Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Sunday, March 2, 2014

MASLA-E- TARAWIH AUR HANAFI MUQALLID KI KAALA BAZAARI:

Bismillahirrahmanirraheem



MASLA-E- TARAWIH AUR HANAFI MUQALLID KI KAALA BAZAARI:



palan haqqani(hanafi) apni kitab " jamaat ahle hadith ka khulefa rashidoon se ikhtelaaf" me ek baab baandha hai " maslak ahle hadith aur namaz e tarawih" aur isme kai riwayatein hadith ki kitabon se naqal ki hain, aur saari hadithon ko tod marod kar yahoodi waali harqatein ki hain, lekin sacchai chhup nahi sakti hai, haqiqat to har haal wajeh ho kar rahti hai,.....


Hairat is baat par hai ke us baab me jitni hadith haqqani laayen hain sab unke khilaaf jaati hain, kisi ek hadith me bhi yah zikr nahi hai ke allah ke rasool ne poori zindagi me kabhi ek baar bhi 20 rakat tarawih padhi ho, jitne suboot laayen hain sab 8 rakat hi ke hain, sabse wajeh aur mufassal hadith wah hai, jise haqqani ne pg no 28 par naqal kiya hai, jo tirmizi, nisaai aur abu dawood ki hadith hai, jo is tarah hai haqqani ki kitab me,


hadith: hz abu Zar ra farmate hain ke ham ne huzoor sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath roza rakha to aapne ham logon ko namaz nahi padhai hatta ke jab maah ramzaan ke saat din rah gaye to aap ham logon ke saath khade hue (yani namaz me) yahan tak ke tihaayi(1/3) raat guzar gayi phir dusri raat raat khade na huwe balke paanchwi raat ko khade hue , ek raat ka naaga karke dusre raat jabkhe paanch din ramzaan ke baaqi rahe, to hamare saath namaz padhi yahan tak ke aadhi raat guzar gayi, ham logon ne arz kiya ya huzoor sallalaho alaihi wasallam (pbuh) kaash hamari is baaqi raat me bhi nafil padha dete( to bahtar hota yani aadhi raat ke baad bhi padhte) aapne farmaya ke jo imam ke saath khada ho yahan tak ke wah namaz se faarig howa(yani imam ke saath namaz me khada raha) uske liye tamaam raat ka khada hona likha jaata hai, phir aapne namaz nahi padhi (agli raat phir naaga kar diya) yahan tak ke jab teen din baaqi Rah gaye, to us raat aapne apne ghar waalon ko bhi bulaaya aur hamaare saath itni der khade rahe ke hamen falaah(sahri) chhoot jaane ka khauf la haq ho gaya, raawi kahte hai ke maine hz abu zar ra se poocha ke yah falaah kya cheez hai? ,kahne lage sahri khaana "


yah hadith hasan wa sahih hai

yah hai wah hadith jisko hanafi muqallid ne pesh karke bahut se aitraazaat ahle hadith par kiye hain


yah hadith is qaabil hai ke iska ek ek gosha samjha jaaye aur yah dekha jaaye ke muqallid ki ibleesi ki taeed karti hai, ya jamaat e ahle hadith ki taeed karti hai, jo aadmi zara bhi gaur wa fikar se kaam lega wah samjh lega ke yah hadith poori ki poori maslak ahle hadith ki taeed karti hai...


1-- yah ke huzoor sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne jo amal ek dafa karke bata diya wah hamesha ke liye sunnat ho gaya , goya aapne teen raat jamaat se namaz padha kar ummat ko bata di yah hamesha ke liye sunnat Rasool sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ho gayi, lekin is me huzoor sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne logon ko bulaaya nahi, zabardasti jagaaya nahi, warna farz ho jaati , jo log padhne aaye they unhone padha, jo nahi aaye they inko bulaaya nahi na inko kuch kaha, lihaaza har shakhs ko akhtiyaar hai chaahe tanha padhe chahe jamaat se, chaahe ghar me padhe, chaahe masjid me chaahe namaz isha ke baad padhe chaahe aadhi raat ko chahe pichli raat ko padhe, chaahe poori raat padhe....

Haqqani aur inka giroh hanafiya chunke yateem fil hadith hain bechaare hadithon ko kya samjhen, hadithon ko samjhna aur inse masail akhaz karna muhaddiseen ka kaam hai ahle hadith ka kaam hai, kahaani kissi likhne waale ise kya samjhen, ya makar wa fareb ke zariye daulat kamaane waale in baaton ko kya jaane


2-- dusri yah ke huzoor sallalaho alaihi wasallam (pbuh) paanch taaq(odd) raaton me jaag kar ibadat karte they , jaisa je in raaton ki fazilat se malum hota hai, ahle hadith bhi isi tarah paanch raaton me ibadat karte hain, namaz padhte hai, tilaawat qalaam paak karte hai, zikr wa azkaar karte hain, duwaayen karte hain,


3-- pahle raat isha ki namaz ke baad namaz tarawih aapne shuru farmayi aur taqriban raat ka ek tihaai hissa guzarne tak padhai, yah wah amal hai jis par aaj hanafiya aur ahle hadith ka amal hai, ke isha ke baad fauran khade ho jaate hain aur taqriban raat ke ek tihaai hissa guzarne tak padhte hain ,

lekin haqqani sahab ya to is hadith ko samjh ne sake yah wah isko maanna nahi chaahte, ya wah logon ko dhoka dena chaahte hain, chunanche haqqani apni kitab ke pg no 29 par likhte hai ke

" huzoor sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne 3 din namaz jamaat se masjid me sahaha kiram ra ko padhai hai, wah aadhi raat ke baad padhai hai,"


mere aqalmand bhaiyyon ! Khud dekh sakte hai ki qadar jhoot aur Khula fareb hai, uper hadith naqal karte hain ke " aap ham logon ke saath khade hue (yani namaz) me yahan tak ke tihaai raat guzar gayi"

aur pg no 29 par likhte hain ke aadhi raat ke baad padhai hai, hairat hai hadithon ke saath is qadar mazaak , is qadar fareb aur is qadar tahreef ibleesi

4-- chouthe yah ki dusri baar jab aapne namaz padhai to namaz isha ke baad se shuru karke aadhi raat tak padhai,

iska par bhi ahle hadith ka amal hai, lekin haqqani(hanafi) jhoot likhte hain ke teen din aadhi raat ke baad padhai,

hadith ke alfaaz saabit karte hain ke aapne isha ki namaz ke baad se shuru ki aur aadhi raat tak padhai ye alfaaz haqqani ko nazar nahi aaye, kyonki taqleed ne inki aankhen andhi kardi hain,


5-- paanchwi yah ke " jab teen din baaqi rah gaye to us raat aapne apne gharwalon ko bhi bulaaya aur hamare saath itni der tak khade rahe ke hamen falaah(sahri) chhot jaane ka khauf la haq ho gaya"



Hadith ke alfaz bata rahe hain ke allah ke rasool sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne teesri namaz ko tahajjud shumaar kiya hai, alaheda se tahajjud nahi padhi aur isha ke baad se fajr tak jo namaz allah ke rasool sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne 3 raat padhai hain , wahi tarawih hai, wahi tahajjud hai, wahi salatul lail hai, wahi qayamullail hai,

naam kuch bhi rakh len namaz ek hai, allah ke rasool sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne teeno auqaat(time) me padh kar bata diya,

isha ke fauran baad bhi, aadhi raat ko bhi, pichli raat ko bhi taake ummat ko aasaani ho aur log apni sahuliat ke mutabik kisi waqt bhi padh saken,


lekin haqqani ki ibleesi, shaitaani aur jhoot mulaheza ho. Likhte hain:-" huzoor sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne teen din namaz bajamaat se masjid me sahaba kiram ra ko padhai hai, wah aadhi raat ke baad padhai hai"

sirf yahi ek baat is muqallid ki chalbaazi ko samjhne ke Liye kaafi hai , ke yah kis tarah talbeesi ibleesi karke logon ko fareb de rahe hain, aur khullam khulla jhoot par qamar baandhe hue hai


6-- is hadith se saabit hota hai ke aapne sahaba kiram ke saath jo teen raat namaz padhi, pahli tihaai raat tak, dusri aadhi raat tak, teesri sahri ke waqt tak, to in teen raaton me aapne tahajjud ki namaz alag se nahi padhi balke isi ko tahajjud shumaar kiya

agar tahajjud aur tarawih aur qayamullail ya salatullail alag alag hoti to tahajjud alag se padhte, aapne in teeno me se kisi raat me tahajjud nahi padhi jiski ziyadah wazahat aakhiri raat se hoti hai, ke us raat aapne sahri faut hone ke waqt tak logon ko namaz padhai,

zahir hai ke iske baad tahajjud padhne ka sawaal hi nahi hai, is hadith se saaf sabit ho gaya ke tarawih aur tahajjud ek hi namaz hain,

tarawih us waqt kahenge jab baad isha padhi jaaye aur tahajjud us waqt kahenge jab raat ke aakhiri hisse me Padhi jaaye.. Isha aur fajr ki beech ki namaz hai, jisko qayamullail aur salatullail bhi kahte hain,


rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ke zamane me tarawih ka lafz raaij na tha, us waqt salatullail aur qayamullail kahte they, tarawih ka lafz baad me jaari huwa hai


yahi hadith muqallideen ke is fareb aur dhoke ko bhi baatil kar deti hai ke tahajjud aur tarawih alag alag namaz hain


ALLAH HAQ BAAT KAHNE AUR SAMJHNE KI TAUFEEQ DE......AMEEN

No comments:

Post a Comment