Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Thursday, February 27, 2014

MOTHER DAY AUR FATHER DAY MANAANE KI HAQIQAT:











Bismillahirrahmanirraheem



MOTHER DAY AUR FATHER DAY MANAANE KI HAQIQAT:



Aaj ki duniya me ab koi bhi aisa maheena nahi guzarta hoga jisme koi day na manaya jaata ho,

yah sirf hamare mulk me nahi balki duniya ke zyadatar mulkon me badi dhoom dham se manaya jaata hai,

kuch days ko har koi jaanta hai, jaise womens day, childrens day, fathers day, labour day, is tarah ke jitne bhi days hain, ab dusri rasmon ki tarah inko bhi pabandi se ada kiya jaata hai, is tarah ke days me partiyon se lekar organisations bhi apne members ko ikattha karke dinon me poori taiyyari ke saath bheed lekar jama ho jaati hai,

kisi ki niyat par to shak nahi kiya ja sakta, lekin jab ham zameeni haqiqat ko dekhte hain to yah sab days kar koi faayeda dikhaayi nahi padhta,

maa, baap ke liye jo day manaya jaata hai wah western ki den hai lekin western mulkon me maa, baap ki jo haalat hai wah kisi se dhaki chhupi nahi hai, maa Baap jaise hi budhaape me qadam rakhte hain, bacche rishtedaar unhe old age home ke hawale kar dete hai, taaki har tarah ki jimmedaari aur pareshaani se chutkaara mil jaaye, sirf ek misaal se mother day, father day ki pol khulti nazar aati hai


aaj kal days ke naam par jo kuch bhi manaya jaata hai to sabse pahle hamen yah dekhne ki zarurat hai ki yah day manane ki naubat kyon aayi?

Kya day manane se maa, baap ke huqooq(right) mil jaayenge?

Kya day manane se aurton ke huqooq(right) mil jaayenge?

Kya day manane se yateem aur mazdooron(labours) ke huqooq(right) mil jaayenge?

Kya day manane se andhon(blind) ko un ke huqooq(right) mil jaayenge?


Yah aur is tarah ke sawaal ko bahut ghaur se samjhne ki zarurat hai


mazdooron ke huqooq ki baat karne se pahle hamen yah bhi jaanne ki zarurat hai ki islam ke aane se pahle mazdoor tabqa(group) ki kya haalat thi, logon ka uske saath kaisa tareeqa tha,

rome ke Badshahon ka rawaiyya yah tha ki har tarah ke huqooq unhi ke paas they, jisko maanne par log majboor they

zahir si baat hai jahan par har tarah ke huqooq badshahon ke paas honge wahan ke mazdooron ke huqooq aur unki haalat ko aasaani se samjha ja sakta hai, is baare me zyada batane ki zarurat nahi hai, dusri alfaz me kaha ja sakta hai ki sabse zyada buri haalat mazdooron ki thi


is waqt aam taur se mazdooron ke 3 tarah ki pareshaaniyan hain

1- kam paise dekar zyada kaam lena

2- kaam lekar paisa waqt par na dena

3- mazdoor ki taqat se zyada kaam lena


islam in sab pareshaniyon ka hal 1400 saal pahle pesh kar chuka hai,

islam kahta hai:-" mazdoor ki mazdoori uska paseena sookhne se pahle de do"

agar is par amal kiya jaaye to pahli pareshaani ka hal isme maujood hai

isi tarah muhammad(sws) ne farmaya:-" 3 tarah ke log aise hain jinke baare me main qayamat ke din khud wakalat karunga, inme se ek Shakhs wah bhi hai jisne kisi ko kaam par rakha usse poora kaam le liya aur usko poori mazdoori di,

agar is ibarat par amal kiya jaaye to dusri pareshani ka hal maujood hai

ek mauqe par muhammad(sws) ne farmaya:-" jis tarah apne aulaad ka sammaan karte ho unka bhi usi tarah karo aur unko (mazdooron) wahi khilaao jo khud khaate ho"

ek mauqe par muhammad(sws) ne farmaya:- mazdoor tumhare bhai hain"


agar koi bhi shakhs mazdooron ko apne bhai ki tarah samjhega to phir uske saath zyadati nahi hogi,


agar islam ke in rules ko apna len to phir labour day ya is tarah ke kisi day ko manaane ki zaroorat nahi padegi,

is tarah ham in kaamon me hone waali fuzool kharchi se bhi bach jaayenge,

LABOUR DAY MANAANE WALON TAK HAMEN ISLAM KE HUQMON KO ZAROOR PAHUNCHAANA CHAHIYE

No comments:

Post a Comment