Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Wednesday, February 19, 2014

NABI E AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) KI PAIRWI KARNA: (PART 2)

Bismillahirrahmanirraheem 


 NABI E AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) KI PAIRWI KARNA: (PART 2) 


MASLA-27 


Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki pairwi me ek naujawaan ladki ki anokhi misaal hz barza aslami (ra) se riwayat hai ki Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne ek ansari se kaha:-" apni beti ka nikah mujhse kar do " ansari ne kaha:-" haajir ya Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ! Yah toh mere liye izzat ki wajah aur aankhon ki thandak hai " 


Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne irshad farmaya:-" main yah rishta apni zaat ke liye nahi chahta " 

 ansari ne arz kiya:-" ya rasoollullah ! Phir aap kiske liye talab farma rahe hain ?"

 Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne irshad farmaya:-" zulaibeeb ke liye !"

 ansari ne arz kiya:-" ya rasoollullah ! (ijaazat den ) main unki maa se mashwara kar lun "

 ansari ne ghar aakar uski maa se kaha:-" Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) tumhari beti ka rishta maangte hain "

 maa ne kaha:-" bahut khoob yah toh hamari aankhon ki thandak hai " 

ansari ne kaha:-" khud apne liye nahi zulaibeeb ke liye !" 

 ansari ki biwi ne kaha:-" zulaibeeb is laayek kahan ? Khuda ki kasam ! Ham apni beti ka usse kabhi nikah nahi karenge "


 jab ansari sahabi (mashware ke baad ) waapas jaane lage taaki Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko uski maa ke faisle ke baare me bata den, toh ladki ne kaha:-" tumhare paas mere NIKAH ka paigham kisne bheja hai ? "

 ladki ki maa ne bataya:-" Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne "

 ladki ne kaha:-" kya Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke HUQM ka inkaar karoge ? Aap log mujhe Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke hawaale kar den wah mujhe barbaad nahi karenge " 

ansari sahabi Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki Khidmat me haazir hue aur arz kiya:-" ya rasoollullah ! Meri beti ka maamla aapke haath me hai " is par Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne uska nikah zulaibeeb (ra) se kar diya 

(musnad ahmad )


 MASLA-28 


Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki pairwi me hz abu qatada (ra) ki misaal 


 hz kaab bin malik (ra) farmate hain:-" (ghazwa tabuk me shirkat na karne ki bina par sahaba kiram (ra) ne Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke huqm par jab mujhse bol chaal band kar di toh ) kuch muddat ke baad logon ki yah be'rukhi mere liye doobhar ho gayi, ek din maine apne chacha zaad bhai abu qatada ke baagh ki diwaar par chadha, main abu qatada se dusre tamam logon se zyada muhabbat karta tha, use salaam kiya, lekin allah ki qasam ! Usne mujhe salaam tak ka jawab na diya, phir maine use allah ka waasta dekar poocha:-" abu qatada ! Mujhe batao ki tum mujhe allah aur uske Rasool Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se muhabbat karne waala samjhte ho ya nahi ? "


 hz abu qatada ne phir khamoshi akhtiyar ki, maine dobara allah ka waasta dekar usse poocha toh phir bhi usne khamoshi ikhtiyar ki, teesri baar maine phir use allah ka waasta dekar yahi baat poochi toh usne sirf ye jawab diya:-" allah aur uska rasool Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) behtar jaante hain " yah sunkar meri aankhon me aansu jaari ho gaye aur main baagh ki diwaar par chadhkar waapas palat gaya " 

( bukhari kitabul maghazi ) 



MASLA- 29 



Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki pairwi me hz anas (ra) ki misaal hz anas bin malik (ra) kahte hain ki ek darzi ne Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke liye khaane ki daawat di, main bhi Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath tha, darzi ne Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saamne roti aur Shorba jisme kaddu aur khusk ghost tha rakha, maine dekha ki Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) palet mese kaddu talaash rahen hain, hz anas kahte hain us din se main bhi kaddu pasand karne laga hun " 


 (bukhari kitabul buyu, bab zikr khiyaat ) 


 MASLA-30



Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki pairwi me hz abdullah bin masud (ra) ki misaal 


 hz jabir (ra) se riwayat hai ki ek baar juma ke din Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) (khutba dene ke liye ) mimber par tashreef laaye toh farmaya:- " logon ! Baith jaao " hz abdullah bin masud (ra) ne suna toh masjid ke darwaze par hi baith gaye, Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne dekha toh farmaya:-" abdullah ! Masjid ke andar aakar baitho " 


(sunan abu dawood ) 



MASLA-31 



Ek sahabi ki Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki pairwi me anokhi misaal hz abdullah bin abbas (ra) se riwayat hai ki Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne ek aadmi ke haath me sone (gold) ki anguthi dekhi aapne uske haath se utaar kar phenk di aur farmaya:-" tumme se koi shakhs jaankar aag ka angaara apne haath me le leta hai " 


jab Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) tashreef le gaye toh sahaba kiram (ra) ne use kaha:-" apni anguthi utha lo aur (pahanne ki bajaaye) koi dusra faayeda utha lo ( jaise apni biwi ko de do ya bech do )" 

us sahabi ne jawab diya:-" allah ki qasam ! Jis anguthi ko Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne feka hai main use kabhi nahi uthaaunga " 


 (muslim, kitabul libaas ) 


 MASLA-32 



Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke pairwi me sahaba kiram (ra) ki misaal 



 hz anas bin malik (ra) se riwayat hai ki (ghazwa khaibar ke mauqe par ) Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke paas ek aadmi haazir huwa aur arz kiya:-" sahaba kiram (ra) gharelu (Domestic) ghadhe ka ghosht kha rahe hain " Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) khamosh rahe phir dusra aadmi hajir hua aur arz kiya:-" log gharelu gadhe ka ghosht kha rahe hain " Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) phir khamosh rahe, phir teesra admi haajir huwa aur arz kiya:-" logon ne gharelu gadhe khatm kar daale hain " 

Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne munaadi ko huqm diya aur usne buland aawaz se ailaaan kiya:-" allah aur uske rasool Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) tum logon ko gharelu gadha khaane se mana farmate hain " 


tamam logon ne yah sunkar apni haandiya ulat di jabki unme ghost ubal raha tha 


(bukhari kitabul magazi ) 



hz anas bin malik (ra) se riwayat hai ki ham log sirf fazeekh (khajoor se banaayi gayi ) sharab hi istemal karte they, main (ek majlis me ) abu talha aur dusre logon ko sharab pila raha tha ki achanak ek admi aaya aur Poocha:-" kya tumhe khabar mil gayi hai ?" 

 unhone kaha:-" kaunsi khabar ?" 

admi ne kaha:-" sharab ke haram ki "


 yah sunte hi sab ne ek zabaan se kaha :-" anas ! Ye saare matke baha do "


 hz anas (ra) kahte hain:-" hurmat sharab ke haram ki khabar milne ke baad na toh kisi ne uske baare me koi sawal kiya aur na hi kisi ne ikhtelaf kiya " 


(bukhari, kitab tafseer surah maida)


 hz saalba khushni (ra) kahte hain (dauran e safar ) sahaba kiram (ra) jab kisi jagah par thaharte toh waadiyon aur ghaatiyon me idhar udhar bikhar jaate, Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" tumhara diwaaro aur ghaatiyon me bikhar jaana shaitan ki taraf se hai " iske baad sahaba kiram (ra) kisi jagah par aisa nahi kiya balke ek dusre ke saath is tarah milkar baithte ki ek hi kapda unpar daal diya jaaye to sabko dhaank le "


 (abu dawood kitabul jihad 2/2288) 


Hz bara (ra) se riwayat hai ki Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne (madeena munawwara tashreef aavri ke baad ) 16 ya 17 maah tak bait ul muqddas ke rukh par namaz padhi, lekin Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki tamanna thi ki (musalmano ka qibla ) baitullah shareef ho , (huqm ilaahi aane ke baad ) Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne asr ki namaz baitullah shareef ke rukh par padi aur logon ne bhi Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath (baitullah shareef ke rukh par ) namaz ada ki, Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath namaz padhne waalon mese ek admi baahar nikla aur uska guzar ek masjid par huwa us waqt namazi ruku ki haalat me (baitul muqaddis ki taraf rukh kiye hue ) they, us shakhs ne (buland awaz se ) kaha:-" main allah taala ko gawah banaakar kahta hun ki maine Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath baitullah Shareef ki taraf rukh karke namaz padhi hai " 


(aawaz sunne ke baad ) masjid ke saare namazi ruku ki haalat me hi baitullah shareef ki taraf ghoom gaye " 


(bukhari kitabut tafseer surah baqarah ) 


hz abu saeed khudri (ra) kahte hain ki ek baar Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) sahaba kiram (ra) ko namaz padha rahe they ki namaz ke dauraan Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne joote utaar kar baayen taraf rakh diye, jab sahaba kiram (ra) ne dekha toh unhone bhi apne joote utaar diye, 

Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne namaz khatm ki, toh unhone malum kiya:- tum logon ne apne joote kyon utaare ?" 

sahaba kiram (ra) ne arz kiya:-" hamne aap Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko joote utaarte dekha, isliye hamne bhi apne joote utaar diye " 

 Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" mujhe zibreel (as) ne aakar bataya mere jooton me gandagi hai Isliye maine joote utaar diye, phir Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne sahaba kiram (ra) ko nasihat ki:-" jab masjid me namaz padhne aao to pahle apne jooton ko acchi tarah dekh liya karo, agar unme gandagi ho toh use saaf kar lo, phir unme namaz padho " 

 (abu dawood) 


hz kaab bin malik (ra) se riwayat hai ki ( ghazwa tabuk se waapsi ke baad jab Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ghazwa me shirkat na karne walon se mulaakat ke liye masjid me tashreef laaye toh ) toh bhi Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me haazir hua aur Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saamne aakar baith gaya, Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne mujhse poocha:-" tum jihad se kyon peeche rahe ? Kya tumne jihad ke liye sawaari nahi khareedi thi ? "

 maine arz kiya:-" kyon nahi sawari khareedi thi aur allah ki qasam ! Mere paas koi bahana bhi nahi, is waqt me Sehat aur maal wa daulat ke hisaab se pahle ki nisbat zyada bahtar tha " 

 Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" isne sach baat kahi hai ( aur mujhe huqm diya ki ) jaao yahan tak ki allah taala tumhare maamle ka faisla farma de "

 main uthkar chala aaya... 

 Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne tamam musalmano ko huqm de diya ki ham 3 aadmiyon ( kaab bin malik (ra), muraara bin rabi'a (ra) aur hilal bin ummayya ) se koi shakhs baat na kare, yah huqm jihad se peeche rah jaane waale ham 3 aadmiyon ke baare me tha, sahaba kiram (ra) ne hamse rishta todh diye aur is tarah badal gaye jaise jaante hi nahi aur wah zameen jise ham jaante they hamare liye ajnabi ban gayi " 

(bukhari kitabul maghazi )

No comments:

Post a Comment