Bismillahirrahmanirraheem
ROZE'DAR KHWATEEN KE NAAM: (Last part)
4- Islami Bahno ! Bazaar Jaane Aur Marketing Se Parhezz Karen, Aztaraari Soorat Me Agar Ghar Se Baaher Nikalna Ho Ya Bazaar Jaana Ho Toh Be Pardah Make Up , Scent Aur Khushboo Laga Kar Na Niklen,
Jo Ayyam Ghuzar Jaate Hain Wah Dobara Laut Kar Nahin Aate Hain Kya Maalum ye Sunehra Mauqa Zindagi Me Dobara Aaye Ya Na Aaye..
Lihaza Jo Kaam Mufeed Aur Sood'mand Na Ho Usme Apne Waqt Ko Zaaye Na Karen,
5- Meri Pyari Bahno ! Allah Taala Ki Taameel Zaroori Hai Toh Pardah Ye Allah Ka Huqm Hai,
Allah Taala Ke Farman Ki Taameel Karte Hue Ba'hijaab, Baalon Ko Dhal Kar Nikla Karen Taake Allah Ki Raza Wa Khushnoodi Haasil Karke Jannat Ka Parwaana Le Len..
6- Islami Bahno ! Ye Jaan Lo Ke Har Ek Ki Maut Ka Muqarrar Waqt Hai, Aur Ho Sakta Hai Ke Ye Ramzaan Aapki Zindagi Ka Aakhiri Ramzaan Ho, Kyonki Zindagi Allah Taala Ke Haath Me Hai,
Pata Ni Kab Ghaflat Ki Haalat Me Maut Aa Jaaye,
Ramzaan Ul Mubarak Ka Maheena Gunaahon Se Tauba Wa Istaghfar, Dua Ki Qubuliyat Wa Maghfirat Ka Maheena Hai,
Lihaza Is Pur'bahar Maheene Ko Apne Liye Ghaneemat Jaan Kar Zyadah Se Zyadah Tauba Wa Istaghfar Me Mashgool Rahen,
Maloom Nahin Aindah Is Pur'bahaar Mausam Ke Fuyooz Wa Barkaat Se Lutf Andoz Hone Ka Mauqa Mile Ya Na Mile..
7- Islami Bahno ! Maah E Ramzaan Ke Bahut Se Faayede Hain, Inme Se Ek Khaas Aur Aham Faayeda Ye Hai Ke Roza ek Tarah Ki Roohani Wa Akhlaaqi Training Wa Tarbiyat'gaah Hai,
Nez Roza Ek Tarah Se Refresh Course Ka Bhi Kaam Karta Hai,
11 Maheenon Me Jab Musalman Ki Quwwat Amali Me Kamzori Aa Jaati Hai Toh Allah Taala Apni Inaayaton Ka Maheena Naazil Farmata Hai,
Ramzan Ul Mubarak Ki Aamad Musalmano Ko Dobara Naye Josh Wa Kharosh Wa Nayi Taaqat Se Dobara Maidaan E Amal Me La Khada Karta Hai,
Toh Muslim Bahno! Aap Is Muqaddas Maheene Me Zaroorat Se Zyada Apna Waqt Ibaadaat Me Lagaaye, Aur Apna KeeMti Waqt Zaaye Na Karen,
Zikr Wa Azkaar, Tilawat Quraan Aur Dusri Nekiyan Khoob kiya Karen, Aur Faaltu Kaamo Se Parhez Karen..
7- Islami Bahno ! Ye Maheena Khair Khwaahi , Shafqat Wa Hamdardi Ka Maheena Hai, Waalidain Wa Rishtedaaron Ke Saath Husn Sulook Wa Nek Rawaiyya Akhtiyar Karo..
10- Apne Shauhar Ki Itaaat Wa Farma'bardari Karo, Unse Ladaai Jhagde se Ghurez Karo, Umoor khaana'daari Wa Gharelu Kaam Acche Taur Se Anjaam Deti Raho, kisi Kaam Me Kotaahi Wa Susti Na Barto, Aur Na Hi Adhura Chhodo, Kyunke Tun Ghar ki Zimmedar Nigran Wa Mallika ho..
11- Apni Aulaad Ki Tarbiyat Par Zyadah Se Zyadah Dhyan Do,
Aapki Thodi Si Tawajjah Aapke Jigar'goshon Ko Amaal E Sualeh Ka Aadi Bana Degi,
Bachpan Me Hi Unme Imaan E Tawheed Ki Rooh Phoonk Do,
Bachpan Hi Se Unki Ghutti Me Imaan E Risaalat Wa Aqeedah E Tawheed Aisa Racha Basa Do Ke Un Ke Baad Me Unke Imaan Me Laghzish Na Aane Paaye Aur Na Unke Kadam Kisi Tarah Dagmagaayen,
Aap Hargiz Un Aurton Me Se Na Bano Jo Sirf Apne Bacche Ke Khaane Peene Ka Ehtemam Karti Hain Aur Unhe Apni Aulaad Ke Akhlaaqi Wa Deeni Tarbiyat Ki Qatai Fikr Ni Hoti....
The End
No comments:
Post a Comment