Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Sunday, February 2, 2014

GHAIR ALLAH SE MADAD MAANGNA AUR AAYAT MUBARAK





Bismillahirrahmanirraheem



GHAIR ALLAH SE MADAD MAANGNA AUR AAYAT MUBARAKA:




BARELWI AQEEDAH




allah taala ke nek bande allah taala ki ata se madad farmate hain, allah taala ke nek bandon ko allah taala ki zaat ka muzahera jaan kar unse madad talab karna jaye hai


BARELWI DALAIL


" beshaq allah unka madadgaar hai aur jibreel aur nek amaal waale aur uske baad farishte"

(surah tahreem ayat 4)


" tumhare madadgaar nahi magar allah aur uska rasool aur imaan waale"

(surah maida 55)

" aiy imaan waalon sabr aur namaz se madad chhaho"

" aiy iman waalo deen e khuda ke madadgaar ho, jaisa isa ibn maryam ne hawarion se kaha tha kaun hai jo allah ki taraf hokar meri madad kare"

(surah saff ayat no 14 para 28)


JAWAB:


allah taala ka irdhaad hai:-

" beshak allah ye maaf na karega ke uske saath shareeq kiya jaaye aur uske elaawah wah jise chaahe bakhs dega "

(surah nisa 48)


yahan is baat ko zahen nasheen kar len ke bila'shubah ye bhi hukumat e ilaahi hai ke usne is TAWHEED E WAHYAT ka daaiee koi aisa NABI nahi bheja jiske bahut se dushman na banaaye hon, jaisa ke farmaan e ilaahi hai


" aur isi tarah ham ne nabi ke liye jinno aur insaano se shaitaan shifat dushman banaaye, jo ek dusre ke dil me dhokah wa fareb kaari ke liye malmua ki hui baatein daalte rahte they"

(surah anaam 112)


allah ke deen (seeraat e mustaqeem) par chalne ke liye us raah par baithe hue ahle ilm ke Dalail, dushman e deen se saamna huwa karta hai, toh aapka farz hai ke taalimaat e nabwi se wabasta ho jaayen, taake un shyaateen ka muqaabla kar saken jinke qaid aur sarghane iblees laeen ne ra bb e zul zallal se kaha tha:


" main (unhe gumraah karne ke liye) teri seedhi raah par baithoonga, phir unke paas unke aage se, peeche se, daayen taraf se, aur baayen jaanib se aaunga, aur tu unme se aksariyat ko shukr karne waale nahi paayega"

(surah aaraaf 16, 17)


lekin jab aapne allah ki taraf ruju kar liya, uske dalail wa baraaheen ki taraf mutawajjoh ho gaye toh phir koi khauff wa khatrah aur fikr wa gham na karen, kyonke qur'an wa hadith ke saamne hasab e irshad e ilaahi hai


" shaitaan ki chaalein badi kamzor wa be'buniyaad hoti hain "

(surah nisa 74)


ahle tawheed me se sirf ek aadmi bhi un mushrikeen ke hazaaron ahle ilm par ghaalib aa jaayega, jaisa ke allah ka irshaad hai

" yaqinan hamaare (mukhlis bandon ke) lashkar hi un par ghaalib hain"

(surah suffaat 173)

ahle baatil koi bhi daleel hujjat pesh karen, qur'aan paak me uske tod ka saamaan maujood hai, chunanche allah ne farmaya:

" wah koi baat bhi laayen ham aapko haq baat pahuncha dete hain, aur bahut accha khol kar bayaan kar dete hain"


Ab ham aapke saamne kitaab e ilaahi ke wah maqaamaat zikr kiye dete hain jo maujoodah mushrikeen ki un baaton ka jawaab hai jo unhone apne liye daleel wa hujjat qaraar de rakhe hain, ham kahte hai ke ahle baatil ka jawaab do tarah se hai


1- mujammal
2- mufassal


MUJAMMAL JAWAB:



Kisi bhi saaheb e aqal wa daanish shakhs ke liye bahut buland aur intehaai mufeed baat allah taala ka ye irshaad giraami hai


" wahi hai jisne aap(sws) par kitab naazil farmayi, iski baaz aayat zaahir al maana(mohkam, bahut sareeh) hain jo kitaab ki jad aur asal hain, aur baaz aayat mutshaabeh (milti julti) hain, pas jin logon ke dilo me mail (kazi) hai wah fitna pardaazi aur aqli taaweelaat ke liye un mutshaabeh aayaat ki pairwi karte hain, haalaanke unki TAWEEL allah ke siwa koi nahi jaanta"


(sura imran 7)


aur rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) Ek sahih hadith me farmate hain


" jab tum un logon ko dekho jo mutshaabehaat ki pairwi karte hon toh unse bacho kyonke unhi logon ka allah ne zikr farmaya hai"


(bukhaari, muslim, abu dawood)


iski misaal is tarah hai ke jab koi mushrik aapse kahe ke allah ne farmaya hai:

" sun lo ke jab allah ke dost hain, unhe na kuch khauff hoga aur na wah ghamzada honge"


" bila'shubah shafaa'at haq hai aur beshak allah ke yahan ambiya ki khaas qadr hai "


ya wah nabi e akram rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ki koi hadith apne baatil nazariyaat ke jawaaz ke liye pesh kare aur aap uski zikr kardah wah baat ka maana wa matlab nahi samjhte toh aap is tarah jawaab den ke:-" allah taala ne apni kitaab qur'aan majeed me un logon ka zikr farmaya hai jo kaz faham wa kaj ro hain aur mohkam (bahot sareeh) aayaat ko chhod kar mutshaabehaat (milti julti) ki pairwi karte hain, aur maine allah ka jo farmaan Zikr kiya hai use wah bhi bataayen ke mushrikeen e makka tawheed e rubuwiyyat ke qayel they magar unka kufr malaika (angel), ambiya aur awliya se ghalat wa beja talluq ki wajah se tha, aur ye bhi bataayen ke wah kahte they:

" ye toh allah ke yahan hamaare shifaarishi hain "


ye wah baat aur aayat hai jiska maana saaf hai jiska maana badalne ki kisi me zurrat nahi "


qur'aan paak aur hadith e rasool (rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ) se jo kuch zikr kiya hai, main toh uska matlab nahi samjhta magar ye bilkul saaf baat hai ke allah ke qalaam me tazaad(ikhtelaaf) ya tanaaqis nahi hai, aur na hi hadith e rasool [rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh)] qalaam ullah ke mukhaalif hoti hai,

aap is aayat ko mamooli na samjhen, lekin isi samjh wahi sakta hai jise tawfeeq e ilaahi haasil ho, jaisa ke allah ka irshaad hai

" nahi Samjhaai jaati ye baat magar un logon ko jo sabr karte hain aur unhe seekha sakta use magar jo bade naseeb waala hai "

(surah fussilaat 35)



MUFASSAL JAWAB:



Allah ke dushmano ko deen e ambiya wa rasool (as) par bahut se aitraazaat aur shak wa shubuhaat hain jinki badaulat wah logon ko isse barghalaate aur rokte hain


AAPKA(BARELWI) KAHNA HAI:


" ham allah ke saath shirk nahi karte balke gawaahi dete hain ke us allah wahdahu la shareek ke elawah na koi paida karta hai, na rizq deta hai, na ko nafa de sakta hai, aur nahi nuksaan pahuncha sakta hai, hatta ke hazrat rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) bhi apni zaat ko nafa wa nuksaan pahunchaane ki taqat nahi rakhte, agarche peer abdul qaadir jeelaani (rh) ya koi dusra ho, LEKIN main gunaah gaar hoon, jabke awliya wa saaliheen ko allah ke yahan bada maqaam haasil hai, lihaaza main unke zariye (waseela) se allah se maangta hoon "


JAWAAB:



jin mushrikeen ke saath rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne JIHAAD kiya, wah bhi is baat ke iqraari they, jiska aapne zikr kiya hai, wah bhi maante they ke unke ye but(idol) koi kaam nahi sawaarte, unhen toh unki jaah hashmat waali shifaarish chaahiye thi, aur uske mutaallik kitabullah ki aayat padh kar masla ki wazaahat karen"


barelwi kahte hain ke ye aayat toh un logon ke baare me utri hai jo buton ko poojte they, awliya allah aur buzurgon ko aap but kis tarah bana rahe hain ya ambiya ko faut shuda kaise kah sakte hain ??


JAWAAB:


baaz Kaafir toh buton ko pukaarte they aur unme se baaz to aisi bhi they jo awliya kiraam ko pukaarte they jinke mutaallik farmaan e illaahi hai


" ye log jin ko pukaarte hai aur apne rabb ki taraf WASEELA dhoondhte hain, un mese bahut nazdeek kaun hai ?"


(surah bani israel 57)


wah hz isa (as) aur unki maa ko pukaarte they... Allah taala ne farmaaya


"nahi maseeh ibn maryam magar paighambar, unse pahle bahut se paighambar ghuzre hain, unki maa siddeeqiyah (waliyah) thin, wah dono khaana khaate they, dekh ham un logon ke liye nishaaniyan kaise bayaan karte hain, phir dekh ke ye kahan se paltaaye jaate hain, kah dijiye ke kya tum siwaaye allah ke aisi cheezon ki ibaadat karte ho jo tumhaare nafa wa nuksaan ka ikhtiyaar nahi rakhti, aur allah hi sunne waala aur jaanne waala hai"

(surah maida 75-76)


aur allah taala ka irshasd hai


" aur jis din (allah) un sabko ikattha karega phir farishton ko Kahega ke ye tumhaari ibaadat karte they, wah kahenge:- tu paak hai, tu hi hamaara kaarsaaz hai, inki bajaaye, balke ye jinno ki ibaadat karte they aur unki aksariyat jinno par imaan rakhti thi "

(surah saba 40, 41)


aur allah taalla ne farmaya:


" aur jab allah ne kaha ke aiy isa bin maryam ! Kya tune logon ko kaha tha ke mujhe aur meri maa ko allah ke elawa apna mabood banaayen ? Isa kahenge:- aiy paak parwardigaar ! Mujhe wah baat kahne ki kya padi hai jiska kahne ka mujhe koi haq nahi, agar maine ye baat kahi hui hai toh tu jaanta hai kyonki tu mere dil ke raazon ka waaqif bhi hai aur main tere dil ki kisi baat ko nahi jaanta, beshak tu hi ghaib ka ilm rakhne waala hai "

(surah maida 116)


ab aapko ilm ho gaya ke jisne but ki taraf ruju kiya usne kufr kiya, jisne saaliheen aur buzurgon ki taraf ruju kiya usne bhi kufr kiya,

aur rasoollullah sallalaho alaihi Wasallam (pbuh) ne unke saath jihaad kiya tha,


BARELWI AQEEDA:


BARELWION KA KAHNA HAI:- kaafir to un buton se muraaden maangte they, jabke main shahaadat deta hun ke bila'shubah nafa dene aur nuksaan pahunchaane waala kaarsaaz sirf allah hi hai, aur usi se hi maangta hun, nek logon ko bas me toh kuch nahi.... Main allah ke yahan unki sirf shifaarish ki ummeed par unka qasad karta hun


JAWAB:



Ye hu bahu kuffaar wali baat hai,

allah taala ka irshad hai:-

" jinhone allah ke bajaaye awliya (aur peeron) ko poojna shuru kiya wah bhi kahte hain ke ham unhe isliye poojte hai taake ye hamen allah ke muqarrabeen bana den"

(surah zumar 3)


aur irshaad e rabbani hai:


" aur wah kahte hain ke ye (but, wali, peer ) allah ke yahan hamare shifaarishi hain "


(surah younus 18)


BARELWI AQEEDA:


BARELWI kahte hain ke:-" main siwaaye allah ke kisi ki ibaadat nahi karta aur nek logon ki panaah lena aur tangi wa takleef me mushkil kushaai ke liye unhe pukaarna koi ibaadat toh nahi"


JAWAB:


Kya aap ye iqraar karte hain ke allah ne aapko khaalisatan sirf apni ibaadat farz ki hai, aur ye uska aap par haq hai ?

Agar aap ibaadat aur uski anwa wa aqsaam ko na jaanta ho toh allah paak ka aapke liye irshaad hai

" sirf apne rabb ko aajizi se aur poshidgi se pukaaro "

(surah aaraaf 55)


kya aap samjh gaye ke dua aur pukaar allah ki ibaadat hai

Kyonki Dua toh khaalis ibaadat ka maakhaz hai, jab aap samjh gaye ke pukaarna ibaadat hai, aur aane ne shab wa roz wa rija ya khauff wa ummeed me allah ko pukaara aur phir kisi haajat ke waqt kisi nabi ya ghair nabi ko bhi pukaara toh kya aapne allah ki ibaadat me kisi ghair ko shareek kiya ??

aapke haan kahne ke siwa koi chaarah hi nahi,


allah taala ka irshad hai

" allah ke liye namaz padh aur usi ke naam qurbaani de"

( surah kauthar 2)


aur allah ki farmabardaari ki, aur usi ki naam ki qurbaani di, kiya ye ibaadat hai ??

agar aap kisi makhlooq, nabi, jinn, bhoot, ya unke elaawa kisi ke naam ki qurbaani den toh kya aapne allah ki ibaada me ghair ko shareeq kiya ??

Yaqinan shareeq kiya !!1

wah mushrikeen jin ke mutaallik qur'aan pak ki aayat Naazil hui hai, kya wah farishton, saaliheen aur laat wagerah ki ibaadat karte they ???

dar'asal bhaijaan unki ibaadat bhi dua wa zibaah aur ilteja(waseela) ke siwa kuch na thi..

Balke wah yaqeen rakhte they ke ham allah hi ke ghulaam hain, usi ke qabzah qudrat ke maathat hain, aur allah hi kaarsaaz hai, lekin unhone ghair allah ko unki qadr o manzilat ke pesh e nazar shifaarish ke liye pukaara aur usne rafa e haajat ki bheek maangi, unka ye fael bilkul waazeh shirq hai....



BARELWI AQEEDA:



barelwion ka kahna hai ki AHLE HADITH nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki shafaa'at ka inkaar karte hain


JAWAAB:


main nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki shifaa'at ka inkaar nahi karta hun,

balke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) shafaa'at karne waale aur maqbool e Shafaa'at hain aur main ummeedwaar e shafaa'at hun,

lekin tamaam tar shafaa'at allah ke haath me hai, jaisa ke farmaan e ilaahi hai


" tamaam tar shafaa'at wa shifaarish allah ke akhtiyaar me hai"


(surah zumar 44)


aur allah ke huqm ke beghair kisi ko shifaarish karne ki ijaazat tak nahi, jaisa ke irshaad e baari taala hai


" kaun hai jo uske paas (kisi ki ) shifaarish kare ? Jab tak ke uska huqm wa ijaazat na ho "


(surah baqarah 225)


aur jab tak allah paak kisi ke baare me shafaa'at karne ki ijaazat na denge, shifaa'at na ki jaa sakegi, jaisa ke rabbul izzat ka farmaan hai


" aur kisi ke liye shafaa'at na karenge, siwaaye uske jiski shafaa'at par allah ki razamandi haasil ho jaaye"


(surah ambiya 28)


aur allah ahle tawheed ke siwa kisi dusre aqeedah waale par razamand na hoga, jaisa ke farmaan e ilaahi hai


" agar kisi ne islaam ke elaawa koi dusra deen pasand kiya toh use allah qubool Nahi karega "


(surah imran 85)



jab tamaam shafaa'at sirf allah taala hi ke akhtiyaar me hai, uski ijaazat ke beghair mumkin hi nahi aur na hi nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ya koi dusra kisi ke baare me shafaa'at karega,

yahan tak ke unhe raza e ilaahi ka ishaara na mil jaaye aur raza e ilaahi ahle tawheed ke siwa kisi ko haasil na hogi,


is tarah jab baat khul kar saamne aagayi ke tamaam tar shafaa'at allah ke haath me hai toh usi se hi yun talab karen

" aiy allah ! Mujhe nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki shafaa'at se mahroom na kar "

" aiy allah ! nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko meri shafaa'at ka akhtiyaar aur mera shafaa bana "

aur aisi hi deegar duwaayen maanga karen



BARELWI AQEEDA:


nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko shafaa'at di gayi hai, aur main usi me se talab karta hun jo nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko allah taala ne ata farmaayi hai...


JAWAB:


allah rabbul izzat ne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko shafaa'at ata farmaayi magar aapko nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se talab e shafaa'at ke aqdaam se mana kar diya hai, chunanche irshaad e rabbani hai:


" allah ke siwa kisi dusre ko mat pukaaro "


( surah jinn 18)


jab aap allah se dua karte hain ke wah nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko aap ka shafaai banaaye to uske farmaan

" allah ke saath kisi dusre ko mat pukaaro "

ki bhi itaat karen,

shafaa'at nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke elaawah baaz ko bhi di gayi hai,

sahih ahadith se saabit hai ke farishte shafaa'at karenge, awliya allah shafaa'at karenge, aur shanne shaoor se pahle wafaat paa jaane waale bacche bhi shafaa'at karenge,

aur kya aap ye kahte hain ki allah ne Unhe shafaa'at ata ki hai, aur main unse wah talab karta hun ?


Agar aap is tarah kahen toh aap nek logon ki ibaadat ke shirk me mulawwis hongn, jiska kitaab e ilaahi me zikr hai,

aur agar aapka jawaab manfi me ho toh aap ka ye qaul

" ke allah ne unhe haq shafaa'at me akhtiyaar diya hai aur main isi ata kardah haq se talab karta hun"

( qaul e mushrik)

baatil ho gaya.....



BARELWI AQEEDA:


main kisi ko allah ka shareek nahi banaata, lekin saaleh buzurgon ko pukaarna aur unse ilteja e rafa e haajat to shirk nahi hai !

JAWAB:


aap iqraar karte hain ke allah taala ne shirk ko zina se bhi badh kar haraam wa gunaah qaraar diya hai aur allah ye shirk kabhi maaf nahi karega,

wah kaunsa kaam hai jise allah ne haraam qaraar diya hai aur jisko wa qattan nahi bakhshega ??


Ye baat mushrik nahi jaanta.....

aap khud ko shirk se Bari kaise samjhte hain, jabke aap shirk ko jaante hi nahi ??

Allah ne aap par ye kaise haraam kiya aur kaha ke wah ise maaf nahi karega ?

Aap na to iske baare me poochte hain aur na hi use jaante hain, kya aap ye samjh baithe hain ke allah ne shirk ko haraam toh kar diya hai magar shirk ki wazaahat nahi ki ??

BARELWI:- shirk buton ki pooja karne waalon ko kahte hain jabke ham buton ko nahi poojte hain,

AHLE HADITH:- mushrikeen e makka lakdion aur pattharon ke mutaallik ye aqeedah rakhte they ke wah paida karte aur rizq dete hain aur jo unhen pukaare unke kaam sunwaate hain ??


Qur'aan paak unke mutaallik is nazariye ko ghalat qaraar deta hai,

BARELWION KA KAHNA HAI KI KUFFAR E MAKKA:- wah lakdi, patthar ya mazaar ka qasad karte they, unhe pukaarte they, unke liye qurbaani dete aur kahte they ke ye hamen allah ka muqarrab banaate hain, unki barkat se allah hamaari mushkilaat hal karta hai aur unhi ki barkat se hamen nematon Se nawazta hai,


AHLE HADIH:- aapne theek kaha, aur pattharo, qabron aur mazaaron wagerah par aap bhi yahi kuch karte hain, agar usne tasleem kar liya ke ye umoor buton ki ibaadat me shaamil hain toh unka yahi iqraar hamara matloob hai,


barelwion kahne ke mutaabik buton ki pooja ka naam shirk hai,

kya aapki muraad ye hai ke shirk usi ke saath makhsoos hai aur saaliheen se mushkil kushaai ki ilteja karna aur unhen pukaarna shirk nahi ???


Uski tardeed to quraan paak ki surah maida 112, surah saba 40-41, surah zumar 3, surah yunus 18, aayaat karti hain, jo pahle zikr ho chuki hain, jo farishton, hz isa (as) aur deegar saaleh buzurgon ko pukaarne waalon ke kufr se mutaallik hain,

yaqinan aapko tasleem karna padeega ke agar kisi ne allah ki ibaadat me nek bandon me se kisi ko shareek kiya toh yahi wah shirk hai jiska qur'aan paak me zikr hai, uska yahi iqraar hamara asal matloob Hai,


BARELWI:Agar wah kahe ke shirk buton ki ibaadat karna hai

AHLE HADITH: buton ki ibadat karne ka kya matlab hai ?? Tafseel se bataayen !...

BARELWI: main ek allah ke siwa kisi ki ibaadat nahi karta

AHLE HADIH: aap allah taala ki ibaadat ka maana aur uski wazaahat karen..


Ibaadat hi wah masla hai, jiski wajah se mushrikeen ham par tarah tarah ke ilzaamaat aieed karte hain, aur isi masle par aise bawaal khada karte hain jaise unke peshro bhaiyyon ne chillaate hue kaha tha..


" kya usne sab buton ke bajaaye sirf ek maabood muqarrar kar diya hai ? Ye toh badi hairaan kun baat hai "


(surah saad 5)


BARELWI AQEEDA:


" yani awliya allah par kisi qism ka khauff wa khatrah nahi hota aur na hi wah gham o fikr me mubtela hote hain "

(surah yunus 62)



JAWAB:


ye toh haqiqat hai, lekin unhen pooja toh nahi jaayega,

ham allah ke saath unki ibaadat aur unhe allah ka shareek thahraane ke siwa toh kisi baat ka inkaar nahi karte balke unki muhabbat hudood e shariat me rahte hue unki farmabardari aur unki haqiqi karaamat ka aitraaf waajib hai,

awliya allah ki karaamat ka inkaar ahle bidat wa zalaalat ke elawa koi nahi karta,

aur allah ka deen dono intehaaiyon (yani awliya ki muhabbat me ghulu aur unki ibaadat aur awliya ke saath khafa aur unki karaamaat ke Qulli inkaar ) ke darmiyaan hai,

aur hidaayat dono gumraahiyon ke wast me aur haq dono baatilon ke darmiyaan hai.....


BARELWI AQEEDA


barelwi kahte hain:- jin mushrikeen wa kuffar ke baare me quraan naazil huwa hai wah allah ki wahdaniyat (la ilaaha illallah ) ki shahaadat nahi they they, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki taqzeeb karte they, quraan ko jhutlaate they aur use jaadu qaraar dete they, jabke ham shahadat dete hain ke allah ke siwa koi maabood nahi, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) allah ke rasool hain, Ham quraan paak ke saccha qalaam e ilaahi hone ki tasdeeq karte hai, akhrawi zindagi par imaan rakhte hain , namaz ada karte hain, aur roze rakhte hai, phir aap hamen un mushrikeen ke saath kaise milaate hain ???


JAWAB:


Tamaam ulema e ummat ka is baat par ittefaaq hai ke agar kisi ne baaz umoor me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki tasdeeq aur kuch baaton me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki taqzeeb ki toh wah kaafir hai, daayera islam se khaarij hai,

isi tarah koi quraan pak ke kuch hisse par imaan rakhe aur kuch hisse ka inkaar kare jaise kisi ne tawheed ka iqraar aur namaz ke farz hone se inkaar kiya, ya tawheed aur namaz ka iqraar aur zakaat ka inkaar kiya, ya un sab ka iqraar kiya aur roze ki farziyat ka inkaar kiya, ya kisi ne un tamaam ka toh iqraar kiya magar fareeza e hajj ka inkaar kar diya, aur jab nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke zamaane me Kuch log hajj karne par tayyar na hue toh allah taala ne uske baare me ye aayat naazil farmaayi


" un logon par jo zaad e raah (kharch) rakhte hon sirf allah ke liye baitullah ka hajj farz hai aur jisne kufr kiya allah (usi se kiya) saari duniya se mustaghni aur be'niyaaz hai "

(surah imran 97)


aur jisne in sab faraiz ka iqraar kar liya lekin hayaat e aakharwi ka inkaar kar diya, unke kaafir hone aur uske jaan wa maal musalmaano ke liye bataur e ghanimat halaal hone par bhi ulema e ummat ka ittefaaq hai, jaisa ke irshad e rabbani hai


" jo log allah ke saath aur uske paighambaron ke saath kufr karte hain aur jo log ye chaahte hain ke allah aur uske rasoolon par hamaara imaan hai aur baaz par nahi aur chaahte hain ke imaan aur kufr ke beech koi raah nikaalen, yaqeen maano ke ye sab log asli kaafir hain aur kaafiron ke liye hamne ahaanat aamez (dardnaak) saza taiyyar kar rakhi hai "

(surah nisa 150-151)


jab allah taala apni kitab quraan e pak me saraahat farma chuka hai ke jo shakhs baaz umoor par imaan laaye aur baaz ka inkaar kare wah haqeeqi maano me pakka kaafir aur mazkoorah azaab ka mustahiq hai toh un mushrikeen ka aitraaz aur shubah zaail (khatm) ho gaya,


1- aap khud iqraar karte hain ke jisne rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki tamaam baaton me tasdeek ki aur fareeza namaz ka inkaar kiya uske kaafir hone aur uski jaan wa maal halaal hone par ijma hai,

aise hi wah shakhs jisne tamaam umoor ka iqraar kiya magar aakharwi zindagi ka inkaar kiya, usi tarah wah shakhs jisne ramzaan ul mubaarak ke roze ki farziyat ka inkaar kiya aur deegar tamaam baaton ki tasdeeq ki, uske mutaalliq kisi bhi mazhab me koi ikhtelaaf nahi, aur uske baare me toh khud quraan shaahid hai, jaisa ke hamne uper zikr kiya hai,

ye ek taiy shuda aur laazim haqiqat hai ke tawheed hi Wah azeem fareeza hai jisko le kar rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) tashreef laaye aur ye fareeza namaz, zakaat, roza, aur hajj sabse bada hai, toh phir ye kis tarah mumkin hai ke in umoor me se kisi ek ka inkaar karne waala toh kaafir ho jaaye agarchah wah rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke deegar tamaam ahkaam par amal paira ho ? Aur jab tamaam ambiya e rasool ke deen " tawheed" ka inkaar kare toh kaafir na ho !

Subhaanallah ! Ye kis qadr tajjub angez wa hairat khair jihaalat hai


2- aap ye bhi samjh len ke rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke sahaba (ra) ne "bani haneefa" ke saath jihaad kiya halaanke wah rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath islam la chuke they, wah shahadat dete they ke allah ke siwa koi maabood barhaq nahi aur rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) allah ke rasool hain, wah azaane dete aur namaz bhi padhte they . Agar wah kahe ke "banu haneefa" musailma kazzab (la) ko nabi samjhte they, toh kahiye ke yahi baat toh hamen matloob hai,

jab koi shakhs kisi ko nabi e kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka maqaam wa martaba de toh wah kaafir hoga, uska khoon wa maal halaal hogaya,

use iqraar e tawheed wa risaalat aur namaz koi faayeda na de sake toh us shakhs ka kya anjaam hoga ? Jisne ' khaaliq wa maalik, raaziq' kisi sahaba ya kisi nabi , ya kisi peer, wali, buzurg ko is maqaam tak pahuncha diya

isliye allah taala ne farmaya:

" isi tarah allah unke dilon par muhar laga deta hai jo ke nahi jaante"

(surah rum 59)


3- wah log jinhe hz ali (ra) ne aag se jalaaya tha, wah sab islam ka dawa karte they, hz ali (ra) ke ashaab wa rafqa mese they, unhone sahaba kiram (ra) se ilm seekha tha, lekin hz ali (ra) ke baare me yousuf aur shams wa qamar jaisi bad'aqeedgi ka shikaar ho gaye they.

Sahaba Kiram (ra) unki takfeer aur unke saath jihaad karne par jaise jama ho gaye ?

Kya aap us zan e baatil aur kham khayaali me mubtela hain ke sahaba kiram (ra) musalmaano ki takfeer kiya karte they ?


4- " banu abaid ul qadah " jo " bani abbas" ke daur me maghrib aur misr (egypt) ke hukmaran they, wah sab shahadat dete they ke allah ke siwa koi mabood nahi, rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) allah ke rasool hain,

wah islam ke muddai they aur jumah wah paanch waqt ki namaz pabandi se ada karte they, magar jab unhone sharai umoor me mukhaalifat zaahir ki jo hamaari maujooda ghair sharai harkaat se kahin khafeef aur kam tar thi, toh ulema e waqt unke kufr , unke khilaaf jihaad , unke mulk ko " balad e harb" qaraar dene par mutaffiq ho gaye aur musalmaano ne unke saath jung karke islami mumaalik unke changul se azaad kara liye...


5- : jab pahle log shirk, Takzeeb e rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh), takzeeb e qur'aan aur inkaar e ba'as (marne ke baad qabron se dobara uthaaya jaana) wagerah ki bina par kaafir qaraar nahi diye gaye balke " MURTAD" tak qaraar diye gaye.. Jaisa ke sab mazaahib ke tamaam ulema ne zikr kiya hai, aur murtad wah hai jo islam laane ke baad kufr ka artikaab kare.

Ulema e kiram ne bahut se umoor bayaan kiye hain jinka artikaab musalmaan ko kaafir aur uska maal wa jaan halaal kar deta hai,

yahan tak ke unhone ba'zaahir maamooli umoor tak ka bhi zikr kiya hai,

maslan, dil ki mawafiqat ke be'ghair sirf zabaan se kalmah kufr kahna, ya hanste hasaate bar sabeel mazaak aisa kalmah ada karna


6- wah log jinke baare me irshaad e rabbani hai

" allah ke qasmen khaate hain ke unhone nahi kaha, halaanke unhone kalmah e kufr kaha, aur islam laane ke baad kaafir ho gaye"


(surah tawba 74)




Kya aapne nahi suna ke allah paak ne unhe ek kalmah ki bina par kaafir kah diya hai, halaanke wah ahad risaalat me they, rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath jihaad me shareek hote, namazen padhe, zakaat dete, hajj karte aur allah ki wahdaaniyat par yaqeen rakhte they,

isi tarah wah log jinke baare me irshaad e rabbani hai


" unse pooche ke tum allah, uski nishaaniyon aur uske rasoolon ke saath mazaaq wa tafreeh karte ho ? Bahaane mat banaao, tum apne imaan ke baad kaafir ho gaye ho "

(surah tauba 65-66)


un logon ke mutaalliq rabbul izzat ne saraahat farma di ke wah imaandaar hone ke baad kaafir ho gaye they, halaanke wah ghazwa e tabook me rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath they, unhone qalmah kufr ada kiya aur kaha ke hamne toh ye sirf ba'taur e mazaak kaha tha...


BARELWI AQEEDA



barelwion ke yahan ek aur aitraaz wa shubah ye bhi hai ke wah kahte hain:-" nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya hai ke qayamat ke din log hazrat adam (as) se ist'ghaasa (yani madad) talab karenge, phir hz noah (as) se, hz ibrahim (as) se, hz musa (as) se, hz isa (as) aur bil'akhir nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke paas jaayenge "


maujooda mushrikeen ke nazdeek ye waqeya is baat par dalaalat karta hai ke ghair allah se ist'ghaasa karna SHIRK nahi hai...


JAWAB:


" IST'GHAASA" KI HAQIQAT:



Ham allah ke dushmano ke dilon par muhar saabit karne waali zaat e baari taala ke tasbeeh bayaan karte hue kahte hai ke ham is ist'ghaasa se inkaar nahi karte jo kisi makhlooq se talab ki jaaye, ba'sharte ke wah kaam uske bas me ho,

jaisa ke hz musa (as) ke qisse me allah ka irshaad hai


" jo unki qaum mese tha usne dushman ke fard Ke khilaaf unse madad talab ki "

(surah qasas 15)



ya jis tarah insaan dauraan e jung ya dusre haalaat me apne saathion se aise kaamon me madad talab karta hai, jiski wah taaqat rakhte hain


Hamne toh " ist'ghaasa e ibaadat" ka inkaar kiya hai, jaisa ke ye log awliya-allah ke mazaaraat ke paas ya door'daraaz se unki adam maujoodgi me aise umoor me madad wa mushkil kushaai ke taalab hote hain jinki qudrat sirf allah hi ke paas hai,

jab ye saabit ho gaya toh qayamat ke roz logon ka ambiya wa rasool se ist'ghaasa karna ke wah allah se dua farmaayen taake logon ka hisaab wa kitaab ho aur ahle jannat us taaweel rukaawat ki pareshaani se raahat wa aaraam paayen,

is qism ka ist'ghaasa dunya wa aakhirat har do jahan me jaayez hai,

duniya me yun ke aap kisi paak baaz zinda aur haqiqi wali ke paas jaayen jo aapko apne paas bithaaye aur aapki baat sune, aap use kahen ke mere liye allah se dua farmaayen, Jis tarah ke ashaab e rasool (ra) aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki hayaat e ba'barkaat me yahi sawaal kiya karte they ...


Albatta nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki wafaat ke baad hargiz hargiz aisa nahi huwa ke sahaba kiram (ra) ne roza mubaarak ke paas jaakar ye sawaal kiya ho, balke salaf us saaliheen ne toh aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki qabr e mubaarak ke paas khade hokar allah se sawaal karne ko bhi mamnu kaha hai. Taake koi kamzor imaan waala zaeff ul aitqaad ye na samjh le ke shayad usi roza se rafa e haajat ka sawaal kar raha hai...


BARELWI AQEEDA:


barelwion ka ek aitraaz wa shubah ye bhi hain ke :-" jab hz ibraaheem (as) naar e namrood me daale gaye to hz jibreel (as) hz khaleel (as) ke paas aaye aur kaha:-" koi zarurat hai ? Toh hz ibraaheem ne farmaya:- aapki zaat se ho toh koi zarurat nahi, "

agar jibreel ameen (as) Se ist'ghaasa shirk hota toh wah hz ibraaheem (as) par iski pesh'kash hargiz na karte......!!!



JAWAB:



hz jibreel (as) ne usi kaam me pesh'kash ki jo unke bas me tha,

kyonke hz jibreel (as) irshaad e illahi ki ru se " shadeed ul quwa" yani bade hi taaqatwar hain,

agar allah unhe ijaazat deta ke naar e namrood, uske qareeb wa jawaar ki zameen aur pahaadon ko ukhaad kar door mashriq wa maghrib me phenk den toh ye unke bas me tha...

Agar allah huqm deta ke hz ibraaheem (as) ko us jagah se uthaa kar kisi door'daraaz maqaam par pahuncha de to ye unki liye mumkin tha,

aur agar unhen irshaad hota ke ibraaheem (as) ko aasmaan ki taraf uthaa len toh wah us par bhi qaadir the,

ye waqeya toh bilkul usi sahab e daulat wa ghani insaan ki pesh'kash jaisa hai jo kisi majboor aur mohtaaj aadmi ko dekhe aur use karz dene ki khwaahish zaahir kare ya hasab e Zarurat use yun hi kuch dena chaahe magar wah pareshaan haal muhtaaz uski pesh'kash qubool karne se maazrat karde, aur sabr ka daaman haath se na chhode, yahan tak ke khud allah taala use rizq ata kare, jisme wah kisi ghair allah ka ahsaan mand na ho,


agar maujooda mushrikeen me koi faham wa faraasat maujood hai toh bataayen ke ye ' IST'GHAASA' ibaadat aur shirk kahan hai ???


BARELWI AQEEDA/DALAIL:


SAALIHEEN BUZURGON SW MADAD TALAB KARNA:


Quran 2:154

"AUR JOH LOG KHUDA KI RAAH MAIN MARE JAAYEN UN KI NISBAT YEH NA KEHNA KE WOH MARE HUE HAIN WOH MURDA NAHI BALKE ZINDAA HAIN LEKIN TUM NAHI JAANTE. "

Quran 3:169


Joh Loug Khuda Ki Raah Main Maare Gaye Un Ko Mare Hue Na Samjhna Who Mare Hue Nahi Hain Balke Khuda Ke Nazdeek Zinda Hain Aur Un Ko Rizq Mill Raha Hai."

Ab Ye Baat Bhi Prove Ho Gae Inn Do Ayaat Se K Jo Allah Ki Rah Me Maare Jaen Unhe Murda Na Kaho Wo Zinda Hain……..


JAWAB:


Lekin Yahan Pe Ek Baat Clear Krna Zaruri Hai K Jo Log Bhi Shaheed Hue Hain Wo Qabro Me Ja Chukay Hain.

Ab Hamein Quran Ki Ayaat Se Decide Krna Hai K Hamein Waseela Kin Ko Bnana Hai

Apne Amaal Ko,
Zinda Zahir Logo Ko
Ya Phr Jo Qabro Me Ja Chukay Hain Un Ko.

Note: Shaheed Bhi Zinda Hai Or Dunya Me Rehne Wale Bhi Zinda Hain Fark Itna Hai K Ek Qabar Me Hai Or Ek Nai.


AB DEKHEN QURAAN KYA KAHTA HAI

1))) Hazrat Moosa(A.S) Ne Allah Se Kaha K Hazrat Haroon(A.S) Ko Mera Wazir(Madad Gaar) Bnaen:

Quran 20:29-30

Aur Mere Ghar Waloun Main Se Aik Ko Mera Wazeer Yaani Madadgaar Muqarrar Farma.

30

Yaani Mere Bhai Haroon Ko.

Us Waqt Hazrat Haroon(A.S) Qabar Me NAHI Ja Chukay Thay.


2))) Hazrat Suleman(A.S) Ne Apne Samne Bethe Hue Jin Or Insaan Thay Un Se Kaha K Kon Takht Lane Me Meri Madad Kare Ga:

Quran 27:38-41

"Sulaimaan Ne Kaha Ke Ae Darbaar Walo! Koi Tum Main Se Aisa Hai Ke Qabal Is Ke Keh Wo Loug Farmaabardaar Ho Kar Hamare Paas Aayen Malka Ka Takhat Mere Paas Le Aaye."

39

"Jinnat Main Se Aik Qawi Haikal Jinn Ne Kaha Ke QabalIs Ke Keh Ap Apni Jaga Se Uthain Main Is Ko Aap Ke Paas La Hazir Karta Hoon Aur Mujhe Is Par Qudrat Bhi Haasil Hai Aur Amanat Daar Bhi Hoon."

40

"Aik Shakhs Jis Ko Kitaab-E-Ilaahi Ka Ilm Tha Kehne Laga Ke Main Aap Ki Aankh Ke Jhapakne Se Pehle Pehle Isse Ap Ke Paas Haazir Kiye Deta Hoon.Jab Sulaiman A.S. Ne Takhat Ko Apne Paas Rakha Hua Daikha Toh Kaha Ke Ye Mere Parwardigar Ka Fazal Hai Taa-Ake Mujhe Aazmaaye Ke Main Shukar Karta Hoon Ya Kufraan-E-Naima t Karta Hoon Aur Joh Shukar Karta Hai Toh Apne Hi Faaide Ke Liye Shukar Karta Hai Aur Joh Nashukri Karta Hai Toh MeraParwardigar Be Parwa Aur Karam Karne Wala Hai."

41

"Sulaimaan Ne Kaha Ke MalkaKe Imtihaan-E-Aqaa l Ke Liye Is Ke Takhat Ki Soorat Badal Do.Daikhain Ke Wo Soojh Boojh Rakhti Hai Ya Un Lougon Main Se Hai Joh Soojh Nahi Rakhte."

Us Waqt Wo Shaks Qabar Me NAHI Ja Chuka Tha Jis Se Hazrat Suleman(A.S) Ne Madad Maangi.


3- Allah Momino Ko Hukum De Rahe Hain K Neki K Kaamo Me Ek Dusre Ki Madad Kiya Karo:


Quran 5:22

"Naiki Aur Parhaizgai Ke Kamon Main Aik Doosre Ki Madad(Help) Kia Karo Aur Gunnah Aur Zulm Ki Batoun Main Madad Na Kia Karo Aur Khdua Se Darte Raho.Kuch Shak Nahi Ki Khuda Ka AzaabSakht Ha Yahan Un Momino Se Khitaab Nai Ho Raha Hai Jo Qabar Me Ja Chukay Hain."


4- Hazrat Ibrahim(A.S) Ne Khana.E.Kaaba Ki Tameer Ko Waseela Bnaya:


Quran 2:128


"AE PARWARDIGAAR, HAM KO APNA FARMAANBARDAAR BANAYE RAKHIYO.AUR HAMARI AULAAD MAIN SE BHI AIK GIROH(GROUP) KO APNA MATEE BANATE REHIYO, AUR PARWARDIGAAR HAMAIN HAMARE TAREEQA-E-IBADA T BATA AUR HAMARE HAAL PAR REHEM KE SATH TAWAJOH(ATTENTI ON) FARMA. BESHAK TU TAWAJOH FARMANE WALA MEHERBAAN HAIYahan Hazrat Ibrahim(A.S) Ne Achay Amal Ko Waseela Bnaya"

5- Hazrat Moosa(A.S) Ne Apni Qoum Ko Sikhaya K Allah Par Yakeen Ko Waseela Bnao:


Quran 10:86


"Aur Apni Rehmat Se Qoum-E-Kuffar Se Nijaat Bakhash."

Yahan Par Emaan Ko Waseela Bnaya Gya.

6- Hazrat Yousuf(A.S) K Bhaiyon Ne Apne Walid Ki Dua Ko Waseela Bnaya:


Quran 12:98


"Unhoun Ne Kaha Ke Main Apne Parwardigaar Se Tumhare Liye Bakhshish Maangoon Ga.Be Shak Wo Bakhashne Wala MeherbaanHai."

Us Waqt Un K Walid Qabar Me Nai Ja Chukay Thay.

Inn Sari Ayaat K Baad Ek Bht Hi Simple Si Example Dun Ga Jo K Hum Sab Daily Routine Me Observe Krte Hain:

Hum Jab Bhi Bemar Hote Hain To Doctor K Paas Jate Hain Or UsKo Waseela Bnate Hain Shifa K Liye Lekin Jab Wo Doctor Qabar Me Chala Jata Hai To Kbhi Bhi Us Ki Qabar Pe Ja K Us Ko Waseela Nai Bnate.

Jo Shaheed Qabar Me Ja Chukay Hain Wo Beshak Zinda Hain Lekin Allah K Paas:

Quran 3:169

"Joh Loug Khuda Ki Raah Main Maare Gaye Un Ko Mare Hue Na Samjhna Who Mare Hue Nahi Hain Balke Khuda Ke Nazdeek Zinda Hain Aur Un Ko Rizq Mill Raha Hai."

Qayamat K Din Wo Apni Qabro Se Dubara Uthaye Jaen Gai:

Quran 80:21

"Phir Us Ko Mout Di Phir Qabar Main Dafan Karaya."

Qruan 22:77

"Aur Ye Ke Qiamat Aane Wali Hai.Is Main Kuch Shak Nahi.Aur Ye Ke Khuda Sab Lougon Ko Joh Qabroun MainHain Jala Uthaye Ga."

23:16

"Phir Qiamat Ke Din Utha Khare Kiye Jao Ge"

Note: “”Qayamat K Din”"

Iss K Baad Ek Bht Hi Payari Ayat Allah Ne Naazil Ki Or Wo Hai:

Note:

”Qayamat Tak” "Wo Hamari Pukaar Nai Sun Skte Lekin Jab Qayamat K Din Sunen Gai To Hamare Dushman Ho Jaen Gai."

Ye Ayat Pat’thar K Devi,Devta (Idols) K Liye Nai Hai Kyun K Qayamat K Din Wo Zinda Nai Hon Gai Wo To Be.Jaan Hain.


Umeed Krta Hun K Waseelay Se Related Jinho Ne Ye Note Parha Hoga Un Ko Samajh Me Aya Ho Ga.

No comments:

Post a Comment