Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Sunday, February 2, 2014

MEELAD SHAREEF KI HAQIQAT

BISMILLAHHIR RAHMANIR RAHEEM


MERE PREVIOUS ARTICLE KO ACCHA RESPONSE MILA, USI ARTICLE KE RESPONSE KO DEKHTE HUE, MANN ME AAYA KI KUCH AUR BAYAN KARUN,


ALHAMDULILLAH AUR AAJ WO MAUKA AA GAYA, JISME MAIN BARELWIYAT KE TARUF KI 5wi KADI PESH KARNE JAA RAHA HAI, JISKA MAUJOO HAIN JASHN E MILAAD AUR USKI SHARAI HAISIYAT




JAHAN TAK ID UL MILAAD KA TALLUQ HAI TO YE 7wi SADI HIJRI ME EK BIDATI BADSHAH MUZAFFARUDDIN KI IJAAD HAI,


" WAH EK FUZUL KHARCH BADSHAH THA WAH MEELAD MANAYA KARTA THA WAH SABSE PAHLA INSAN THA JISNE YAH KAAM SHURU KIYA"


(AL KAULUL MOTMIDFI AMLI MAWLID)


AUR AAGE IMAM ZAHBI FARMATE HAIN-" WAH HAR SAAL APPROX 3 LAKH DINAR IS BIDAT PAR KHARCH KARTA THA"

(DAULUL ISLAM AZ IMAM ZAHBI 2/102)


AUR IMAM IBNE KATHIR FARMATE HAIN-" USKE DAUR ME EK BIDATI AALIM UMAR BIN DAHIYA NE BHI USKA SAATH DIYA, BADSHAH NE USE EK HAZAAR DINAAR INAAM DIYA"


(AL BADAYA WAN NIHAYA 13-144)


USI KITAB ME UMAR BIN DAHIYA KE BAARE ME LIKHA HAI-"YAH INSAAN JHOOTA THA, LOGON NE ISKI RIWAYATON PAR BHAROSA KARNA CHHOD DIYA THA AUR USKO BURA SAMJHTE THEY"


IMAM IBNE HAJAR NE BHI ISKE BAARE ME LIKHA HAI-" YAH INSAN BAHUT JHOOTA THA KHUD HADEESEN BANAKAR USKO NABI SWS KI TARAF MANSOOB KAR DETA THA, SALAF US SAALIHEEN KI BADZABAANI KARTA THA"


ABUL OOLA ASBAHANI NE USKE BAARE ME EK WAQEYA NAQAL KI HAI- "WAH EK DIN MERE WAALID KE PAAS AAYA USKE HAATH ME EK MUSALLA BHI THA USNE USE CHOOMA AUR AANKHO PAR LAGAYA AUR KAHA-" YAH MUSALLA BADI BARQAT WALA HAI MAINE IS PAR KAI HAZAAR NAFILEN ADA KI HAIN AUR BAITULLAH SHAREEF ME IS PAR BAITH KAR QURAN PAAK KHATM KIYA HAI ITTEFAQ AISA HUWA KI USI DIN EK TIJARATI MERE WAALID KE PAAS AAYA AUR KAHNE LAGA, AAPKE MAHMAAN NE MUJHSE AAJ BADA MAHENGA JANAMAAZ KHAREEDA HAI MERE WAALID NE WAH MUSALLA JO MAHMAAN UMAR BIN DAHIYA KE PAAS THA USE DIKHAYA TO TAAJIR NE KAHA KI YAHI WAH JANAMAAZ HAI JO USNE MUJHSE AAJ KHAREEDI HAI IS PAR MERE WAALID NE USE BADA SHARMINDA KIYA AUR GHAR SE NIKAAL DIYA"


(LISANUL MEEZAN AZ IMAM IBNE HAJAR 4/396)



MATLAB YAH HAI KI AISE INSAN NE US BADSHAH KI PAIRWI KI AUR MEELAD KE SILSILE ME USKA SAATH DIYA,

EID UL MEELAD SIRF ISAAIYON KI MAZHAB ME HAI, ISLAMI SHARIAT ME ISKA KOI MATLAB NAHI


MEELAD KI MAHFIL ME BARELWI HAZRAAT MEELAD PADHTE WAQT KHADE HO JAATEN HAIN UNKA AQEEDA HOTA HAI KI RASOOL SWS KHUD US ME HAAJIRI KE LIYE TASHREEF LAATE HAIN,

BARELWI YE SHER PADHTE HAI-

DAM BADAM PADHO DUROOD HUZOOR BHI HAI YAHAN MAUJOOD


EK BARELWI NE LIKHA HAI-"MEELAD SHAREEF KE ZIKR KE WAQT KHADE HONA FARZ HAI"


(AL ANWAARUS SAATIHA 250)


AB HADITH E NABWI KI TARAF AATE HAIN


NABI (SWS) FARMAYA KARTE THEY-" JISE YE BAAT ACCHI LAGTI HAI KI LOG UNKE SAMMAN(RESPECT) KE LIYE KHADE HON TO USKA THEEKANA JAHANNUM HAI"

(TIRMIZI, ABU DAWOOD)


ISI LIYE SAHABA KIRAM(RA) AAPKO DEKH KAR KHADE NAHI HUWA KARTE THEY KYONKI UNHE PATA THA KI AAP ISE NAPASAND KARTE HAI,

LEKIN BARELWI HAZRAAT PAR HAIRAT HAI KI NABI (SWS) KI PAIDAISH KI MEELAD AAPKI WAFAAT KI TAAREEKH KE DIN MANATE HAIN KYONKI AAPNE 12 RABIUL AWWAL KO INTEQAAL FARMAYA THA, AAP KI TAREEKH E MEELAD 9 RABIUL AWWAL HAI AUR TAREEKH SE YE BAAT SAABIT HO CHUKI HAI,


AUR ISSE ZYADA HAIRAT KI BAAT YE HAI KI KUCH SAAL PAHLE BARELWI HAZRAAT ISE BARAHWAFAAT KAHA KARTE THEY AUR AB BAARAH WAFAAT SE BADAL KAR BARAHMEELAD KAR DIYA HAI,


EID UL MEELAD KE BHI EK GHAIR ISLAMI EID HAI, PICHLE JAMANON ME ISKA KOI WAJOOD NAHI THA KHUD DEDAAR ALI NE IS BAAT KO MAANA HAI KI-" MEELAD SHAREEF KA SALAF US SALIHEEN SE PICHLE ZAMAANE ME KOI SABOOT NAHI, YAH BAAD ME IJAAD HUI HAI"


(RUSULUL KALAM 15)


AIYYE AUR KUCH BAATIL FATAWE SUNTE HAIN-

"SIRF MEELAD SHAREEF KARNA AUR WILADATE PAAK KI KHUSHI MANANA, USKE ZIKR PAR KHUSBU LAGANA, GULAB CHIDAKNA, MEETHAI BAATNA, MATLAB YAH KI KHUSHI ZAAHIR KARNA JIS JAYEZ TAREEQON SE HO WAH MUSTAHAB HAI AUR BAHUT BARQAT KI CHEEZ HAI, AAJ BHI ISAAI SUNDAY KO ISLIYE EID MANATE HAIN KI IS DIN DASTARKHAWN UTRA THA AUR NABI SWS KI AAMAD US FAIDE SE KAHIN BADKAR NEMAT HAI, ISLIYE UNKI WILADAT KA DIN BHI EID KA DIN HAI"

(JAAL HAQ 1/231)


AUR SUNE

"MEELAD SHAREEF QUR'AN WA HADITH AUR FARISHTE WA PAIGHAMBARON SE SAABIT HAI"

(JAAL HAQ 231)

DEEDAR ALI LIKHTE HAIN-" MEELAD SUNNAT HAI AUR WAAJIB HAI"

(RUSULUL KALAM 58)

AUR LIKHTE HAIN-"MEELAD KE ZIKR KE WAQT KHADE HONE KA QUR'AN MAJEED(KAUN SE QUR'AN) ME HUQM HAI"

(RUSULUL KALAM 60)

"AUR YAHI DEEDAR ALI HAIN JINHONE KAHA HAI KI MEELAD SHAREEF KI ASAL PICHLE ZAMAANE SE SAABIT NAHI"


WALLAHUALAM......


ALLAH HAME AISE BIDATION SE BACHAYE.....AMEEN

No comments:

Post a Comment