Bismillahirrahmanirraheem
barelwi ka aqeeda hai ki khuda se maangne ki koi zarurat nahi jo kuch lena hai wah buzurgon se liya jaaye jo maangna hai inse maanga jaaye, yahi madad karne waale aur fariyaad sunne waala hain, allah ne saare rights inhe de diye par khud muattal ho chuke hain, us tak kisi ki pahunch bhi mumkin nahi aur usse maangne ki kisi ko zarurat bhi nahi.
Janab ahmad raza khan likhte hain:
" ek baar sayyid juned baghdadi rh dajla tashrif laaye aur ya allah kahte hue us par zameen ki tarah chalne lage, baad me ek shakhs aaya use bhi paar jaane ki zarurat thi koi kashti us waqt maujood na thi, usne hazrat ko jaate dekha to kaha - main kis tarah aaun?? Farmaya- ya juned ya juned kahta chala aa, usne yahi kiya aur dariya par zameen ki tarah chalne laga, jab beech dariya me pahuncha to SHAITAAN NE uske dil me waswasa daala ki hazrat khud to ya allah kahen aur mujhse ya juned kahalwaate Hain main bhi ya allah kyon na kahun?? Usne ya allah kaha- aur isi ke saath gota khaaya- pukaara hazrat main chala, farmaya wahi kah- ya juned ya juned--- jab yah kaha to dariya se paar huwa'
usne kaha hazrat yah kya baat thi?? Aap allah kahen to paar hon aur main kahun to doobne lagun, farmaya-aree nadan! Abhi tu juned tak nahi pahuncha allah tak pahunchne ki hawas hai"
(hikayat e rizwiya- 52,53)
yani aam insaano ko chahiye ki e sirf apne buzurg aur peeron ko hi pukaaren kyonki allah tak unki pahunch nahi jabki allah ka irshaad hai
wa iza sa aa laka ibaadi inni fa inni qaredun ujibuda watad daai iza da-aani
trans: "jab (aiy nabi) tujhse mere bande mere baare me punche to farma dijiye ki main qareeb hun, jab koi pukaarne waala mujhe pukaare main uski pukaar sunta hun aur qubool karta hun"
(qur'an)
wa nahnu aqrabu ilaihi min hablil wareed
trans: " ham insaan ki shahrag se bhi zyada qareeb Hain"
(qur'an)
baharhaal barelwi hazrat hikaayaton se jo kuch saabit karna chaahte hain qur'an majeed ki aayaten us sab ko radd karti hai,
allah taala ki naazil karda ye ayat bilkul fit baithti hai-
" yah hai inke ilm ki hadd, beshak allah un logon ko bhi baakhoobi jaanta hai jo uske seedhe raaste se bhatke hue hai aur unko bhi baakhoobhi jaanta hai jo hidayat waale hain"
(najam 30)
allah taala hidayat de aur inhe gumraahi se bachaaye rakh
No comments:
Post a Comment