Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Friday, March 7, 2014

' DUA ' AUR ' PUKAAR ' KA IBAADAT HONA

Bismillahirrahmanirraheem



' DUA ' AUR ' PUKAAR ' KA IBAADAT HONA:



SHUBAH(DOUBT)- 4


Aaj ke mushkireen kahte hain ke main siwaaye allah ke kisi ki ibaadat nahi karta aur nek logon ki panaah lena aur tangi wa takleef me mushkil kushaai ke liye unhe pukaarna koi ibaadat toh nahi


JAWAB:


Kya aap ye iqraar karte hain ke allah ne aapko khaalisatan sirf apni ibaadat farz ki hai, aur ye uska aap par haq hai ?

Jab wah(maujooda mushrikeen ) kahe , haan !,

toh usse apne us farz ki wazaahat talab karen jo sirf allah wahdahu la shareeq ki mukhlisaana ibaadat ki shakl me bande par allah ka haq hai ?

Agar wah ibaadat aur uski anwa wa aqsaam ko na jaanta ho toh use is tarah samjhaaye ke allah paak ka irshaad hai

" sirf apne rabb ko aajizi se aur poshidgi se pukaaro "

(surah aaraaf 55)


ab usse poochiye : kya aap samjh gaye ke dua aur pukaar allah ki ibaadat hai, to wah laziman kahega : haan !

Kyonki Dua toh khaalis ibaadat ka maakhaz hai, phir use kahen ke jab aapne iqraar kar liya ke pukaarna ibaadat hai, aur aane ne shab wa roz wa rija ya khauff wa ummeed me allah ko pukaara aur phir kisi haajat ke waqt kisi nabi ya ghair nabi ko bhi pukaara toh kya aapne allah ki ibaadat me kisi ghair ko shareek kiya ??

Uske haan kahne ke siwa koi chaarah hi nahi, toh use kahen:- jb aapne irshaad e ilaahi me waarid allah ke huqm par amal kiya jisme hai:


" allah ke liye namaz padh aur usi ke naam qurbaani de"

( surah kauthar 2)


aur allah ki farmabardaari ki, aur usi ki naam ki qurbaani di, kiya ye ibaadat hai ??

Yaqinan wah kahega: haan ! Phir usse poochen: agar aap kisi makhlooq, nabi, jinn, bhoot, ya unke elaawa kisi ke naam ki qurbaani den toh kya aapne allah ki ibaada me ghair ko shareeq kiya ??

Yaqinan wah iqraar karega, usse ye bhi poochen ke wah mushrikeen jin ke mutaallik qur'aan pak ki aayat Naazil hui hai, kya wah farishton, saaliheen aur laat wagerah ki ibaadat karte they ? Wah himmati taur par asbaat me jawaab dega, phir aap acchi tarah waazeh kar den ke unki ibaadat bhi dua wa zibaah aur ilteja(waseela) ke siwa kuch na thi..

Balke wah yaqeen rakhte they ke ham allah hi ke ghulaam hain, usi ke qabzah qudrat ke maathat hain, aur allah hi kaarsaaz hai, lekin unhone ghair allah ko unki qadr o manzilat ke pesh e nazar shifaarish ke liye pukaara aur usne rafa e haajat ki bheek maangi, unka ye fael bilkul waazeh shirq hai....



SHARIAYAH WA SHIRKIYYAH SHAFAA'AT:



SHUBAH- 5




Agar wah kahe: kya aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki shafaa'at ka inkaar karte hain ??


JAWAAB:


Use kahen ke : main nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki shifaa'at ka inkaar nahi karta hun,

balke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) shafaa'at karne waale aur maqbool e Shafaa'at hain aur main ummeedwaar e shafaa'at hun,

lekin tamaam tar shafaa'at allah ke haath me hai, jaisa ke farmaan e ilaahi hai


" tamaam tar shafaa'at wa shifaarish allah ke akhtiyaar me hai"


(surah zumar 44)


aur allah ke huqm ke beghair kisi ko shifaarish karne ki ijaazat tak nahi, jaisa ke irshaad e baari taala hai


" kaun hai jo uske paas (kisi ki ) shifaarish kare ? Jab tak ke uska huqm wa ijaazat na ho "


(surah baqarah 225)


aur jab tak allah paak kisi ke baare me shafaa'at karne ki ijaazat na denge, shifaa'at na ki jaa sakegi, jaisa ke rabbul izzat ka farmaan hai


" aur kisi ke liye shafaa'at na karenge, siwaaye uske jiski shafaa'at par allah ki razamandi haasil ho jaaye"


(surah ambiya 28)


aur allah ahle tawheed ke siwa kisi dusre aqeedah waale par razamand na hoga, jaisa ke farmaan e ilaahi hai


" agar kisi ne islaam ke elaawa koi dusra deen pasand kiya toh use allah qubool Nahi karega "


(surah imran 85)



jab tamaam shafaa'at sirf allah taala hi ke akhtiyaar me hai, uski ijaazat ke beghair mumkin hi nahi aur na hi nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ya koi dusra kisi ke baare me shafaa'at karega,

yahan tak ke unhe raza e ilaahi ka ishaara na mil jaaye aur raza e ilaahi ahle tawheed ke siwa kisi ko haasil na hogi,


is tarah jab baat khul kar saamne aagayi ke tamaam tar shafaa'at allah ke haath me hai toh usi se hi yun talab karen


" aiy allah ! Mujhe nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki shafaa'at se mahroom na kar "


" aiy allah ! nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko meri shafaa'at ka akhtiyaar aur mera shafaa bana "


aur aisi hi deegar duwaayen maanga karen



SHUBAH - 6



agar wah mushrik kahe ke : nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko shafaa'at di gayi hai, aur main usi me se talab karta hun jo nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko allah taala ne ata farmaayi hai...


JAWAB:


Use kahen ke: allah rabbul izzat ne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko shafaa'at ata farmaayi magar aapko nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se talab e shafaa'at ke aqdaam se mana kar diya hai, chunanche irshaad e rabbani hai:


" allah ke siwa kisi dusre ko mat pukaaro "


( surah jinn 18)


jab aap allah se dua karte hain ke wah nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko aap ka shafaai banaaye to uske farmaan

" allah ke saath kisi dusre ko mat pukaaro "

ki bhi itaat karen,


shafaa'at nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke elaawah baaz ko bhi di gayi hai,

sahih ahadith se saabit hai ke farishte shafaa'at karenge, awliya allah shafaa'at karenge, aur shanne shaoor se pahle wafaat paa jaane waale bacche bhi shafaa'at karenge,

aur kya aap ye kahte hain ki allah ne Unhe shafaa'at ata ki hai, aur main unse wah talab karta hun ?


Agar aap is tarah kahen toh aap nek logon ki ibaadat ke shirk me mulawwis hongn, jiska kitaab e ilaahi me zikr hai,

aur agar aapka jawaab manfi me ho toh aap ka ye qaul

" ke allah ne unhe haq shafaa'at me akhtiyaar diya hai aur main isi ata kardah haq se talab karta hun"

( qaul e mushrik)

baatil ho gaya.....



BUZURGON KO PUKAARNA:



SHUBAH - 7


Agar wah kahen ke : main kisi ko allah ka shareek nahi banaata, lekin saaleh buzurgon ko pukaarna aur unse ilteja e rafa e haajat to shirk nahi hai !



JAWAB:




Use kahen:- aap iqraar karte hain ke allah taala ne shirk ko zina se bhi badh kar haraam wa gumaah qaraar diya hai aur allah ye shirk kabhi maaf nahi karega,

wah kaunsa kaam hai jise allah ne haraam qaraar diya hai aur jisko wa qattan nahi bakhshega ??


Ye baat mushrik nahi jaanta..... Lihaaza use kahdn ke: aap khud ko shirk se Bari kaise samjhte hain, jabke aap shirk ko jaante hi nahi ??

Allah ne aap par ye kaise haraam kiya aur kaha ke wah ise maaf nahi karega ?

Aap na to iske baare me poochte hain aur na hi use jaante hain, kya aap ye samjh baithe hain ke allah ne shirk ko haraam toh kar diya hai magar shirk ki wazaahat nahi ki ??

Agar wah kahe ke : shirk buton ki pooja karne waalon ko kahte hain jabke ham buton ko nahi poojte hain,

mushrikeen e makka lakdion aur pattharon ke mutaallik ye aqeedah rakhte they ke wah paida karte aur rizq dete hain aur jo unhen pukaare unke kaam sunwaate hain ??


Qur'aan paak unke mutaallik is nazariye ko ghalat qaraar deta hai,

agar wah kahen ke:- wah lakdi, patthar ya mazaar ka qasad karte they, unhe pukaarte they, unke liye qurbaani dete aur kahte they ke ye hamen allah ka muqarrab banaate hain, unki barkat se allah hamaari mushkilaat hal karta hai aur unhi ki barkat se hamen nematon Se nawazta hai,


use kahiye:- aapne theek kaha, aur pattharo, qabron aur mazaaron wagerah par aap bhi yahi kuch karte hain, agar usne tasleem kar liya ke ye umoor buton ki ibaadat me shaamil hain toh unka yahi iqraar hamara matloob hai,


use ye kaha jaaye ke, aapke kahne ke mutaabik buton ki pooja ka naam shirk hai,

kya aapki muraad ye hai ke shirk usi ke saath makhsoos hai aur saaliheen se mushkil kushaai ki ilteja karna aur unhen pukaarna shirk nahi ???


Uski tardeed to quraan paak ki surah maida 112, surah saba 40-41, surah zumar 3, surah yunus 18, aayaat karti hain, jo pahle zikr ho chuki hain, jo farishton, hz isa (as) aur deegar saaleh buzurgon ko pukaarne waalon ke kufr se mutaallik hain,

yaqinan wah aapki baat ko tasleem karega ke agar kisi ne allah ki ibaadat me nek bandon me se kisi ko shareek kiya toh yahi wah shirk hai jiska qur'aan paak me zikr hai, uska yahi iqraar hamara asal matloob Hai,


is masla ka bhedh kuch is tarah hai ke jab wah kahe ke main allah ke saath shirk nahi karta toh usse astaghfaar karen ke allah ke saath shirk karna kya hai ?? Wazaahat farmayen !....


Agar wah kahe ke shirk buton ki ibaadat karna hai toh poochen ke buton ki ibadat karne ka kya matlab hai ?? Tafseel se bataayen !...

Agar wah wahe ke main ek allah ke siwa kisi ki ibaadat nahi karta toh usse allah taala ki ibaadat ka maana aur uski wazaahat talab karen..

Agar wah usi tarah kahe jis tarah quraan e paak ne bayaan kiya hai toh wah ain maqsood hai, aur agar use allah ki ibaadat ka maana wa matlab maalum hi nahi toh wah us cheez ke mutaallik daawa kaise karta hai jise wah jaanta hi nahi ??

Agar wah allah ke saath shirk aur buton ki ibaadat ke mafhoom ko waazeh karne waali ayat ke mukhaalif koi dusra matlab bayaan kare to daur e haazir ke mushrikeen aisa hi karte hain,

Ibaadat hi wah masla hai, jiski wajah se mushrikeen ham par tarah tarah ke ilzaamaat aieed karte hain, aur isi masle par aise bawaal khada karte hain jaise unke peshro bhaiyyon ne chillaate hue kaha tha..


" kya usne sab buton ke bajaaye sirf ek maabood muqarrar kar diya hai ? Ye toh badi hairaan kun baat hai "


(surah saad 5)



SHUBAH- 8



Agar wah kahen ke unhen farishton, aur ambiya ko pukaarne ki bina par kaafir nahi kaha gaya balke unke kaafir qaraar diye jaane ki wajah unka ye qaul tha

" farishte allah ki betiyan hain "

aur ham ye toh nahi kahte ke peer abdul qadir jeelaani (rh) ya koi dusra buzurg allah ka beta hai


JAWAAB:


Use kahen ke: allah ke bete ya beti ka zikr ya tohmat lagaana kufr hai

allah ka irshaad hai


" kah dijiye ke allah ek hai, allah be'niyaaz hai "

(surah ikhlaas 1,2)


' ahad' wah hai jiski koi nazeer na ho aur ' samad' wah hai jiski taraf zaruriyaat me qasad kiya ja Sakta ho, jisne iska inkaar kiya wah kaafir ho gaya, agarchah wah saari soorat ka inkaar na kare, kyonki farmaan e ilaahi hai

" allah ka na koi beta hai aur na hi uske saath dusra koi mabood hai"

( surah mominun 92)


allah taala ne dono aqsaam me farq kar diya hai, aur dono mese har ek ko mustaqmal kufr qaraar diya hai, aur irshaad e rabbani hai


" unhone jinno ko allah ka shareek banaaya, halaanke unhe usne paida kiya hai aur beghair ilm ke uske bete aur betiyaan bana li hain "

( surah anaam 101)


yahan allah taala ne dono qism ke kufr ko alag alag kar diya hai, aur uski daleel ye bhi hai ke jo log " laat" ke nek aadmi hone ke bawajood use pukaarne par kaffir hue, unhone use allah ka beta toh nahi banaaya tha, aur jo log jinno ki ibaadat ki bina par kaafir qaraar diye gaye, unhone bhi aisa nahi kiya tha...


Aise hi mazhab e arba (hanafi, maliki, shafai, hambali) ke tamaam ulema" murtad ka huqm" Ke baab me zikr karte hain ke :-" koi musalmaan jab ye maan le ke allah ka koi beta hai toh wah murtad hogaya aur wah dono aqsaam me farq bhi karte hain aur ye intehaai waazeh amr hai "



SHUBAH - 9



Agar wah kahen ke allah taala ka irshaad hai

" yani awliya allah par kisi qism ka khauff wa khatrah nahi hota aur na hi wah gham o fikr me mubtela hote hain "

(surah yunus 62)



JAWAB:


Use samjhaaiye ke ye toh haqiqat hai, lekin unhen pooja toh nahi jaayega,

ham allah ke saath unki ibaadat aur unhe allah ka shareek thahraane ke siwa toh kisi baat ka inkaar nahi karte balke unki muhabbat hudood e shariat me rahte hue unki farmabardari aur unki haqiqi karaamat ka aitraaf waajib hai,

awliya allah ki karaamat ka inkaar ahle bidat wa zalaalat ke elawa koi nahi karta,

aur allah ka deen dono intehaaiyon (yani awliya ki muhabbat me ghulu aur unki ibaadat aur awliya ke saath khafa aur unki karaamaat ke Qulli inkaar ) ke darmiyaan hai,

aur hidaayat dono gumraahiyon ke wast me aur haq dono baatilon ke darmiyaan hai.....


ALLAH HAMEN HAQ BAAT KAHNE , SUNNE AUR USPAR AMAL KARNE KI TAUFEEQ DE...... Ameen

No comments:

Post a Comment