Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Wednesday, February 19, 2014

HINDUSTAN ME ISLAM KYUN'KAR FAILA ?? (PART-1)






 .Bismillahirrahmanirraheem

 

HINDUSTAN ME ISLAM KYUN'KAR FAILA ?? (PART-1)

1- Quraish E Makkah Ek Tijaarat Pesha Qaum Thi, Islam Se Pahle Bhi Unki Tijaarat Duniya Ke Mukhtalif Hisson Me Faili Hui Thi, Unke Kaarwan Ba'mausam Sarma (Winter) Mulk Misr (Egypt) Aur Ba'mausam Garma (Hot) Mulk E Shaam Me Is Tarah Aaya Jaaya Karte They Jaise Koi Kisaan Subah Wa Sham Apne Khet Me Chakkar Lagaya Karta Hai,

Usi Qaum Ke Andar Aise Kaafile Bhi They Jo Arab Se China Tatar Tak Aur Arab Se Sudan Tak Pahunchte Aur Maghrib Wa Mashriq Ki Mandion Me Idhar Se Udhar Ka Maal La La kar Dena Apna Alu'himmat Aur Insaaniyat Ka Farz Samjha Karte They,

Bible Me Arab Ki Tijaarat Ka Zikr Mutaddid Maqamaat Par Aaya Hai,

Kitab Paidaish Ka Bayan Hai Ke Hz Yousuf (As) Ko pelestine Se Egypt Le Jaane Waala Kaafila Madyaanion Hi Ka Tha, Wahi Madyaani Jo Banu Ismael Ke Pahlu Ba Pahlu Aabaad They Aur Jinka Imtiyaazi Laqab Banu Qatoora Bhi Tha (Qatoora Khatoon Hz Ibraheem (As) Ki Teesri Khatoon Ka Naam Hai),

Quran Majeed ki Surah Quraish Me Bhi Ahle Makkah Ke Unhi Kaarnaamon Yani Kaarwaani Fatuhaat Ka Zikr Farmaya Gaya Hai,

Sahih Bukhari Ki Hadith Se Waazeh Hota Hai Ke Jab Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Farmaan E Daawat Hirakul Shah Rome Ko Ba'muqaam Jeruselam Diya Gaya, 

Us Waqt Bhi Ghair Muslim Quraish Ka Ek Kaafila Jeruselam Me Maujood Tha, Aur Shah Rome Hirakul Ne Unhi Logon Ko Darbaar Me Talab Karke Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Akhlaaq Aur Taaleem Wa Talqeen Ke Mutaalliq Aazaadana Tahqeeq Ki Thi,

Is Khulaasa Se Mera Maqsad Sirf Ye Waazeh Karna Tha Ke Quraish Ka Qadeem ahad Se Tijaarat Pesha Hona Waazeh Kar Diya Jaaye,

2- Nabi E Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Khulefa Rasheedeen (11 Hijri Ta 40 Hijri) Jo Khilaafat Nubuwwat Ke Sharf Se Mumtaaz Hue Wah Bhi Quraishi Nasal Hi Se They , Wah Halal Ke Liye Tayyib Tareen Tareeqa Tijaarat Hi Ko Samjhte They, Lihaaza Wah Tijaarat Ki Taraf Se La'parwaah Na Ho Sakte They,

Ameer ul momineen Hz Umar Farookh (Ra) Ne Qaum Ke Buland Iraadon Ko Dekhkar 2 Nayi Mandion Ka Qayaam Farmaya

1- Koofa
2- Basra

Hamare Article Ka Talluq Mandi Basra Se Bahut Zyada Hai,

Agar Us Zamaane Ka Koi Aala Tareen Mudabbir Hindustan Ke Liye Arab Se Koi Aisa Seedha Raasta Nikaalna Chaahta Jisme Samundar Ka Chote se Chota Raasta Padta Ho Aur Us Aabaad Mandi Se Lekar Haramain Tak Ka saara Raasta Ek Hi Qaum, Ek Hi Mazhab, Aur Ek Hi Zabaan Bolne Waale Ke Qabze Me Ho Toh Wah Basra Ke Siwa Aur Kisi Maqaam Ka Intekhaab Nahin Kar Sakta Tha,

Ameer Ul Momineen Hz Umar (Ra) ne Unhi Khususiyaat Ko Madde'nazar Rakhte Hue Basrah Ko Is Maqaam Par Aabaad Kiya,

Ahad Farooqi Me Arab Ne Samundar Ko Uboor Nahin Kiya, Taaham Basra Ki Mandi Ko Markaz Qaraar Dete Hue Musalmano Ne Mashriqi (East) Siberia Tak Ko Apni Panaah'gaah Banaane Me Khaasi Kaamyaabi Haasil Kar Li Thi,

Ameer Ul Momineen Hz Usman (Ra) Ko Apni Khilaafat Ke Aaghaaz Hi Me Bahri Bedha (Naval) Banaane Ki Fauri Zaroorat Mahsoos Hui, Ye Zaroorat Aztaraari Bhi Thi, Unko Sahih Ittela Mil Gayi thi Ke Wah Jeruselam (Bait Ul muqaddas) Jise Musalman Ahad Farooqi Me Khuski Ki Raah Se Fatah Kar Chuke They Ab Use Bahri Raasta Se Fauj Kashi Karke Shah Rome Waapas Lena Chaahta Hai,

Ameer Ul Momineen Ne Bahri Beda Qayem Kiya, Makka Ka Saabiq Bandar'gaah Saeedah Tha , Wah Tang Aur Jadeed Bedah Ke Liye Ghair Maktafi Tha Isliye Jeddah Ko Bandar'gaah Banaya Gaya, Fir Madeena ke Liye Bhi Jeddah Aur Egypt Ke Darmiyaan Ek Jadeed Bandar'gaah Tajweez Ki Jo Ab Yanbu Ke Naam Se Naam'zad Hai, Madeena Se Yanbu Tak Jo Khushk (Dry) Raasta Hai Use Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Mulaaheza Farma Chuke They,

Ameer ul Momineen hz Usman (Ra) Ka Qayem kardah Bedah 3 Saal Ke Andar Ek Zabar'dast Bahri beda h Ban Gaya, Usne Crete Aur Malta Aur Tarabulas Maghribi (Jahan Par Hirakul Apni Bahri Taaqat Hijaaz Wa Pelestine Aur Egypt Ke Khilaaf Faraaham Kar Raha Tha) Fatah Kar Liya,

Bedah Ki Kaamyaabi Ne Saffain Par Dajla Wa Furaat Ka Raasta Khol Diya Aur Quraish Ke Badhte Hue Iraadon Ne Basra Se Saahil Hindustan Ki Taraf Ka Silsila Qaayen Kar Diya,

Ye Log Basra Se Karachi Wa Surat Hote Hue Apne Jahaaz Malebaar Tak Laya Karte They, Lihaaza Bahut Se Maqaam Unke Qayaam Wa Aaraam Ka Nasheman Ban Gaye They Aur Unke Taalluqaat Roz Ba'roz Taraqqi Ke Saath Badh Rahe They..

  3- Un Jahaazon Ki Tadad Aahista Aahista Badhti Rahi Aur Unki Daulat Wa Tamool Ki Daastaan Bhi Mubaalgha Ke Saath Mulk Me Failne Lag Gayi, Hatta Ke Hukmaran E Sindh Ne Unko Pareshan karna Shuru Kar Diya, Un Par Bhari Bhari Tax Lagaaye Aur Unki khuli Tijaarat Par Beja Qaid Ka Izaafa Kiya, Aur Fir Ye Zor O Sitam Yahan Tak Badh Gaya Ke Kai Dafa Jahaazon Ko Loota Gaya Aur Mu'azziz Taajiron Ko Mazeed Jurmaana Wa Tawaan Ke Liye Majboor Kiya Gaya... Ye Waaqye Abdul Malik Umawi Ke Ahad e Sultanate Ke Hain..

Abdul Malik Bhi Quraish Qabeele Se Tha, Wah Tijaarat Ki Qadr O Keemat Ko Samjhta Tha, Wah Jaanta Tha Ke Apni Qaum Ke Taajiron Ki Agar Wah Hifaazat Na Karega Toh Khud Uska Takht Khatre me Aa Jaayega, Lihaaza Usne Apne Governor Basra Wa Koofa Yousuf Bin Hajjaj Sakafi Ko Sindh Fauj Rawaana Karne Ka huqm Diya,

Yousuf Bin hajjaj Agarchah Zaalim Ka Putla Tha Lekin Umoor Kharjaah Me Wah Zabardast Mudabbir Tha,

Usne Muhammad Bin Qasim Ko Nihaayat Bahadur Aur Saazo'samaan Se Nihaaayat Muqammal Lashkar Ke Saath Sindh Rawaana kar Diya, Is Lashkar'kashi Ka Maqsad Sirf Taadeep Aur Bahri Khatraat Ko Islaami Tajjaar Ke Saamne Se Hata Dena Tha,

Muhammad Bin Qaasim Ne Jaabir raja Daahir Ka Mulk Aisi Rawaani Se Fatah Kar Liya Ke Aas Paas Ki Hukumaton Par Uska Rob Chha Gaya, Usne Sabse muwahedaat (Treaty) Kiye Aur Maftoofa Mulk Ka Intezaam Usi Qaum Ke Haath me Chhod Kar watan Ko Waapas Chala Gaya, Jaane Se Peshtar Usne Multan Ko Markaz Isha'at E Islam Bhi Muqarrar Kar Diya Tha, Us Markaz Me Aahista Aahista Kaam Hota Raha,

Umar Bin Abdul Aziz Umawi Ne Jo Nek Aur Saaleh Hukmaran They, Apni Khilaafat Ke Ayyaam Me Hukmaraan e Sindh Ko Daawat E Islam Di, Faraameen Bheji Aur Us Nek Niyyat Baadshah Ke Faraameen Ne Sainkdon Logon Ko Imaan Aur Amal Saaleh Ka Aashna Banaaya,

Ye Jumla Waaqeyaat Pahli Sadi hijri Ke Hain,

Bahri tijaarat Ke Raaste Khul Jaane Ke Baad Arab Taajjaar Ki Aamad O Raft Junoobi (South) Hindustan Tak Fail Gayi Thi, Unhone Malabaar Ko Tijaarat Nez Isha'at E Islam Ka Markaz Banaya Aur Jazair Lankadeep (Sri Lanka) Aur Maldives Tak Islam Ko Aisi Khoobi Se Pahunchaaya Ke Wahan Ka Raja Bhi Musalman Ho Gaya,

Arab Saudagar Nau'muslimah Aurton Ko Apne Khaandaan Ki Khwaateen Ka Darjah Dekar Unse Shadi Kar Lete They, Un Musalman Tajjaar Se Hindu Maharaja Amuman Khush Rahte They

1- Isliye Ke Unki Tijaarat Unke Mulk Aur Taraqqi Mardum Shumaari Aur Afzoni Daulat Ka Sabab Thi,

2- Aur Isliye Ke Ye Tajjaar Mulk ke Androoni Intezaam Ya Maraaseem Me Zara Bhi Madakhalat Na Karte They....

4- Dusri Sadi Hijri Me Islam Jazeera Selwan Tak Islami Siyaahon Ke Dam Kadam Se PahUnch Gaya, Aise Siyaaheen Me Sheikh Shareef Bin Malik Aur Unke Bhai Malik Bin Dinar Zyada Mumtaaz Hai, Unhi Ki Hidayat Se Anganoor Ka Raja Musalman Hua, Aur Musalman Hote Hi Hajj Ko Rawaana Ho Gaya Aur Arab me hi Uski maut Ho Gayi,

Uski Aakhiri Wasiyat Ki Taameel Uske Jaan'nasheeno Ne Poori Sadaaqat Se Ki Aur Musalman Muballigheen Ko Mangalore, Bangore, Kanjarcoat Wagerah Me Tableegh Karne Aur Masjid Banaane Ki Ijaazat De Di, Yahi Wah Zamaana Hai Jab Mopalla Qaum Ke Baashinde Bhi Daakhil E Islam Hue They...

No comments:

Post a Comment