal kiya hai jabki imam sakhawi ne is hadith ko zikr karte hue likha hai-

"Is riwayat ko kisi sufi ne apni kitaab me naqal kiya hai iski sanad me jin raavion ke naam hain we muhaddiseen ke nazdeek majhool aur ghair maroof hain(yani yah gadi hue sanad hai) aur phir hz khidr (as) se kisne suna is baat ka bhi koi zikr nahi"

(AL MAQA SIDUL HASANA LILSAKHAWI)


Matlab imam sakhawi jis riwayat ko soofia ke khilaaf Kamzor qaraar de rahe hain janab ahmad raza poori ilmi baimaani ka saboot dete hue ek ghair islami bidat ko riwaj dene ke liye use ki daleel pesh kar rahe hain


Imam suyuti (rh) likhte hain-

" We tamam riwayaten jinme anguthe ke choomne ka zikr, muhammad taahir al fatni, aur allama shawkani (rh) etc. Ne un tamaam riwayaton ko mangadant karaar diya hai"


(TAZKIRATUL MAUJUAAT)


Lekin janab imam ahmad raza ka barabar zidd hai ki-"anguthe choomne ka inkaar ijmaa ummat(barelwi ummat) ke manaafi hai"

(FATAWA RIZWIYA 496)


Barelwi khurafaat me se yah bhi hai ki we kahte hain-

"jisne" la illaha illallahu wah-dahu la shareeqa lahu" yah sari dua likhkar mayyit ke kafan me rakh di wah qabr ki pareshanion se bacha rahega aur munkar nakeer uske paas nahi aayenge"


(fatawa rizwiya 4-127)

Isi tarah barelwi hazraat ne "ahad nama" ke naam se ek dua gadh rakhi hai jiska koi saboot nahi. Iske baare me unka aqeeda Hai-
"Use jis murde ke qafan me rakha jaaye allah uske saare gunaah maaf kar dega"

(jaal huq 340)


Barelwi hazraat kitaab wa sunnat aur khud fiqh hanafi ka virodh karte hud bahut si bidaton ko kar jaate hain jinka salaf saliheen se koi saboot nahi milta! Inme se ek qabr par azaan dena bhi hai,

khan sahab barelwi likhte hain-" qabr par azan dena mustahab hai isse mayyit ko fayeda hota hai"

(fatawa rizwiyah 4-54)

"qabr par azaan dene se shaitaan bhaagta hai aur barqaten utarti hain"

(jaal haq 1-315)


Magar hanafi maslaq me iska khaas taur par manahi hai

Allama ibne hammam (rh) farmate hain-" qabr par azan dena ya dusri bidat ko karna theek nahi, sunnat se sirf itna saabit hai ki nabi(sws) jab jannatul baqi me tashrif le jaate to farmate-"assalamu alaikum da-ra-qaumum momineen" iske elawa kuch saabit nahi, in bidaton se bachna chahiye"

(Abrul maqaal fi kiblati izlal 143)




Imam shami (rh) kahte hain-" Aajkal qabr par azaan dene ka riwaaz hai iska koi saboot nahi yah bidat hai"

(badrul anwaar fi adabil aasar 38)


Mahmood balkhi (rh) ne likha hai-" qabr par azan dene ki koi haisiyat nahi"


(badrul anwaar 40)

Baherhaal barelwi hazraat ki ye taaleem hain jo na sirf kitaab wa sunnat ke khilaaf hain balki fiqh hanafi ke bhi khilaaf hain lekin phir bhi barelwi qawm fiqh hanafi ka paband hone ka daawa karti hai..


Allah se dua hai ki hamdn sunnat par amal karne aur bidaton se bache rahne ki taufeeq de.....AMEEN

No comments:

Post a Comment