Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Sunday, February 2, 2014

MURDE SUNTE HAIN- (KITAB WA SUNNAT KI ROSHNI ME) PART 2




Bismillahirrahmanirraheem

MURDE SUNTE HAIN- (KITAB WA SUNNAT KI ROSHNI ME) PART 2

kitab Wa sunnat Ki Daleelon Se Yah Baat Saaf Ho Rahi Hai ki Barzakh Ki Zindagi Ek Poori Zindagi Hai, Jisme Murda Khaata Peeta Bhi Hai, Sunta Bolta Bhi Hai, Dekhta Aur Pahchaanta Bhi Hai, Sochta Aur Samjhta Bhi Hai, Raahat Aur Khushi Bhi Mahsoos Karta Hai,

Murda Kaafir Ho Toh Hasrat Aur Nadaamat Mahsoos Karta Hai, Rota Peet'ta Aur Cheekhta Chillaata Bhi Hai,

Lekin Barzakh Me Murde Ka Sunna Duniya Ki Zindagi Ke Sunne Se Alag Hai,

Barzakh Me Murde Ka Bolna Duniya Ki Zindagi Ke Bolne Se Alag Hai,

Barzakh Me Murde Ka Dekhna Aur Pahchanna Duniya Ki Zindagi mrDekhne Aur Pahchaanne Se Alag Hai,

Barzakh Me Murde Ka Khaana Peena Duniya Ki Zindagi Me Khaane Peene Se Alag Hai,

Barzakh Me Murde Ka Sochna Samjhna Duniya Ki Zindagi Me Sochne Samjhne Se Alag Hai,

Barzakh Me Murde Ka Raahat Aur Khushi Mahsoos Karna Duniya Ki Zindagi Me Raahat Aur Khushi Mahsoos Karne Se Alag Hai,

Kaafir Murde Ka Barzakh Me Nadaamat Aur Hasrat Mahsoos Karna Duniya Ki Zindagi Me Hasrat Aur Nadaamat Mahsoos Karne Se Alag Hai,

Barzakh Me Murde Ka Rona Peetna Aur Cheekhna Chillaana Duniya Ki Zindagi Me Rone Peetne Aur Cheekhne Chillaane Se Alag Hai,

Jise Aaj Is Maddi Duniya Me Ham Samjh Nahin Sakte,

Haqeeqat Yah Hai Ki Jis Tarah Aalam E Arwaah Ki Kaifiyat Ka Idraaq Mushkil Hai Isi Tarah Is Maddi Duniya Me Rahte Hue Barzakh Ki Haalat Ko Samjhna Aur Uska Idraak Karna Hamaare Liye Mushkil Hai,

Quraan Majeed Is Haalat Ki Bade Saaf Lafzon Me Bayan Karta Hai,

Allah Taala Ka Irshad Hai

"Aur Jo Log Allah Ki Raah Me Maare Jaayen Unhe Murda Na Kaho Balke We (Barzakh Me) Zinda Hain Lekin Tumhe (Unki Zindagi Ka) Sha'oor Nahin"

(Surah Baqarah 154)

Allah Taala Ke Is Irshad Ke Ba'wajood Jin Logon Ko Is Baat Par Israar Hai Ki Wah Barzakhi Zindagi Ka Sha'oor Rakhte Hain Aur Jaante Hain Ki Murde Waisa Ki Sunte Hain Jaisa Duniya Ki Zindagi Me Sunte They,

Murde Waisa Hi Bolte Hain Jaisa Duniya Ki Zindagi Me Bolte They,

Waisa Hi Khaate Peete HainJaisa Duniya Ki Zindagi Me Khaate Peete They,

Unka Mauqaf Na Sirf Yah ki Aqalan Sahi Nahin Balke We Hazraat Quraan Majeed Ki Is Aayat Me " La Tash'ooroon" Ke Alfaaz Ka Khullam Khulla Inkaar Bhi Karte Hain,

Aakhir Me Ham Marne Ke Baad Ka Sunna Ka Aqeeda Rakhne Waalon Se Yah Poochna Chaahenge Ki

Barzakh Me Har Murde Ka (Chaahe Wah Musalman Ho Ya Kaafir, Nek Ho Ya Badd, Wali Ho Ya Ghair Wali) Sunna, Bolna, Dekhna, Pahchaanna, Momin Ho Toh Uska Raahat Aur Khushi Mahsoos Karna, Qayamat Qayam hOne Ki Dua Maangna Sab Kuch Saabit Hai,

Phir Aakhir Kya Wajah Hai Ki Sirf Auliya Ke Sunne Ko Hi Hamesha Bahes Me Laaya Jaata Hai, Ghair Auliya Ka Sunna Kabhi Zer e Bahes Nahin Laaya Jaata ???

Dusra Sawaal Yah Hai Ki Auliya e Kiram Ke Sirf "Sunne" Par Hi Bahes Kyon Ki Jaati Hai, Unka Bolna, Dekhna, Pahchaanna, Khushi Aur Raahat Mahsoos Karna, Khaana Peena Aur Dusre Kaamon Ko Zer e Bahes Nahin Laaya Jaata ??

Wajah Saaf Hai Ki Auliya Aur Nek Logon Ke Barzakh Me Sunne Ko Hi Buniyaad Banaakar Unke Mazaaron Par Haajiri Dene, Muraade Maangne, Haajat Talab Karne, Museebat Aur Mushkil Me Unhe Pukaarne aur Unse Gunaah Bakhswaane Ka Yaqeen Qayem Hota Hai Aur Phir Isi Aqeede Ki Buniyaad Par Logon Se Chadhaawe Aur Nazraane Wasool Kiye Jaate Hain,

Agar Logon Ko Yah Saaf Baat Bata Diya Jaaye Ki Murde Sirf Barzakh Me Sunte Hi Nahin Bolte Bhi Hain, Dekhte Bhi Hain, Pahchaante Bhi Hain, Khaate Peete Bhi Hain, Raahat Aur khushi Bhi Mahsoos Karte Hain Lekin Ye Sab Kuch Is Duniya Ki Zindagi Jaisa Nahin Balke Usse Bilkul Alag Hai, Toh Iska Nateeja Yahi Niklega Ki Deen e Khaankahi Ka Saara Karobaar Khatm Ho Jaayega

Mazaaron Ki Raunaqen Aur Mahfilein Veeraan Ho Jaayengi, Dargaahon Ke Bhaari Hukumati Wazaif, Grants, Aur Theke Khatm Ho Jayenge,

Sajjada'nasheen, Gaddi'nasheen, Makhdoom, Durwesh Aur Mujaawar Aam Insaano Ki Tarah Pet Paalne Ke Liye Mahnat Mazdoori Karne Par Majboor Ho Jaayenge Aur Yah Mashaqqat Aur Museebat Aakhir Kaun Mol Le....

Allah Taala Hamen Haq Baat Kahne Aur Sunne Ki Taufeeq Ata Farmaaye...... Aameen

The End

No comments:

Post a Comment