Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Wednesday, February 19, 2014

HZ ADAM ALAIHIS SALAM

Bismillahirrahmanirraheem



Adam a'laihi salam....




Aur (wo waqt yaad karne k qabil hai) jab
tumhare parwardigar ne farishto se farmaya
k mai zameen me (apna) naib banane wala
hun..
Unhone(farishto ne) kaha: kya tu isme aise
shaqs ko naib banana chahta hai jo kharabiya
kare aur kasht o khun karta phire aur hum
teri tareef k sath tasbih karte rehte hai.


(ALLAAH ta a'la ne farmaya) : mai wo baate
janta hun jo tum nhi jante.


Aur isne Adam a'laihi salam ko sab (chizo k)
naam sikhae phir unko firishto k samne pesh
kiya
aur farmaya k Agr tum sache ho to inke naam
batao?


Unhone (farishto ne) kaha : Tu pak hai jitna
ilm tu ne hum ko bakhsha hai uske siwa
hame kuch malum nhi beshak tu daana (aur)
hikmat wala hai.

(Tab) ALLAAH ne (Adam a'laihi salam ko) hukm
diya : Adam! Tum inko in chizo k naam
batao !



Jab unhone unke naam batae to (ALLAAH ta
a'la ne farishto se) farmaya : kyu ! Maine
tumse nhi kaha tha k mai asmano aur zameen
ki (sab) poshidah bate janta hun aur jo tum
zahir karte ho aur jo poshida karte ho (sab)
mujhko malum hai.



Aur jab humne farishto ko hukm diya k Adam
K aage sajda karo to wo sab sajde me gir
pade magar shaitaan ne inkar kiya aur gurur
me akar kafir hogaya



aur hamne kaha : Ae Adam ! Tum aur tumhari
biwi jannat me raho aur jaha se chaho be rok
tok khao (piyo) lekin us darakht k pas na jana,
nhi to zalimo me (dakhil) hojao ge..


Phir shaitan ne dono ko waha se phusla diya
aur jis (aish o nishat) me the, us se unko
nikalwa diya..



Tab humne hukm diya k (behisht se) chale
jao. Tum ek dusre k dushman ho aur tumhare
liye zameen me ek waqt tak thikana muash
(muqarrar kardiya gaya) hai



phir Adam a'laihi salam ne apne parwardigar
se kuch kalmat seekhe (muafi mangi) to
ALLAAH ne unka qasoor maaf kardiya beshak
wo maaf karne wala (aur) sahib e raham hai.


Humne farmaya k tum sab yaha se utarjao jab
tumhare pas meri taraf se hidayat pohonche
to (uski pairwi karna k) jinho ne meri hidayat
ki pairwi ki unko nakuch khaof hoga aur na
wo ghamnaak honge.



Aur jinhone isko qubul na kiya aur hamari
ayato ko jhutlaya wo dozakh me jane wale hai
(aur) wo hamesha usme rahenge..



[suratul Baqarah 2 : ayat 30-39]

No comments:

Post a Comment