Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Tuesday, February 18, 2014

BUKHARI KI QAABIL E AITRAAZ HADITH (PART 7)

Bismillahirrahmanirraheem




BUKHARI KI QAABIL E AITRAAZ HADITH (PART 7)


31- AGAR GUNAAH NA KAROGE TOH.........!



Bukhari ki hadith ka zikr karte karte Munkireen e Hadith Ko sahih muslim se Bhi ek Aisi hadith mil gayi Jo Aitraaz ke lihaaz se La'jawaab thi,
Lihaaza ise Chhodna gawaara na kiya gaya, Aur wah hadith ye hai


Nabi e akram Sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" Us zaat ki kasam ! Jiske haath me meri jaan hai, agar tum aise ho jaaoge ke Gunaah tum se Sar'zad hi na ho toh Khuda tumhe Zameen se Hata de, aur Tumhari jagah Ek dusra Giroh paida kar de, Jiska Seowah Ye ho ke Gunaah kare Phir Khuda se Bakhshish wa Maghfirat talab karega "

( Maqam hadith page 332)



JAWAB:



ab dekhiye Allah taala ke Be'shumaar aisi Makhlooq ab bhi maujood hai, Aur bani nu e Insaan se Pahle Bhi maujood thi jisse Gunaah sar'zad Hi Nahin hota..


Maslan Farishtey, Shajar wa hajar, haiwaanaat aur Charind , parind wagerah lekin iske Ba'wajood Allah taala ne Insaan ko paida kiya,

Toh allah ke yahan is Insaan ke paida karne ki Gharz wa Ghaiyat kya thi ?

Kya yahi na thi ke jab usse koi Gunah Sar'zad hota hai toh wah allah ke huzoor Maghfirat wa bakhshish ki talab'gaari karta hai,

Ab agar tamam ke tamam insaan itne nek ban jaayen ke unse Koi gunaah Sar'zad hi na ho..

Jaise Farishte, Shams, qamar, aur Shajar wa hajar ( jo ke na'mumkinaat se hai ) toh kya allah aisa karne par Qaadir nahin ke wah Aisi Qaum le Aaye jo Agar gunaah kare Toh baad me Tobah wa Istaghfar kare....


Ab is hadith se Munkireen e Hadith yah nateeja nikaalna chaahta hai ke insaan ko zyadah gunaah karne Chahiye.. Phir bakhshish talab kare Taake Khuda khush ho,


Halaanke Is se nateeja ye nikalta hai ke Agar gunaah ho jaaye jo ke Insaan ke nafs me daakhil hai toh uske liye talab e istaghfaar zaroor karna chahiye

allah taala ki pasandidgi Talab e Istaghfaar se hai... NA KE gunaah karne Se, Gunaah toh khud Insaan ki nafs me daakhil hai,


agar tamam insaan aisa ho jayen ke unse Gunah Sar'zad hi na ho toh iska matlab ye hua ke Ab wah insaan Na rahe, Koi aur hi Cheez ban gaye,

Is soorat me Allah taala phir koi insaan jaisi hi makhlooq paida karega jo Gunah bhi kare aur istaghfaar bhi,

Haan agar insaan gunaah hi karta jaaye aur istaghfaar na kare toh Allah taala use apne Ek dusre kanoon ki ru se Tabaah wa barbaad kar dega,

Phir uski jagah aisi Qaum laayega jiska fitri rujhaan toh Gunaah ki taraf na ho lekin roohaani Taqaaza talab Istaghfaar hai...



32- BANI ISRAEL CHOOHE (RATS) HAIN:



Hz abu hurairah (ra), Nabi e akram Sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se Riwayat karte hai ke Agar ek Giroh bani israel Ka kho gaya, nahin malum kiya hua,

Main khyaal karta hun ke ye Choohen wahin hai ke jab unke Saamne Oont ka dhoodh rakh diya jaata hai Toh wah nahin peete, aur jab unke Saamne Bakriyon ka dhoodh rakha jaata toh wah pee lete "


( Maqam hadith page 332)



JAWAB:



Ye hadith Muslim kitab zuhud me Bhi maujood hai aur iske Saath dusri hadith me Mazkoor hai ke us Qaum par masak Azaab aaya ,

Aur ibn abbas ki ye riwayat bhi milti hai ke, jis Qaum par masakh  ka Azaab aaya wah 3 din se zyada zinda na rahi

aur ye toh waazeh hai ke hz ibn abbas (ra) ka ye Qaul unki apni raaye ya baseerat nahin, Balke marfu huqmi ka darjah rakhta hai,

Lihaaza agar Nabi e akram Sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko Aisa khyaal aaya bhi tha toh wahiy e illahi ne iski taed nahin ki.....



33- AGAR BANI ISRAEL NA HOTE TOH.......!



Hz abu hurairah (ra), Nabi e akram Sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se riwayat karte hain k apne farmaya

" Agar bani Israel na hote toh Ghosht kabhi na sadhta aur Agar Hawa na hoti toh Koi aurat apne Shauhar se Khayaanat na karti "


( maqam hadith page 333)



JAWAB:



Ghaliban is hadith ka mafhoom Ghalat samjhne ki wajah se aitraaz paida hua hai,

Is hadith ka matlab Sirf ye hai ke Bani Israel se pahle Bani nuh e Insaan mese kisi ne na Kabhi ghosht ka zakheerah kiya tha, na hi Ghosht gala'sadha tha,

Yani us daur se pahle Ghosht Store karne ka riwaaj hi na tha,

Jo kuch ba'zariyah Shikaar milta Sab Ahle khandaan milkar kha lete they,

Bani Israel jo aasmaan se Man o salwa utarta tha toh unhone Khaane  ke baad kisi dusre Ki zaroorat poori karne ke Bajaaye use Sambhaalna Shuru kar diya, Isse pahle na kabhi Ghost Store hua na Gala'sadha,


Aur ghalat mafhoom jo Samjha gaya wah ye hai ke bani Israel se pahle Ghosht ke galne Sadhne ke Silsile me maadah ke Khwaas aur they, Aur ghosht Agar Stock Kiya bhi jaata toh Galta Sadhta na tha,

Lekin Bani Israel ke Baad madah khwaas badal gaye jo Aaj tak chale aa rahen hain...


Aur hadith ke  Dusre hisse ka matlab sirf ye hai ke Hawwa se Pahle na koi Aurat maujood thi na uska Shauhar,

Hawwa hi pahli aurat hai, jisne Shauhar se Khayaanat ki toh uske Baad Hi Shauhar Se Khayaanat ka Silsila jaari hua,


Hawwa ki apne Shauhar se Khyaanat ye thi ke wah khud Iblees ke  changul me aane ke baad apne Shauhar ko darakht ka Phal Chakhne par aamaadah kar liya, Is tarah un dono ne apne rabb ki na'farmani ki,

Adam wa hawwa ka  Shaitaani Fareb me aane ka zikr Hadith me bhi maujood hai aur Tauraat me bhi,


Munkireen e hadith jo masaawaat mard'zan ka haami hai, Aur aurat par kisi tarah ka Ilzaam bar'dasht nahin karta, wah aisi Riwayat ka bhi munkir hai aur aise maamlaat me tauraat wa injeel ka bhi Aurat ko mard ke baraabar ka darja Qaraar dene me wah Daleel Pesh karta hai ke Qur'an me aata hai

" Shaitaan ne dono ko bahka diya "


Halaanke Qur'an ne sirf nateeja pesh kiya hai, iski tafseel pesh nahin ki   Aur aam usool ye ke Adam zikr se Adam Shai laazim nahin aati,

Agar Qur'an me ye tafseel mazkoor nahin toh iska ye matlab nahin ke iski  kuch tafseel hai hi nahin, ya agar hai toh wah Ghalat hai....



34- AGAR MAKKHI GIR JAAYE TOH....!



Hz abu hurairah (ra) kahte hain ke Nabi e akram Sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya ke:-" agar tum se kisi ke ( khaane ) peene ki cheez me makkhi gir jaaye toh use Chaahiye ke usko Ghotah de de, Baad iske usko nikaal daale, Kyonke uske ek par (wings) me bimari aur dusre me shifa hai "


( Maqam hadith page 333)



JAWAB:


Aaj ka muhazzab tabqah makkhi se bahut karaahat karta hai kyonke wah Sirf Ghalaazat par baithti hai, saaf suthri Cheezon par kabhi nahin baithti,

Phir jaraaseem ke nazariye ne toh Makkhi ko aur bhi badnaam kar diya hai, Lihaaza agar makki Chaaye (tea) ki pyaali ya paani aur Sharbat ke Gilaas me gir pade, toh use Phenk deta hai, Lekin agar  Dhoodh ki baalti ya Pighle hue Ghee ya Shahed Wagerah me gir jaaye , toh use na Giraata hai, Na zaaye karta hai, Us waqt makkhi me na jaraseem rahte hain na Ghalazat rahti hai,


Ab sawaal ye hai ke Ghalaazat ke jo jaraaseem makkhi ko chimte hain unka sabse pahle hamla toh makkhi par hi hota hai,

Lihaaza makkhi ko Marr jaana Chahiye, lekin Wah marti nahin balke wah zindah rahti hai aur udhti firti hai, Jiska Saaf matlab ye hai ke makkhi me bhi Aisi koi Jaraaseem Kash cheez hai zaroor jo uski zindagi ko Baaqi rakhti hai,


Chunanche Britain ke Mashoor Medical Magazine ( DOCTORIAN EXPERIENNCES) no 1057 Taba saal 1927, me makkhi ke mutaallik nayi tahqeeq yun bayan ki gayi hai,

" Makkhi jab Khetiyon aur sabziyon par baithti thai toh apne saath mukhtalib bimaariyon ke jaraaseem utha leti hai, lekin kuch arsah baad ye jaraaseem marr jaate hain aur unki jagah makki ke peit me " Baktar falog " naami ek   Maadah paida ho jaata hai jo zehareele jaraaseem ko khatm karne ki khaasiyat rakhta hai, Agar tum kisi namkeen paani me makki ke peit ka maadah daalo toh tumhe wah "takbar faloj " mil Sakta hai, jo mukhtalif bimariyan failaane waale chaar qism ke jaraaseem ka muhlak hai, Iske elawa makkhi ke peit ka ye madah badal kar ' takbar faloj ' ke baad ek aisa madah ban jaayega jo 4 mazeed Qism ke jaraaseem ko Khatm karne ke liye mufeed hoga "


Ab dusri tahqeeq mulaheja Farmayen jo " Jamiyatul hidayatul Islamiyah " ek taweel mazmoon ki soorat me Shaaye hui, Iska Qaabil e Zikr hissa ye hai


" Makkhi ke jism me jo zahereela maadah paida hota hai, use Mab'adul bakeetarya Kahte hain, Makkhi ke ek par (wing) ka Khaasiyah hai wah mab'adul bakeetarya ko uske peit se ek pahlu ki taraf Muntaqal karta rahta hai, Lihaza makkhi jab khaane ya peene ki cheez par baithti hai, toh pahlu se chimte hue jaraaseem usme daal deti  Hai, in jaraaseem se bachaane waali cheez wa ma'abat baktariya hai jise makkhi apne peit me ek Par ke paas uthaaye hue hoti hai, Lihaza chimte hue zahreele Jaraaseem aur unke Amal ko halaaq karne ke liye ye Cheez kaafi hai ke poori makkhi ko khaane me dubo kar baaher phenk diya jaaye "

( tafheem al islam page 455)


Ab farmaiyye kiya ye maujoodah tahqeeqaat Hadiyat e Nabi e akram Sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki taed karke ise ek Ilmi mojezah Saabit nahin karte ??



35- MURGA FARISHTE KO DEKHTA HAI:



Hz abu hurairah (ra) se riwayat hai ke aapne farmaya :-" jab tum murg ki awaaz suno toh allah se uska fazal talab karo, Kyonke wah farishte ko dekhta hai, aur jab tum gadhe ki awaaz suno toh Shaitaan se Khuda ki panaah maango, kyonke jab wah Shaitaan ko dekhta hai tab bolta hai "

( Maqam hadith page 333)

JAWAB:



Ab dekhiye Allah taala farmate hain

" Jin logon ne kaha ke Hamara parwardigaar Allah hai, phir us par jam gayi, un par Farishte utarte hain ( aur kahte hain ke ) na tu darr aur na Gham khaao aur Is Jannat ki Khush'khabri suno jiska tum waadah diye gaye they "

(41/30)


Isme Sirf yahin nahin kaha gaya hai ke Imaandaron par farishtey utarte hain, Balke ye bhi kaha gaya hai wah unko Khush'khabri sunaate aur tasalli bhi dete hai,

Phir kiya aapne kisi imaandaar se suna hai ke wah is baat ki Shahadat de ke waqai us par Farishtey utarte they aur unhone ye baatein kahi thi..

Aaj duniya aise Imaandaron se bilkul khaali nahin, taaham is daur ko jaane dijiye aur Daur E Sahaba ki taraf aayye kyonke wah toh baher'haal ye Sharait imaan poori karte they,

Kya koi aisi hadith ya taareekhi riwayat nazar se guzri hai, jisme kisi sahabi ne Iqraar kiya ho ke Waqai mujh par farishte utar kar ye baat kahte hain ??

Ye nahin toh kam se kam  koi du$ra hi Ashaab ye hi Shahadat de de ke mujh par toh  Nahin lekin falan Sahabi par utarte they aur maine  dekhe they ??


Phir jis tarah Imaan walon par farishte utarte hain, is tarah har Afaak aseem par shaitaan bhi naazil hota hain

(26/222)

Wah kisi ne dekhe hain ?

Ya kisi jhoote Gunaahgaar ne khud hi unka Zikr kiya hai ?
Baat sirf itni hai ke Murg ki awaaz ko murg ki baang ya Azaan bhi kah diya jaata hai, aur ye awaaz insaan ko marghoob bhi hai, phir isi baang ya azaan ke tasawwur se insaan ki tawajjoh allah ki yaad ki taraf maiel hoti hai,

Lihaaza use Farishte nazar aane se mansoob kiya gaya hai, agarchah hamen Farishte nazar nahi aate,

Isi tarah Gadhe ki awaaz makrooh hoti hai, Aur bil'umoom ye uski Shahwat ki bina par hoti hai, Lihaza uske bolne ko Shaitaan nazar aane se mansoob kiya gaya hai, agarchah ham Shaitaan ko bhi dekh nahin sakte..

Dar'asal ye umoor ghaibiyah hain jin par imaan laane ka naam hi imaan bil'ghaib hai, Ab agar unhen Aqal  AUR tajurbah ke meyaaron par jaanchna Shuru kar diya jaaye toh phir imaan bil'ghaib ki Khair manaani chahiye, Ab agar imaan ki ru se Qur'an ki is ayat ko durust samjha ja sakta hai toh isi Imam hi ki ru se Is hadith ko bhi durust samjhna Chahiye...

Phir ye bhi ek haqiqat hai ke Baaz jaanwaron ki joi khas  His insaano ki nisbat bahut ziyadah tez hoti hai,

Moar (peacock) meelon door se aawaaz sun leta hai,

Cheenti ki Quwwat insaan se Badarjaha zyada hoti hai,

Cheel (eagle) intehai bulandi par udhti hui zameen par Ghost ka chhota sa tukda dekh leti hai,

Isi tarah murgi us waqt kut kut karti hai aur apne bacchon ki hifazat Shuru kar deti hai, jabki Cheel Abhi Intehaayi bulandi par hoti hai,

Baarish ki aamad ka jaanwaron ko bahut pahle ehsaas ho jaata hai, kisi jagah koi aafat ya toofan aane waala ho toh Wahan ke jaanwar kisi mahfooz maqaam ki taraf kooch kar jaate hain,

Baaz dafa Kutte yun bhonkte Hain ke malum hota hai wah koi intehaayi muhayyab Shakl dekh rahe hain,

Yah wah baatein hain jo Insaan ke tajurbah me aa chuki hain, aur jo nahin aayin wah be'hadh wa be'hisaab hain,

Phir insaan aakhir kis barte par umoor Ghaibiyah ka mazaak udaane ki Koshish karta hai ??

Insaan na Farishton ko dekh sakta hai, na Shaitaan ko, na hi unki kaifiyat se waaqif hai, Toh phir aitraaz kis baat ka ???

No comments:

Post a Comment