Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Sunday, March 2, 2014

KHARJIYON KI SAAJISH AUR MUSLIM UMMAH KE LIYE NAYA FITNA

Bismillahirrahmanirraheem



KHARJIYON KI SAAJISH AUR MUSLIM UMMAH KE LIYE NAYA FITNA:



hz abu saeed khudri (ra) riwayat karte hain ke:-" nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) maal taqseem kar rahe they ke abdullah bin khuwaisrah tamimi aaya aur kahne laga: allah ke rasool ! Insaaf karen, aapne farmaya:- tumhara bura ho agar main hi insaaf na karun toh phir kaun insaaf karega ?, hz umar (ra) darkhwast kiya ke allah ke rasool ! Mujhe ijaazat den toh main iska safaaya kar dun, aapne farmaya:- ise jaane do, kyonke uske kuch saathi honge jinki namaz aur roze ke saamne tumme se ek shakhs apni namaz aur roze ko haqeer samjhega, wah deen se aise hi paar ho jaayenge jaise teer shikaar se paar ho jaata hai, uske teer ke par ko dekha jaaye toh usme kuch nahi milega, phir uski nok ko dekha jaaye toh usme kuch nahi milega, phir uski lakdi ko dekha jaaye toh usme koi nishaan nahi milega, wah (teer) gobar aur Aur khoon se sabqat kar gaya hoga, unki pahchaan ye hogi ke unme ek aisa shakhs hoga jiska ek haath aurat ke pastaan ke maanind jumbish kar raha hoga, wah musalmano me tafreeq ke daur me niklega,... Abu saeed khudri (ra) ne kaha ke:-" main shahadat deta hun ke hz ali (ra) ne unka safaya kiya aur main unke saath tha, aur us shakhs ko isi sifat par laaya gaya jo nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne bayaan kiya, aur usi ke baare me ye ayat utri ke: un munafiqon me se kuch nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ko sadqaat ke baare me ilzaam dete hain "


(bukhari 6933)


dusri hadith me hai ke:-" aakheer zamaane me kuch naadaan naujawaan paida honge jo baatein to nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ki karenge aur unka imaan unki hansli ki haddi se neeche nahi utrega, wah deen se aisi paar ho jaayenge jaise teer shikaar se paar ho jaata hai, tum unhe jis jagah paao qatal karo kyonki Jo unhe qatal karega, qayamat ke roz use sawaab milega"

-(bukhari 6930)


ek aur riwayat me hai ke:-" us teer me shikaar ke khoon ka koi nishaan wa asar nahi hoga, yani deen, qur'an aur imaan ka unke dil me koi asar na hoga"


(bukhari 6931)


aur hz sahl bin haneef (ra) ne kaha ke maine khaarjion ke baare me nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ko farmate suna aur aapne apna haath IRAQ ki jaanib badha diya ke wahan se kuch log niklenge jo quraan padhenge jabke wah unki hansli ki haddi se neeche nahi utrega wah islam se aise paar ho jaayenge jaise teer shikaar se paar ho jaata hai "


(bukhari 6934)


in hadith se jo baatein saabit hoti hain wah ye hain:

1- islam me kharjion ki ek jamaat namudaar hogi

2-wah islam ke zahiri amaal ko tashaddud ke saath apnaayegi aur nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ki baatein hi pesh karegi, phir bhi qur'an wa imaan ka unke dil par koi asar na hoga.



3- wah deen ki baatein karegi aur zaahiri aamaal wa tilaawat quraan ki paband isliye rahegi taake ahle imaan unke fareb me aa jaayen

4- ye islam me tafarraqa ke zamaane me ubharenge.


Chunanche ye hz ali aur hz muawiya (ra) ki baahami ladaaiyon ke zamaane me namudaar hue, aur hz ali (ra) ne unse ladaiyan ki, unhone iraq ke nazdeek "haran" ko apna maskan banaaya...


Kuch riwayaton me ye bhi hai ke nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya ke:-" ye is ummat ke kutte honge aur agar main unhe pa gaya toh unka safaaya aise hi karunga jaise qaum-e-aad ka safaaya kar diya gaya aur ye aaindah bhi baraabar paida hote rahenge "


nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ke in irshadaat ki sadaaqat ka saboot aapke baad ke daur me baraabar milta raha hai, aur is waqt bhi kabhi posheeda kabhi zaahiraan in kharjiyon aur be'deeno ki zarriyat deen e islam ki kuch zaahiri aur khud saakhta baatein Karke islam aur deen ko shirk wa kufr se ham aagosh kar dene ki pur fareb saajish karke deen wa imaan ki buniyaadon ko khodne ke darpe hai, jisse millat islaamia ke afraad ko hoshyaar rahne ki zarurat hai warna ye kharjiyon ki zarriyat unke deen wa imaan ko kha jaayegi, aur sarre zameen tawheed makka mukarrama aur madeena ko kufr wa shirk ka maskan bana kar rakh degi...


Ek newspaper " nayi dunia" ke shumarah 26 march ya april 2007 ke shumarah ke page 5-6 me ham kharjiyon ki zurrat me se ek muslim numa fitnah par ghaur karte hain.

Jo kharji ,sar zameen tawheed makkah wa madeena ko shirk wa kufr ka maskan banaane ke liye be'taab hain aur afraad millat me tafarraqa paida karke apne maqaasid ke liye raah hamwaar karna chahta hai, aur is muslim numainde tawheed ke mulk ke islam ke baare me ye ilm hai ke wah likhta hai:-

" ab saudi hukumat ke nishaana par wah ghar e hira hai jisme huzoor nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ke ooper pahli wahi naazil hui thi, jahan aapne apne rafeeq ghaar hz abu bakr (ra) ke saath aaraam farmaya tha,yahan tak ke quraan me uska zikr is tarah kiya gaya hai ke jab (ghaar e hira) me huzoor ne apne muhaasib (hz abu bakr ra) se kaha ke gham mat karo allah hamare saath hai, pas allah ne apne rasool nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) aur momineen par rahmat naazil farmayi"


aap ise ghaur se padhiye aur is islaami numainde aur khair khwaah ke ilm par sar dhuniye, jise itna bhi ilm na hoke ghaar e hira aur ghaar e soor me tameez kar sake aur isi se andaza kar lijiye ke uski deegar fareb kaariyan deen tawheed se kitni door aur shirk wa kufr se kitni nazdeek ho sakti hain aur uski unpar fareb baaton ke peeche kaunsa napaak jazba kaar farma hai..

Kharji kabhi hz khadija (ra) ke hujre aur kabhi masjid e abu qais ka maatam karta hai aur iski wajah yah Bataata hai ke:-" masjid ki tameer paighambar e islam ke ek aur nafaase hz ali (ra) ki rihaais gaah par huwi thi "


phir likhta hai ke:-" saudi hukmaran kahte hain ke log in maqaamaat par aakar ibaadat karna chaahte hain wahan duaayen maangte hain aur in maqaamaat ko aqeedat wa ahteraam se dekhte hain "


phir wah unhi maqaamaat muqaddasa ka naam deta hai, lekin ye nahi bataata ke unka taqaddas ya wahan duaaayen karna kis aayat ya hadith se saabit hai ?

Kya nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne unke taqaddas ki taraf halka sa ishaara bhi kiya hai ?

Agar yahan to uska suboot pesh kiya jaaye aur nahin to kisi shakhsiyat ki wajah se kisi ki zameen ko aqeedat se dekhna aur wahan duaayen karna kya shirk wa bidat nahin hai ??

nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ka irshad hai:-" jo hamare deen me aisi baatein shaamil kare jo usme na ho toh wah baatil hai"


aur farmaya:-" allah ne yahud aur Nasaara par laanat kiya hai kyonki unhone apne nabiyon ki qabro ko masjid bana liya"


toh agar sar zameen tawheed par saudi hukumat shirk wa bidat ko pahunchne nahi dete toh uspar ye fitna baaziyan kyun hai ??

Kya sar zameen tawheed me shirk wa bidat ki farma'naroi ho aur kharjiyon ki zarriyat ko apni bidat ki isha'at aur shirk karne ki aazaadi dedi jaaye ?


nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ka irshad hai:-" shaitaan maayus ho chuka hai ke namazi uski zazeeratul arab me ibaadat karenge lekin unhe aapas me uljhaata aur ladhaata rahega "

(muslim 2812)


aur ab shayed shaitaan ne apna ye kaam kharjiyon ki zarriat aur shirk wa bidat ke numaindon ke hawaale kar diya hai,

waqeyah ye hai ke shirk wa bidat ne unhe itna be'taab kar rakha hai ke unhen imaan aur deen se nafrat hai unhone jhoote ilzaamat aur apne khud saakhta aqeede ko deen bana diya hai, isliye saudi shahzaadon me aish wa aashaish Ki saari buraaiyan dikhai de rahi hain, unhe iski fikr to sata rahi hai ke khaana kaaba buland imaaraton ki wajah se chhupa ja raha hai lekin unhone ye nahi bataaya ke kis aayat ya hadith me bataaya gaya hai ke wahan usse buland koi imaarat nahin hona chahiye,

khaana kaaba apni tameer ke waqt hi se apne aas paas ki buland pahaadon ki waadi me hai, agar kaaba ko sabse ooper rakhna hota toh uski tameer ki pahaad par hoti lekin ibteda hi se aisa nahi,

raha ye ilzam ke use buland imaarton se chhupaaya ja raha hai toh ye bhi jhoot aur fareb hai, balke wahan kuch buland imaartein bante maine khud dekhi hain jo hajiyon ki rihaaish ki sahuliyaton ke liye banaayi ja rahi hain aur jinki aamdanion ko masjid e haram aur masjid nabwi ke liye waqf ki jaayegi, kyonki laakhon haajiyon ki rihaaish ke liye masjid haram se bahut door imaaratein tameer ki jaayen toh phir unka tawaaf aur namaz ba'jamaat me shamil hona Dushwaar ho jaayega aur uske aas paas itni zameen nahi ke buland imaarton ke be'ghair rihaaish ki sahuliyatein faraaham ki ja saken, lekin shirk wa bidat ke numaindon ko sar zameen paak me shirk wa bidat ki zarurat hai, isliye wah apni taraf se deen ke naam par kuch naye shoshe paida karke muslim ummah me inteshaar paida karna chahte hain taake unki aad me apne napaak maqsad poore kar saken...


ALLAH HAMEN KHARJIYON KE FITANE SE MAHFOOZ RAKHE.... Ameen

No comments:

Post a Comment