Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Tuesday, February 18, 2014

HANAFI MAZHAB ME SHARAAB NOSHI(WINE DRINKING) HALAAL HAI !

Bismillahirrahmanirraheem



HANAFI MAZHAB ME 4 QISM KI SHARAAB HALAAL HAI:


mazhab e islam me har qism ki sharaab haraam hai jo quran ki ayat aur hadith sahiha se sabit hai,


hz abdullah bin umar ra se riwayat hai ki aap sallalaho alaihi wasallam ne farmaya:-" nasha laane waali har cheez khamr(sharaab) hai aur har nasha waali cheez haraam hai"

(muslim bab, khamr)

yah bilkul sahih hadith aapke saamne hai, jisne har qism ki sharab ko haraam karaar diya hai, lekin hanafi mazhab ise nahi maanta , hanafi mazhabi ki sabse motbar kitaab hidayah jild 4 me hai

" gehun(wheat), jau(barley), shahad(honey), jawar(maize) ki banaayi howi sharaab halaal hai,

imam abu hanifa ke nazdeek aur iske peene waale ko hadd(punishment) bhi na lagaayi jaayegi, jabki iske peene se nasha bhi chadh gaya ho


ab hanafi bhai batayen inka kya khayaal hai, fiqh par amal karke inko halaal kahenge ya hadith par amal karke haraam Kahenge.

Isi silsile me ek hadith aur sun len


hz hamiri ra aap sallalaho alaihi wasallam ki khidmat me arz karte hain kah:-" ham sard mulk ke rahne waale hain aur hain bhi mazdoor pesha log, ham gehun se ek qism ki peene ki cheez bana lete hain, jisse hamen quwwat(taqat) hasil hoti hai, aur sardi ki taqleef bhi nahi hoti, aap sallalaho alaihi wasallam ne daryaaft farmaya- kya isse nasha hota hai?, unhone kaha, jee haan! Nasha hota hai, aapne farmaya phir to isse bilkul door raho, unhone kaha accha main aapka yah farmaan to pahuncha dunga, lekin ise chhodenge nahi, aap ne farmaya agar na chhoden to inse jihaad karo"

(abu dawood)


" hz umar ra ne mimber nabwi par khutba dete huwe farmaya:- kah jab aayat hurmat sharab naazil hui, us waqt paanch cheezon ki sharaab banti thi, angoori, khajoor ki, gehun ki, jau ki, shahad ki,

(sahih bukhari)


" ek yamani shakhs ne aap sallalaho alaihi wasallam se Poocha kah hamare yahan jawaar se ek peene ki cheez banti hai, iska kya huqm hai? Aap sallalaho alaihi wasallam ne poocha. Kya wah nasha laati hai? Usne kaha jee haan ! Nasha to laati hai, aap sallalaho alaihi wasallam ne farmaya- nasha laane waali har cheez haraam hai"

(sahih muslim)



HANAFI MAZHAB ME SHARAABI(WINE DRINKER) PAR SAZA BHI NAHI


Aap sallalaho alaihi wasallam ka saaf taur par huqm maujood hai:

" aap sallalaho alaihi wasallam me sharaab peene waale par hadd lagaayi hai"

(bukhari, muslim baad khamr)

yah hadith ka tukda aapke saamne hai, ab hidayah ki ibarat uper padhen jisme saaf hai ki isko peene waale par hadd nahi lagaayi jaayegi, jabki iske peene se nasha bhi chadh gaya ho, dar'asal deen e hanafi deen e muhammadi ke huqmon ko tasleem nahi karta, iske ahkaam alag hain, iske ahkaam banane wale alag hain



THODI SI SHARAAB PI LENA HANAFI MAZHAB ME HARAAM NAHI


hadith me hai




Rasoollullah sallalaho alaihi wasallam ka farmaan hai kah :-" jis cheez ki ziyadati nasha kare iski iski kam maqraar(quantity) bhi haraam hai,"

(tirmizi, abudawood, ibn majah, baab bayan al khamr)

lekin hanafi mazhab is hadith ko nahi maanta wah kahta hai jo pyaale nasha laaye wah hamare nazdeek haraam hai, maslan 10 jaam peene se 9 me nasha nahi aaya to wah halaal hai, 10wa jaam jo aakhiri hai aur jo nasha laaya hai wah haraam hai, chunanche

hanafiyon ki sabse motbar kitab hidaaya ki kitab la sharba me hai

" aur is liye kah mafsad aakhiri jaam hai. Aur wahi jaam hamare nazdeek haraam hai"



TAQAT HAASIL KARNE KE LIYE SHARAAB NOSHI HANAFI MAZHAB ME HALAAL HAI


Har qism ki sharaab ki hurmat ki hadith uper guzar chuki hai, aur islaam me sharaab ki hurmat is qadar mashoor hai kah ise gair muslim bhi jaante hain, lekin hanafi mazhab ki nihaayat motbar kitab hidayah bab sharaba me hai

" sheerah Angoor( grapes juice) jab paka liya jaaye kah do tihaayi (two-third) jaata rahe, aur ek tihaayi (one-third) baaki rahe to wah halaal hai, jabki isme nasha paida karne waala maadah paida ho gaya ho"

phir aap likhte hain kah yah is shart se halaal hai kah jab isse quwwat(taaqat) haasil karne ka iraada ho,

ghaaliban isi tonic ke hasool ki gharaj se hanfiyon ke ek bade imam aur imam abu hanifa ka sabse bade shargird(student) imam abu yousuf ek qism ki angoori sharaab banaya karte they aur khalifa haroon rasheed ko pilaaya karte they, is sharaab ka naam tha sharaab abu yousufi (durre mukhtar jild 4), aur khud bhi istemaal karte they (alamgiri jild 4)



AAKHIR ME DUA HAI

ALLAH HAMEN HAR QISM KI NASHA KHORI SE DOOR RAKHE........AMEEN

No comments:

Post a Comment