Bismillahirrahmanirraheem
hamare Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne hamari hidayat ke liye umar bhar takleef sahan kiye, gaaliyan suni, patthar khaaye, ghar baar chhoda, raat din ka chain aur sukoon haram kiya, jis zaat ne hamen paida karne waali aur malik se pahchaan karaaya, aqeeda tawheed ki samjh paida ki, hamen sone, , jaagne, uthne, baithne, chalne, phirne, khaane, peene, pahanne, baat cheet karne yahan tak ki paaki aur taharah tak ki adaayegi sikhaayi, na jaane paak umar ki kitni raatein hamari maghrifat ke kiye ro rokar guzaari,
7 aasmaano ke uper jaakar bhi hamen bulaaya nahi gaya, zindagi ki aakhiri saans tak hamari hidayat aur maghfirat ke liye pareshan aur bechain rahe, qayamat ke din bhi hamari maghfirat ki khaatir allah taala ke saamne lambi muddat tak sajda me rahkar shafaat ki ijaazat haasil karenge, pareshani ki haalat me kabhi hisaab ki jagah par, kabhi meezaan ki jagah par aur kabhi siraat par hamari khabar'giri farmaayenge, jahannum me jaane ke baad bhi logon ko jahannum se rihaayi dilaane ke liye baar baar allah ke saamne sazda karte honge,
Kya is mohsin e aazam Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke ham par bhi koi HAQ hain ya nahi ??
Agar hain, toh kaun se HAQ hain ??
Kya hamne kabhi un HAQON ko jaanne kaur ADAA karne ki koshish ki hai ???
Ham aapko un haqon ke baare me rubaru karaate hain Jisme pahla haq hai nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par imaan laana
NABI E AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM PAR IMAAN LAANA:
Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki bait e mubarak ke baad mashrik wa maghrib ke tamam jinn wa insaan par yah waajib hi ki Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par imaan laayen,
aisa imaan, jaisa sahaba kiram (ra) laaye they, na toh kaafiron ki be'panaah taaqat aur quwwat unhe dara saki na hi kaafiron ke zulm unke himmat me koi kapkapahat paida kar sake,
kuch misaalein dekhiye
1- HZ BILAL HABSHI (RA)
Quraishi sardar umayya bin khalf ke they, hz bilal (ra) ko saza dene ke liye umayya unhe makka ki shakht garm reit (sand) par litaakar bhaari patthar seene par rakh deta taaki harkat na kar saken,
hz amar bin al'aas (ra) kahte hain ki maine bilal (ra) ko aisi tapti zameen par lete dekha hai ki us par agar ghosht rakh diya jaata toh wah bhi jal jaata,
kabhi umayya, hz bilal (ra) ko ladkon ke Hawaale kar deta, we aap (ra) ke gale me rassi daal kar makka ki galiyon aur ghaatiyon me ghaseet'te firte, shaam ke waqt hz bilal (ra) ke haath pair baandh kar qaid me daal diya jaata aur raat ke waqt kodon se maara jaata, in saar barber zulmon ke ba'wajood hz bilal (ra) ke iraadon me zarra baraabar kami paida na hui,
2- HZ KHABBAAB BIN ARAT (RA)
Hz khabbab (ra) ek patthar dil aurat umme ammar ke ghulam they, hz khabbab (ra) imaan laaye toh unke kapde utarwa kar dahakte angaaron par lita deti aur seene par bhari patthar rakh deti ya kisi aadmi ko seene par khada kar deti ki pahlu na badal sake, kabhi aap (ra) ko lohe ki zirrah pahna kar dhoop me lita deti, kabhi loha garm karke hz khabbab (ra) ke sar ko daaghti, hz khabbab (ra) ye tamam holnaak zulm sahte rahe, lekin apne imaan par pahaad ki tarah sarbuland rakhen,
3- HZ ABU FAQEEHA (RA)
Imaan laane ke jurm me hz abu faqiha (ra) ko bhi hz bilal (ra) jaise zulm sahne pade, yah bhi umayya bin khalf ke ghulam they, ek din umayya ne hz abu faqeeha (ra) ke pair me rassi baandhi aur ghaseet'te hue baahar le gaya, tapti reit par lita diya aur itne zor se gala dabaya ki hz abu faqeeh (ra) ki zabaan baaher nikal aayi,
4- AAL E YAASIR (RA),
Aap yemen ke they aur banu makhzoom ke ghulam they, abu jahal unhe bhi be'hadh zaalimaana sazaayen deta, paani me gote dena, garm reit par litaana, dhoop me khade rakhna aur kode se maarna, rozaana ki sazaayen thi,
mushrikeen e makka ke ye dil dahla dene waale ye zulm ghulaamo ke liye khaas na they balke imaan laane waale azaad logon ke saath bhi yahi zaalimaana suluk kiya jaata, ghulaamo ko toh unke malik saza dete aur azaad logon ko unke qareebi rishtedaar,
quraishi sardar suhail bin amr ke dono beton hz abu jundal (ra) aur hz abdullah (ra) ne islam qubool kiya toh baap ne dono beton ke pair me bediyan daal Kar qaid kar diya, dono bhai kai saal qaid wa band ki museebat jhelte rahe,
hz zubair bin awwaam (ra) musalman hue toh unke chacha nofil bin khuwelad ne unpar zulm karna shuru kar diya, chataayi (mat) me lapet kar sulgaata aur duni dekar islam chhodne par majboor karta,
hz mus'ab bin umair (ra) ek ameen gharaane ke laadle they, imaan laaye toh ghar waalon ne haath pair baandhkar qaid me daal diya, imaan par date rahe toh ghar se nikaal diya aur phir khaali haath habsha rawaana ho gaye,
hz talha bin obaidullah (ra) ko unka bada bhai usman bin obaidullah rassiyon se baandhkar peet'ta,
hz ayash bin abi rabi'a ra (maa ki taraf se abu jahal ke bhai ) ,hz salma bin hisham ra ( baap ki taraf se abu jahal ke bhai ) ,aur hz khalid bin waleed bin mugheerah ra (hz khalid bin waleed ke bhai ) teeno ko imaan laane ke jurm me makka ke sardaaron ne bediyan pahna kar qaid kar diya, jahan teeno log kai saal tak qaid Ki museebatein sahan karte rahe,
hz abu zar gifari (ra) imaan laaye toh makka ke mushrikon ne haram shareef ke andar hi itna maara ki saara badan lahu luhaan ho gaya,
hz abdullah (ra) imaan laaye toh unhe chacha ne na sirf ghar se nikaal diya balke badan ke kapde tak utarwa liye, maa ne taras khakar tan dhaanpne ke liye ek chadar di, hz abdullah (ra) ne chadar ke do tukde kiye, ek tah'band bana liya aur ek kandhon par daal liya, hz abdullah (ra) isi haalat me akele madeena munawwara rawaana ho gaye, Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne aapko zul'badain (do kapdon wala ) ka laqab diya,
imaan laane ke maamle me sirf mardon ne hi nahi balke aurton ne bhi bahaduri ki aisi anokhi misaalein pesh ki ki zameen wa aasmaan dang rah gaye, imaan par saabit qadmi aur sabr ke maamle me hz sumayya binte khabbat (ra) ka naam naami aasmaan par chamakta huwa aisa sooraj hai kiski shwaayen (rays) se Imaan waale qayamat tak apne imaan ko roshni bakhste rahenge,
abu jahal hz sumayya (ra) ko lohe ki zirrah pahnakar dhoop me khada kar deta, gaaliyan bakta aur kahta " muhammad ke deen ka maza chakh " kamzor wa budhi aurat ki imaan par mazbooti se pareshan hokar ek din bad'bakht ne hz sumayya (ra) ki sharmgaah par neza maara jisse wah shaheed ho gayi,...... Inna lillahi wa inna ilaihi raajiun
hz zinera (ra) par abu jahal ne itni shakhti ki, ki wah aankhon ki roshni se mahroom ho gayin,
hz lubeena (ra) ko hz umar bin khattab (ra) maarte maarte thak jaate aur kahte " main tumhe taras khaakar nahi chhod raha balke thak gaya hun isliye chhod raha hun "
hz lubina (ra) ka ek hi jawaab hota:-" muhammad ka deen bilkul nahi chhodungi "
hz nahadiya (ra) aur hz umme abees (ra) ne bhi imaan laane ke jurm me be'panaah zulm bardaasht kiye, lekin unke paaye istaqlaal me zarra baraabar bhi kamzori na dikhaayi,
Makka mukarrama me makka ke mushrikon ke zulmon ke toofan jab na sahne waala ho gaya toh momin mardon aur aurton ne apne ghar baar, karobaar, jaayedaad, aur rishtedaaron ko chhodne me zarra bhar ke liye takalluf na kiya aur tan badan ke do kapdon me lambi doori ajnabi mulk habsha (eithopia) rawaana ho paya ya phir yasrib (madeena) me panaah li,
yah hai wah imaan jo Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke haqon me sabse aage hai,
shariat ka mutaalba yah hai ki imaan laana hai toh waisa laao jaisa sahaba kiram (ra) imaan laaye they..
(surah baqarah ayat 13)
No comments:
Post a Comment