Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Friday, March 7, 2014

LA ILAAHA ILLALLAH MUHAMMADDUR RASOOLLULLAH.....

Bismillahirrahmanirraheem



LA ILAAHA ILLALLAH MUHAMMADDUR RASOOLLULLAH.....



MASLA- HZ AMR BIN AAS (RA) NE QABR ME SAWAAL JAWAB KE DARR SE APNI AULAAD KO WASIYAT FARMAYI KI DAFAN KARNE KE BAAD MERI  QABR PAR DER TAK KHADE HOKAR DUA KARTE RAHNA...



Hz ibn shumasah mehdi (ra) kahte hain:-" ham hz amar bin aas (ra) ki maut ke waqt unke paas gaye, we der tak rote rahe phir apna muh diwaar ki taraf kar liya, unke beton ne kaha

" Abba jaan ! Kya nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne aap ko falan falan Bashaarat nahi di "

Tab hz amr bin aas (ra) ne apna chehra saamne kiya aur kaha

" tab ham log (yani Sahaba kiram )....... LA ILAAHA ILLALLAH MUHAMMADUR RASOOLLULLAH ka iqraar sabse Bahtar baaton me Shumar karte they,

Mere uper 3 haalatein guzri hain,

Pahli haalat wah hai jab main nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se zyada kisi ko bura nahi samjhta tha, aur meri tamanna thi ki main Aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par Qaabu paaun aur aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko Qatl kar dun, Agar main isi haalat me Marr jaata toh Jahannamion mese hota,


Iske baad dusri haalat yah thi jab Allah ne mere dil me Islam ki muhabbat daal di aur Main aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me haazir hua aur kaha

" Apna haath badhaiye "

Aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne apna daayan haath aage kiya toh maine Apna haath Kheench liya..

Aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne Irshad farmaya:-" Amr ! Kya baat hai ?"

Maine kaha:-" main Shart karna chaahta hun "

Aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" Kaunsi Shart ?"

Maine kaha:-" mere Gunaahon ki maghfirat ki shart "

Aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne Irshad farmaya:-" Aiy amar ! Kya tu nahin jaanta ki Islam Qubool Karna picchle saare Gunaahon ko maaf kar deti hai, aur hajj karna pichle saare gunaahon ko maaf kar deta hai,"


Tab mujhe nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se itni zyada muhabbat thi ki itni zyada kisi dusre se nahin thi, aur meri nigah me aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki itni zayada Shaan thi jo aur kisi ki nahin thi,

Maine aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke Jalaal wa roub ki wajah se aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki taraf Aankh bharkar nahin dekha,

Agar main Isi haalat me marr jaata toh ummeed thi ki Jannati hota, lekin Uske baad ham kuch ( duniya dari ke ) kaamon me fas gaye aur Ab main nahin jaanta ki is teesri Haalat me mera anjaam kya hai ??


Isliye jab main Marr jaaun toh mere janaze ke saath koi rone Chillaane wali Aurat na ho na hi ( koi) Aag lekar chale Aur jab tum mujhe dafan karo toh Acchi tarah Qabr par mitti daal Dena aur meri Qabr ke paas itni der tak (dua ke liye ) khade rahna jitni der me Oont zibah karke uska Ghost takseem kiya jaata hai, taaki mere dil ko tasalli rahe Aur mujhe pata chal jaaye ki main Apne rabb ke bheje hue Farishton ko kya jawab deta hoon  "


( muslim kitabul iman bab konul islam )



Ek baar farmaya

" Amr sacche momin hain "

ek baar farmaya

" Amr bin aas Quraish ke nek logon mese hain "

Ek baar unke haq me yun dua farmayi

" ya allah ! Amr bin aas ki maghfirat farma "

Ek aur mauqe par dua farmayi

" Allah amr par Raham farma "

No comments:

Post a Comment