Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Wednesday, February 19, 2014

SAHABAH ka Muqaam or SAHABAH ko gaalian deny walon k liye Waeeden

 bismillahirrahmanirraheem
 
 Assalam o Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu

 
Har us shakhas ko sahabi kehty hain jis ny eimaan ki haalat mein Rasool ULLAH S.A.W. ki zyarat ki ho, or phir us ka khatma b eiman pr hi ho.

Quran e Pak mein ALLAH A.Z. irshad frmata hy:

"Muhajireen or Ansaar mein sy sb sy pehly (Islam ki taraf) sabqat krny waly or wo log jo khuloos k sath in ki pervi krny waly hain, ALLAH un sy raazi ho gya or wo ALLAH sy raazi ho gye or ALLAH ny un k liye aisi jannaten tayyar ki hain jin k neechy nehrain behti hon gi, or wo un mein hmesha rhen gy. or ye ek azeem kamiyabi hy." Sorat ut Taubah: ayat No.100

usi ikhlaas ki badolat Rasool ULLAH S.A.W. ny frmaya:

"mery ashaab ko bura bhala mat kaho, kiunky agr tum mein sy koi uhad pahar k barabar b sona kharch kry, to sahabi k ek mudd (1/2 kg) or aadhy mudd (1/4 kg) daany (ALLAH ki raah mein) kharch kry (to us shakhs ka uhad pahar jitna sona, sahabi k us aadhy mudd k barabar b us ka sawab) nhi puhanch skta. (Muttafiq Alaih)

Sahabah wo log hain k jin k bary mein ALLAH k Rasool S.A.W. ny badar k muqam pr ALLAH sy dua krty hoye kaha tha k "Ay ALLAH!! agr aaj in 313 logon ko mitaa dia gya to qiamat tak tera naam leny wala koi is dunia mein nhi rhy ga".

jab zeeqadah 6 hijri mein muqam e hudaibiah pr ye khabar mash-hoor ho gai k Quresh e Makkah ny Nabi S.A.W. k qasid Hazrat e Usman R.A. ko shaheed kr dia hy to un k khoon ka badla leny k liye Nabi S.A.W. ny apny sath aany waly 1400 sahaba sy ek darakht k neechy bait li, or ALLAH ny Quran e Kareem mein farmaya: "ALLAH in eimaan walon sy raazi ho gya jo darakht k neechy aap S.A.W. pr bait ly rhy thy." Sorat ul fatah, Ayat No: 18

Irshad e Nabvi S.A.W. hy:

"un sahaba mein sy koi ek shakhs b jahannum mein dakhil nhi ho ga jinhon ny darakht k neechy bait ki." (Abu Dawood, Tirmizi, Musnad Ahmad)

Quran e Kareem mein ALLAH Pak ka farman parhiye:

"ALLAH k Rasool, Muhammad S.A.W. or aap k Sahabah kuffar k liye bary sakht or apas mein bary naram or meherbaan hain, aap inhen Rukoo or Sujood ki halat mein dekhty hain jis k zariye wo ALLAH ka fazal or razaa chahty hain. sajdon ki nishanian in k chehron pr hain. in k ye osaaf Tauraat or Injeel mein b zikar kiye gye hian." Sorat ul Fatah, Ayat No. 29

Sahabah ki shaan btaty hoye ALLAH Pak ny frmaya:

"Agr ye wesy eimaan layen jesy wo (sahabah) eimaan laye to hi ye hidayat yafta hain. Sorat ul Baqarah, Ayat No. 137

kuch munaafiqeen ny Sahabah ko bura kaha, baywaqoof kaha, to ALLAH ny khud Sahabah ka difaa Quran mein kiya, Irshad e Baari Ta'alaa hoa: "or jab inhen kaha jata hy k eimaan lao, jis trha hum eimaan laye to kehty hain, kia hum eimaan layen jis trha baywaqoof eimaan laye? jaan lo, haqeeqat mein yehi log baywaqoof hain, lekin ye nhi janty. Sorat ul Baqarah, Ayat No. 13

Rasool ULLAH S.A.W. ka farmaan hy:

"jis ny mery kisi dost sy dushmani ki us k liye meri taraf sy ailaan e jang hy." Bukhari Shareef

Rasool ULLAH S.A.W. ka farmaan hy:

"jis ny mery Sahabah ko galian dee us pr ALLAH or farishton or tmaam insano ki laanat ho." Tibraani

Rasool ULLAH S.A.W. ka farmaan hy:

"jis ny mery Sahabah ko galian dee us ny mujhy galian dee or jis ny mujhy galian dee us ny ALLAH ko galian dee." Tibraani

Rasool ULLAH S.A.W. ka farmaan hy: "ALLAH sy daro, or mery baad mery Sahabah ko (la'an Ta'an ka) nishana mat bnao. jis ny in k sath muhabbat rkhi, us ny mery sath muhabbat rkhi, or jis ny in k sath bughz rkha, us ny mery sath bughz ki wja sy in k sath bughz rkha." Tirmizi shareef

Rasool ULLAH S.A.W. ka farmaan hy:

"mery Sahabah ka ehtraam kia kro, kiunky wo tum sb sy behter log hain, phir wo jo un k baad waly hain, phir wo jo un k baad waly hain, un k baad jhoot aam ho jaye ga." Nisai, Musnad Ahmad, Mustadrik Hakim

Sahabah ko galian deny walon k liye lamha e fikar hain ye dalael, isliye yaad rkhen k ALLAH dekh rha hy jo kuch insan krty hain, or insan ki zuban or hathon ki kmai ka badla usy aakhirat mein mil kr rhy ga. ALLAH Pak hum sb ko naik a'amal krny ki, Sahabah ka Ikraam or Ehtraam krny ki, or buraion sy buchny ki taufeeq ataa frmaye. aameen summa aameen.

Jazakum ULLAHU khair

No comments:

Post a Comment