Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Wednesday, February 19, 2014

SIRF ALLAH KA KHAUF: (ALLAMA EHSAAN ILAHI ZAHEER SHAHEED (RH)







Bismillahirrahmanirraheem




SIRF ALLAH KA KHAUF: (ALLAMA EHSAAN ILAHI ZAHEER SHAHEED (RH)



" Imam e qaay naat ne farmaya jaao is bade(abu lahab) ko suna do ke main zameen par kisi badaayi ko nahh maanta, main ne arsh waale ki badaayi ko maana hai, ye apna maal leke aajaaye, apni daulat leke aa jaaye, apna qabeela leke aa jaaye, main akela apne rab ko leke aa jaata hun, log hairaan wah shiddat hokar rah gaye, ungaliyan muh me daba li, saktah taari ho gaya, zameen saham gayi, aasmaan sannaate me aa gaya , ham ne jungen dekhi, lekin shaja'aton ka yah izhaar na dekha jo aaj yateem makkah kar raha hai aur yateem e makkah muskuraata huwa kah raha hai. Aaao! Meri shaja'at ka kya kahte ho ke meri sar par to is arsh waale ne taaj rakh diya hai, jisne mere seeno ko qaaynaat ke darr se be niyaaz kar diya hai darna seekha hi nahi, ek ka darr, ek ka khauf, ek ki badaayi, ek ki kibriyaai

tum kitne khushnaseeb ho Tum is muhammad sallallaho alaihi wasallah(pbuh) ki ummat mein se ho jis muhammad(sws) ne kaaynaat ke bandon ko poori kaaynaat se be niyaaz karke sirf ek niyaaz mand bana diya


(allama sahab, quran wa hadith conference sialkot 29 feb 1987)

No comments:

Post a Comment