Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Sunday, March 9, 2014

LAFZ "GHAIR MUQALLID" PAR BAHES

Bismillahirrahmanirraheem




Lafz ‘Ghair Muqallid’ par behas :- 

Ek Nau-jawaan ladka ek Mufti Saahab se kuch sawaal karta hai. Ladke ka naam Ahmed hai. 

Ahmed: Mufti Saahab, aap logon ki zubaan se Ahle Hadeeson ke liye yeh lafz  “Ghair Muqallid” baar baar aata hai, iski wazaahat chaahta hoon?

Mufti:Thik hai bata deta hoon.

Ahmed: Muqallid ka ma’ani kya hota hai?

Mufti:Muqallid Taqleed karne waaley ko kehte hai.

Ahmed:Taqleed ka ma’ana kya hai?

Mufti:Kisi ki baat ko aankh band kar ke bina kisi daleel ke maan leney ko Taqleed kehte hai.

Ahmed:To Muqallid aankh band kar ke kisi ghair Nabi ki baat ko bina kisi daleel ke maan leta hai?

Mufti: Haan kuch aisa hi samjho.

Ahmed:Ab aap zara mujhe Taqleed aur Muqallid ki zid (opposite) bataayenge?

Mufti:Arrey Taqleed na karne waaley ko Ghair Muqallid kehte hai jaise ke tum ho. TumGhair Muqallid ho samjhe?

Ahmed:Acha! To Raat ki zid (opposite) kya hai?

Mufti:Din.

Ahmed:Aur Jhooth ki zid?

Mufti: Yeh kaise bachon jaise sawaal kar raheho? Kya yeh bhi bataana padega ke jhooth ki zid sach hai?

Ahmed:Mufti Saahab! Jab Raat ki zid (opposite)ghair raat nahin balke din hota hai aur jhooth ki zid ghair jhooth nahin bal ke sach hota hai to Muqallid ki zid(opposite) Ghair Muqallid nahin balke Muhaqqiq hona chaahiye.
 

Kyunki Muqallid Ghair Nabi ki baat ko bina kisi daleel aankh band kar ke manta hai aur Muhaqqiq Ghair Nabi ki baat ko tehqeeq ke baad manta hai? Hai na? 

No comments:

Post a Comment