Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Sunday, March 9, 2014

AHLE TAQLEED KE FARZI SAWAALAAT


Bismillahir rahmanir raheem...

Aaj kal facebook par muqallidin ki taraf se yeh sawal jor pakadta ja raha hai
ke muhaddisin ki raay se istadlaal lena unki taqleed karna nahi to aur kya hai.?

Is sawal se zahir hai
 
muqallidin yeh chahte hai ke kisi tarah taqleed ko sabit kar de'n...

Aaj ham isi sawal ke upar mukhtasar guftagu karenge,ummid hai ahle elam hajraat isse fayda uthayenge.....

Sabse pahle to yeh zahen naseen kar le'n ke is tarah ka amar sahadat ke zumare me aata hai,
aur muhaddisin ko is mamle me ahle elam hamesha ba-tor e shahid samajhte rahe'n hai,

deen e islam ne shahadat dene wale se istadlaal lene ka hukam diya hai
Aur khud aap s.a.w ne kai faisle shahadat ke bina par kiya hai...

Lee'aan ka masla, ramzaan w eid ke chand par shahadat is mamle ki aham kadi hai,
 
neej yeh ke
 
allah ne is ummat ko "shuhada'a"(logo par gawahi dene wala) banaya hai,
 
jaisa ke qur'aan e karim me maujud hai,

w kazaalika za'alnaakum ummatau w satal leetakunu shuhda'a anal naashi w yakunar rashul alaikum shahidaa...

Tarzma:-
 
 hamne tumhe aadil ummat banaya hai taki tum logo par gawah ho jao aur rasul s.a.w tum par gawah ho jaye'n...

surah bakrah/143

ek jagah par is tarah irshad farmaya:-

ai iman walo adal w insaf par mazbooti se jame raho aur allah se dar kar gawahi do. Agar che ye gawahi tumhare maa-baap aur rishtadar ke khilaf hi kyo na ho. Koi ameer ho ya fakir dono allah ke nigahbaani me hai. So tum insaf ko chhodkar apne nafas ki khawahish par na chalo agar baat bana ke gawahi doge yaa (baat bana ke)gawahi dene wale me samil hoge to itna samajh lo ke allah ko tumhare sab kaamo ki khabar hai,

surah nisha/135

in ayat se saaf pata chalta hai ke allah ne is ummat ko sahi gawahi dene ka hukam diya hai,
..............
 
 Ab kuchh hadis mulaahiza farmaiye...

Hajrat ubaidullah bin abdullah kahte hai ke hajrat aaisha ke upar jab buh'taan karne walo ne jhooth bola
to aapne ali aur usama ko bulaya aur unse hajrat aaisa ke muta'aliq puchha ke kya main aisha ko talaq de du?
 
Is par hajrat usama ne farmaya
 
 ya rasulallah aisa mat kijiye jaha'n tak main samajhta hu wo achhi hai aur yeh khabar galat hai,

hajrat buraida se jab puchha gaya to unhone kaha ke hamne unme koi aib najar nahi aaiee.....Al-hadis

Sahi bukhari jild 1/2458

is hadis se yeh baat samne aaiee ke aap s.a.w ne hajrat aaisha ko is haadse ke baad talaq dena chaha to  logo ke gawahi dene ki wajah se aap s.a.w ne is baat ko(talaq dene ka irada) taal diya yaha'n tak ke allah ne unke paakiza hone ki khabar qur'aan me najil farma diya.

Ab sawal uthta hai ke gawah kitne hone chahiye.

Agar shahadat dene wala kisi baat ki gawahi de khawah wo akela hi kyo na ho.
Jabke unke samne aise log maujud ho to jo us baat se waqif na ho to us akela insan ki gawahi mani jayegi.

Sahi bukhari/1646
 
neej yeh ke aap s.a.w ne farmaya:- jiske liye 4 muslmaan gawahi de wo jannat me jayega,

saieel ne puchha gawah dene wala agar teen ho to?
 
Aap ne farmaya wo bhi sahi hai...

saieel ne 2 ke muta'aliq puchha to aap ne farmaya do ki bhi gawahi sahi hai,
saieel kahta hai ke maine ek ka nahi puchha.
 
 Sahi bukhari 1/2464

agar do gawah ho to behtar hai

surah bakrah..

Ab sawal uthta hai ke gawah kaisa hona chahiye.

Hajrat umar se riwayat hai ke jab wahi ka aana band ho gaya to ham logo ko zaahiri aamal se pakadenge.
 
Agar koi achha kaam karega to ham ispar bharosa karenge.aur iske dil me kya hai isse ham koi matlab nahi rakhenge.
 
 Kyo ke iska hisab allah lega.  Aur agar koi zaahir me bura karega to ham ispar bharosa na karenge aur na to usko siqah samjhenge.
 
Agar che wo dawa kare ke mera baatin achha hai

sahi bukhari 1/ 2462

in tamam riwayat w ayat e qur'aani se pata chalata hai ke agar ham kisi nek insan ke gawahi par kisi ko siqah w gair siqah kahte hai to wo taqleed nahi kahlata...

Balke shahadat ke upar faisla karne ka hukam hame qur'aan w hadis ne diya hai...

Aur jo log shahadat ko taqleed se jodte hai allah unpar raham kare aur ham sabko deen ki sahi samajh ata farmaye...

Aamin

No comments:

Post a Comment