Bismillahirrahmanirraheem
NAJD AUR NAJDIYAT KA JAAYEZA : (PART-1)
Insari zehano par zaraaye ablaagh (media) ki mazboot giraft, afwaahon, aur propagandoh, ki hamesh'giri, nez uski khususiyat wa asraat, aur nataiz ki aur asar har daur me ek behad'kaargar hathyaar ka kaam deti hai,
magar maujoodh daur me maghribi (western) media aur zionist ki jadeed media par bila'dasti ke nateeje me islaam ke khilaaf muzaaheron aur " dahshat gardi " ke naam se islam aur musalmano ko badnaam karne , kai sahyooni saajish ( zionist conspiracy ) ne propagandah baazi ke tamam records todh diye hai,
is daur ke tamam zaraaye ablaagh (media), chaahe wah akhbaaraat (newspaper) hon, ya pamphlate, ya internet, ya news channel, ya hording, yaani sadkon ya chauraahon ke kinaare lage hue, bade bade jahaazi sign board wagerah,
isi tarah tele vision, aur internet, jaise modern wasail, nez loud speaker, cassette, C.D's, jaise Electronic aalaat ne propaganda ke fan ko baam e urooj par pahuncha diya hai !!!
Baat sahih ho ya ghalat, in tamam aalaat (instrument ) ke zariye aap apne mauqaf ko ba'aasaan aur baraay e raast aawaam un naas (public) ke zehano me utaar sakte hain, khwaah padhe likhe hoshiyaar aur graduate log hon ya " bilkul jaahil " ujadh, aur aawaam !
Barr e sagheer (hind aur pak ) me ummat muslima ki safon ke andar arsah'daraaz se kuch shar'pasand anaasir aise maujood hain, jo jaan'boojhkar ya anjaane taur par " sahyooniyat (zionism ) " ki islam dushman propagandah muhim ke hamraah, aur aalaa kaar aur haath aur baazu bane hue hain, saaf taur par zionism ko hawa de rahe hain,,
zaati mufaad (faayeda) ya giroh'bandi ke khaatir musalmano me ba'hami nafrat wa adaawat aur tafreek wa inteshaar ke beej bona unki fitrat saaniyah aur irshad e nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh):-" kul momin akhwah"
ke huqm ko Taar taar karna unka sheba wa waahid maqsad ban chuka hai,
islam par propagandah muhim me fi zamaana unka tareeqa kaar mukhtalif tarah ke hote hain,
jaise ilzaam taraashi, tabarra'bazi, dushnaam'taraazi, takfeer ulema wa akaabir millat, aur aslaaf ummat ko badnaam karna, wagerah wagerah,
jahan tak "bure alfaaz" se pukaarwa wa taana zani ki baat hai toh is zaman me tauheed pasandon aur deen ke haqeeqi aalam'bardaron ke khilaaf tabarrah'bayi ke liye islam dushman anaasir ne agarchah bahut se nafrat failaane waale khitaabaat wa al'qaabaat taraash kar aawaam un naas (public ) me mashoor aur unke wird zubaan kar rakhen hain,
jaise wahabi, lahabi, gulaabi wahabi, dushmanaan e rasool, munkireen e awliya allah, 24 number, wagerah wagerah,
magar in sab propagandah ke ba'wajød sad se zyada haqeer ameez aur nafrat angezi, khitaab hai " NAJDI", hai,
jiska mafhoom awaam un naas k zehnon me" SHAITAAN LAEEN" Se kam nahin.......
Kyonki uska tareekhi pas e manzar hijrat nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke jis waqeye se juda hai, usme " SHEIKH NAJDI " ke kirdaar ko buniyaadi ahmiyat haasil hai,
chunanche " NAJD" ki nisbat se is waqeye ka propagandah bidation apni mahfilon me nihayaat tabbarruk ke saath karte hain, aur is tarah unka maqsad na sirf SHEIKH UL ISLAM MUHAMMAD BIN ABDUL WAHAB NAJDI TAMIMI (RH) ke kirdaar par keechhad uchhaalna hota hai, balke wah iske zariye tamam hi tauheed pasandon ki kirdaar'kushi aur buraayi wa tabarra ko apna ash'haar banaaye hain,
isliye aage badhne se pahle munasib malum hota hai ke hijrat nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke us waqeye par ek sarsari nigaah daal li jaaye.....
Taareekh wa seerat ki kitabon me janab nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka makkah hijrat waqeya badi tafseel se milta hai,
nabi e akram sallalaho alaihi Wasallam (pbuh) ki dawat e islam ka makki daur jin pareshaanion aur takleefon me guzra aur islam qubool karne walon par zulm wa sitam ke jo pahaad quraish e makka ne tode they, unki tafseelaat se har padha likha deendaar musalman acchi tarah waaqif hai,
allah taala ki taraf hijrat ka huqm mil jaane ke baad jab makka se musalmano ki badi tadaad apna gharbaar sab kuch chhod kar yasrib (madeena) ki taraf hijrat karke jaane lage toh quraish e makka ko badi fikr paida ho gayi, kyonki in barbaad musalmano ko panaah dene wale " yasrib " ke mashoor qabail " aos " aur " khajraj " intehaai bahadur aur ba'asar jangju aur himmati log they,
ahle makka ke tijaarati kaafile mulk e sham (syria) jaate rahte they, unki guzar'gaah bhi yasrib (madeena ) ke qareeb se hokar jaati thi,
unhen khatrah hua ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) jald hi hijrat karke un logon se ja milenge, toh unke liye mustaqbal (future) me ek azeem khatrah khada ho jaayega,
chunanche nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke baare me "aakhiri faisla" karke ke maqsad se makka ke " daarul nadwa " me jama hue jo unka parliament tha, aur unhone logon ko taakeed (elaan )ki ke:-" makka aur qurb wa jawaar ka koi bhi aqalmand aur ba'shaoor aadmi jo mashwarah dene ki salahiyat rakhta hai, is ijlaas (meeting ) me shirkat se peeche na rahe"
mashonr muwarrikh ibn ishaq, hz abullah bin abbas (ra) se riwayat karte hain ke:-" jab wah log waqt e muqarrar par nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke baare me ' aakhiri faisla' karne ke liye 'daarul nadwa' me jo haram shareef ke qareeb hi waaqe tha, jama hue, toh SHAITAAN E LAEEN bhi ek tajurbah kaar boodhe ki shakal me qeemti libaas pahne hue darwaaze par aa khada hua,
jab quraish e makka ne ek ajnabi aur buzurg soorat shakhs ko is tarah darwaze par khada dekha toh unhone Poocha ke:- " aiy sheikh ! Aap kaun hain ? Aur kahan se aayen hain ? "
shaitaan ne jawab diya ke:-" main elaaqa e ' NAJD ' ka rahne waala hun, maine suna hai ke aap logon ne aaj koi aham faisla karne ke liye ijlaas talab kiya hai, main bhi is ijlaas ki kaarwaahi sunna chahta hun, mumkin hai ke main bhi aap hazrat ko koi sahih mashwarah de sakun"
wah sab bole:-" tashreef laiyye "
chunanche is tarah SHAITAAN E LAEEN " sheikh najdi " ke bhes me unki majlis me shareek ho gaya, ijlaas ki kaarwaahi shuru hui toh quraish ke mukhtalif sardaaron, aur maaldaar logon ne apni apni samjh ke mutabik mukhtalif tajaaweej pesh ki,
kisi ne mashwarah diya ke :-" nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko hath'kadi pahna kar aur pairon me lohe ki bediyan daal kar kaal'kothri me qaid kar diya jaaye, jis tarah maazi me pahle logon ke saath sulook kiya gaya tha, aur wah bil'aakhir qaid khaane me marr gaye they "
Sheikh najdi ki shakhl me maujood shaitan e laeen ne is tajweej ko radd karte hue kaha ke:-" ye koi maaqool tajweez nahi, uske saathion ko pata chalega toh wah tumpar hamla karke chhuda le jaayenge, "
dusri tajweej zila'watan karne aur mulk'badar kar dene ki thi, usko bhi sheikh najdi ke bhens me maujood shaitan ne radd kar diya aur unhen samjhaya ke tum log muhammad (sws) ki fahasat wa balaaghat aur naram kalaami se kya na'waqif ho ??
Wah shakhs apni baaton se dusron ka dil jeet (moh )leta hai, jahan jaiga apni meethi meethi baaton se logon ko apna hamnawa bana lega aur anjaam ka ek lashkar jaraar lekar tumpar hamlawar hoga aur tumse iqtedaar aur hukumat chheen lega,
mukhtasar ye ke aakhir me abu jahal ki tajweez se :-"har ek qabeela se ek ek naujawaan iraadah ka pakka, badan ka mazboot, talwaar ka dhuni, aur phir har ek ek ko ek nangi talwaar de kar huqm den ke wah waqt e muqarrar par mauqa Paakar ek baargi nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par hamla karke qatal kar den, is tarah unka khoon tamam qabail me bat jaayega aur phir banu abd e munaf apni saari qaum se inteqaami jung nahi ladh sakenge, "
ye sunkar sheikh najdi ke bhes me maujood shaitaan e laeen chilla utha, ke bas bas !!!
Yahi tajweez sabse ziyadah maaqool aur kaar'aamad hai,
chunanche is par intefaaq e raaye hokar jalsa bar'khaast ho gaya aur phir tajweez ke mutabik kuffar e makka ne ek raat janab nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke ghar ka muhaasera kar liya taake jab subah saadik ke waqt namaz padhne ke liye ghar se niklein toh aapka usi tareeqe se ek'baargi hamla karke kaam tamam kar diya jaaye "
TABSIRAH:
Taareekh wa seerat ke is waqeye ko buniyaad banakar islam ke bidati aur yahud wa nasaara ne " NAJD " ki nisbat ke khilaaf nafrat wa adaawat aur tabarra ka toofaan barpa kiya hai, aur NAJD Se nisbat rakhne waalon ke wajood ko jis tarah mustaqal taur par shaitaan ke wajood se jodh diya hai, wah mohtaj e bayaan nahi,
halaanke shaitan laeen ka ye koi mustaqal bhes nahin tha,
chunanche seerat e nabwi ki kitabon se pata chalta hai ke " jung e badr " ke mauqa par shaitan yani suraaka bin malik haythami ki shakl me tha, aur dauraan e jung unki himmat afzaai kar raha tha,
jab usne aasmaan se farishton ke lashkar musalmano ki madad ke liye utarte dekha toh satpata kar ulte pair wahan se faraar hogaya,
toh kya hz suraaka bin malik hythami (ra)......... Jo baad me musalman hokar sharf sahabiyat se munawwar hue they...... Unse mahaz is wajah se nafrat ki jaaye, ke shaitaan ek martaba unki shakl me zaahir hua tha..... ??
Aur kya oondhi mantak (logic) ki buniyad par hz suraka bin malik (ra) jaise sahabi e rasool se shadeed nafrat wa adaawat ka sabak musalmaö ko is tarah padhaaya jaayega, jis tarah SHEIKH NAJDI ki munasibat se NAJD aur ahle NAJD se mustaqal taur par nafrat wa adaawat ka sabak nahin diya gaya hai ???
Isi tarah bukhari shareef me maujood hz abu hurairah (ra) se marwi ye sahih hadith bhi qaabil e ghaur hai ke :-" ek martaba unhen nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) sadaqaat zakaat ke maal ki hifaazat par mutayyan farmaya tha, maal ki jis kothari me hz abu hurairah (ra) soye hue they, usme aadhi raat ke baad ek baddu yani ujad dehati chupke daakhil hokar maal sametne laga, hz abu hurairah (ra) ki aankh khul gayi, aapne lapak kar usko pakad liya, wah baddu dehati minnat samaajat karne laga aur phir na aane ka waada lekar aapne use chhod diya,
subah ko ye waqeya nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko bataya, aapne farmaya:-" wah chhota hai aur aaj phir wah dobara aayega "
chunanche raat ko phir aisa hi waqeya pesh aaya aur hz abu hurairah (ra) ne ek baar phir Uske gidgidaane se minnat samajat karne aur dobara na aane ke waada par aitbaar karke chhod diya,
subah ko nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se uska zikr kiya toh aapne farmaya:-" wah shaitaan laeen tha, tum uske jhoot par aitbaar na karna aur aaj phir aayega "
chunanche jab wah dehati baddu ki shakl me chori ki niyyat se maal khaanah me ghusa toh hz abu hurairah (ra) ne usko pakad kar rassi se baandh diya, aur usko kaha:-" aaj toh tujhe nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke paas pakad kar zaroor le jaunga , ab tujhe kisi qeemat par nahin chhodunga "
is par baddu ke bhes me maujood shaitan kahne laga ke:-" agar tum mujhe chhodne ka waada karo toh main tumko ek aisa amal bataaunga ke jiske karne se tumhara maala wagerah shaitaan wa jinnaat ke asraat aur qabze se mahfooz rahega "
hz abu hurairah (ra) ne jab uski baat par apni aamadgi zaahir ki toh us par shaitaan ne bataya ke:-" Agar ' ayatul kursi ' padh kar kisi maal par dam kar diya jaaye shaitaan us maal par qaabiz nahin hota aur na us ghar me daakhil hota hai, jis par ayat ul kursi ki rozaana tilaawat ki jaaye "
ye sunkar hz abu hurairah (ra) ne usko chhod diya aur subah ye baad unhone nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko bataayi toh nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" shaitaan agarchah jhoota hai, magar us jhoote ne ye baat sach kahi hai "
(sahih bukhari )
bukhari shareef ki is hadith se zaahir hota hai ke shaitaan ne arab ke ek dehati jinhen baddu kaha jaata hai, uska bahroop bana kar sadaqaat ke maal me khurd burd karne ki koshish ki thi,
toh aisi soorat me sheikh najdi waali mantak ke mutabik arab ke har baddu ko shaitaan tasawwur kiya jaayega ???
Isi tarah ek sahih hadith me unhi sahabi e rasool hz abu hurairah (ra) se marwi hai ke:-" ek martaba nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) namaz padh rahe they, usi dauraan shaitaan ek billi ki shakal me namudaar hua, aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) farmate hain ke:-" us waqt shaitan ne meri namaz me khalal daalne aur use mun'qata karne ki bahut koshish ki magar allah taala ne mujhe uspar kaabu de diya tha, aur maine usko pakad kar uska gala daba diya us waqt mera dil chahta tha ke main usko masjid ke kisi sutoon se baandh dun taake tum log subah usko acchi tarah dekh lete, magar mujhko us waqt apne bhai suleman (as) ki ye dua yaad aa gayi
" rabbi ighfir wahab'li mulkan la yanbaghi li'ahadin min baadi "
trans: yani mere rabb! Meri maghfirat farma de aur mujhe aisi sultanate ata farma de jo mere baad kisi dusre ko naseeb na ho,"
chunanche shaitaan mardood ko mere paas nakaam kar diya
(haiwaatul haiwaan jild 3 pg 468-469)
toh kya " najdiyat" ki mazkoorah oondhi mantak ( Logic) ki ru se billion(cats) ki poori nasal ko hi baatin me SHAITAAN tassawwur kar liya jaayega??,
jis tarah elaaqa " NAJD" Se mutaalliq har fard ko kam o besh shaitaan aur nafrat wa adaawat ka hadaf qaraar diya gaya hai ???
Baherhaal ! " najdi " ka lafz ek makhsoos tabqe ke awaam un naas ke zahno me ghalat propaganda ke nateeje me intehaayi ghalat aur " GHAALI " ki shakhl me akhtiyaar kar chuka hai,
TO BE CONTINUED.....
Inshallah part 2 me najd ka sahih mafhoom bayan kiya jaayega...
No comments:
Post a Comment