Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Friday, March 7, 2014

NAMAAZ, ROZA, AUR MUSHRIK WA KAAFIR:


Bismillahirrahmanirraheem



NAMAAZ, ROZA, AUR MUSHRIK WA KAAFIR:



Ye baat aap par saaf ho gayi ke jin logon ke saath nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne jihaad kiya tha wah maujoodah mushrikeen se ba'aitbaar e aqal bahtar aur ba'lihaz e shirk kamtar they,

note: read previous article

ye bhi yaad rahe ke ye log hamaari kahi baat par ek aitraaz wa shubah karte hain jo in ke deegar tamaam shukook wa shubuhaat se bada aham hai... Use bhi dil lagaakar sune


SHUBAH -10


maujoodah mushrikeen kahte hain:- jin mushrikeen wa kuffar ke baare me quraan naazil huwa hai wah allah ki wahdaniyat (la ilaaha illallah ) ki shahaadat nahi they they, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki taqzeeb karte they, quraan ko jhutlaate they aur use jaadu qaraar dete they, jabke ham shahadat dete hain ke allah ke siwa koi maabood nahi, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) allah ke rasool hain, Ham quraan paak ke saccha qalaam e ilaahi hone ki tasdeeq karte hai, akhrawi zindagi par imaan rakhte hain , namaz ada karte hain, aur roze rakhte hai, phir aap hamen un mushrikeen ke saath kaise milaate hain ???


JAWAB:


Tamaam ulema e ummat ka is baat par ittefaaq hai ke agar kisi ne baaz umoor me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki tasdeeq aur kuch baaton me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki taqzeeb ki toh wah kaafir hai, daayera islam se khaarij hai,

isi tarah koi quraan pak ke kuch hisse par imaan rakhe aur kuch hisse ka inkaar kare jaise kisi ne tawheed ka iqraar aur namaz ke farz hone se inkaar kiya, ya tawheed aur namaz ka iqraar aur zakaat ka inkaar kiya, ya un sab ka iqraar kiya aur roze ki farziyat ka inkaar kiya, ya kisi ne un tamaam ka toh iqraar kiya magar fareeza e hajj ka inkaar kar diya, aur jab nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke zamaane me Kuch log hajj karne par tayyar na hue toh allah taala ne uske baare me ye aayat naazil farmaayi


" un logon par jo zaad e raah (kharch) rakhte hon sirf allah ke liye baitullah ka hajj farz hai aur jisne kufr kiya allah (usi se kiya) saari duniya se mustaghni aur be'niyaaz hai "

(surah imran 97)


aur jisne in sab faraiz ka iqraar kar liya lekin hayaat e aakharwi ka inkaar kar diya, unke kaafir hone aur uske jaan wa maal musalmaano ke liye bataur e ghanimat halaal hone par bhi ulema e ummat ka ittefaaq hai, jaisa ke irshad e rabbani hai


" jo log allah ke saath aur uske paighambaron ke saath kufr karte hain aur jo log ye chaahte hain ke allah aur uske rasoolon par hamaara imaan hai aur baaz par nahi aur chaahte hain ke imaan aur kufr ke beech koi raah nikaalen, yaqeen maano ke ye sab log asli kaafir hain aur kaafiron ke liye hamne ahaanat aamez (dardnaak) saza taiyyar kar rakhi hai "

(surah nisa 150-151)


jab allah taala apni kitab quraan e pak me saraahat farma chuka hai ke jo shakhs baaz umoor par imaan laaye aur baaz ka inkaar kare wah haqeeqi maano me pakka kaafir aur mazkoorah azaab ka mustahiq hai toh un mushrikeen ka aitraaz aur shubah zaail (khatm) ho gaya,


1- use kaha jaaye ke aap khud iqraar karte hain ke jisne rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki tamaam baaton me tasdeek ki aur fareeza namaz ka inkaar kiya uske kaafir hone aur uski jaan wa maal halaal hone par ijma hai,

aise hi wah shakhs jisne tamaam umoor ka iqraar kiya magar aakharwi zindagi ka inkaar kiya, usi tarah wah shakhs jisne ramzaan ul mubaarak ke roze ki farziyat ka inkaar kiya aur deegar tamaam baaton ki tasdeeq ki, uske mutaalliq kisi bhi mazhab me koi ikhtelaaf nahi, aur uske baare me toh khud quraan shaahid hai, jaisa ke hamne uper zikr kiya hai,

ye ek taiy shuda aur laazim haqiqat hai ke tawheed hi Wah azeem fareeza hai jisko le kar rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) tashreef laaye aur ye fareeza namaz, zakaat, roza, aur hajj sabse bada hai, toh phir ye kis tarah mumkin hai ke in umoor me se kisi ek ka inkaar karne waala toh kaafir ho jaaye agarchah wah rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke deegar tamaam ahkaam par amal paira ho ? Aur jab tamaam ambiya e rasool ke deen " tawheed" ka inkaar kare toh kaafir na ho !

Subhaanallah ! Ye kis qadr tajjub angez wa hairat khair jihaalat hai


2- use ye bhi kaha jaaye ke rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke sahaba (ra) ne "bani haneefa" ke saath jihaad kiya halaanke wah rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath islam la chuke they, wah shahadat dete they ke allah ke siwa koi maabood barhaq nahi aur rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) allah ke rasool hain, wah azaane dete aur namaz bhi padhte they . Agar wah kahe ke "banu haneefa" musailma kazzab (la) ko nabi samjhte they, toh kahiye ke yahi baat toh hamen matloob hai,

jab koi shakhs kisi ko nabi e kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka maqaam wa martaba de toh wah kaafir hoga, uska khoon wa maal halaal hogaya,

use iqraar e tawheed wa risaalat aur namaz koi faayeda na de sake toh us shakhs ka kya anjaam hoga ? Jisne ' khaaliq wa maalik, raaziq' kisi sahaba ya kisi nabi , ya kisi peer, wali, buzurg ko is maqaam tak pahuncha diya

isliye allah taala ne farmaya:

" isi tarah allah unke dilon par muhar laga deta hai jo ke nahi jaante"

(surah rum 59)


3- use kaha jaaye ke wah log jinhe hz ali (ra) ne aag se jalaaya tha, wah sab islam ka dawa karte they, hz ali (ra) ke ashaab wa rafqa mese they, unhone sahaba kiram (ra) se ilm seekha tha, lekin hz ali (ra) ke baare me yousuf aur shams wa qamar jaisi bad'aqeedgi ka shikaar ho gaye they.

Sahaba Kiram (ra) unki takfeer aur unke saath jihaad karne par jaise jama ho gaye ?

Kya aap us zan e baatil aur kham khayaali me mubtela hain ke sahaba kiram (ra) musalmaano ki takfeer kiya karte they ?


4- use ye bhi kaha jaaye ke " banu abaid ul qadah " jo " bani abbas" ke daur me maghrib aur misr (egypt) ke hukmaran they, wah sab shahadat dete they ke allah ke siwa koi mabood nahi, rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) allah ke rasool hain,

wah islam ke muddai they aur jumah wah paanch waqt ki namaz pabandi se ada karte they, magar jab unhone sharai umoor me mukhaalifat zaahir ki jo hamaari maujooda ghair sharai harkaat se kahin khafeef aur kam tar thi, toh ulema e waqt unke kufr , unke khilaaf jihaad , unke mulk ko " balad e harb" qaraar dene par mutaffiq ho gaye aur musalmaano ne unke saath jung karke islami mumaalik unke changul se azaad kara liye...


5- usse poochen: jab pahle log shirk, Takzeeb e rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh), takzeeb e qur'aan aur inkaar e ba'as (marne ke baad qabron se dobara uthaaya jaana) wagerah ki bina par kaafir qaraar nahi diye gaye balke " MURTAD" tak qaraar diye gaye.. Jaisa ke sab mazaahib ke tamaam ulema ne zikr kiya hai, aur murtad wah hai jo islam laane ke baad kufr ka artikaab kare.

Ulema e kiram ne bahut se umoor bayaan kiye hain jinka artikaab musalmaan ko kaafir aur uska maal wa jaan halaal kar deta hai,

yahan tak ke unhone ba'zaahir maamooli umoor tak ka bhi zikr kiya hai,

maslan, dil ki mawafiqat ke be'ghair sirf zabaan se kalmah kufr kahna, ya hanste hasaate bar sabeel mazaak aisa kalmah ada karna


6- aur usse ye bhi poochen ke wah log jinke baare me irshaad e rabbani hai

" allah ke qasmen khaate hain ke unhone nahi kaha, halaanke unhone kalmah e kufr kaha, aur islam laane ke baad kaafir ho gaye"


(surah tawba 74)




Kya aapne nahi suna ke allah paak ne unhe ek kalmah ki bina par kaafir kah diya hai, halaanke wah ahad risaalat me they, rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath jihaad me shareek hote, namazen padhe, zakaat dete, hajj karte aur allah ki wahdaaniyat par yaqeen rakhte they,

isi tarah wah log jinke baare me irshaad e rabbani hai


" unse pooche ke tum allah, uski nishaaniyon aur uske rasoolon ke saath mazaaq wa tafreeh karte ho ? Bahaane mat banaao, tum apne imaan ke baad kaafir ho gaye ho "

(surah tauba 65-66)


un logon ke mutaalliq rabbul izzat ne saraahat farma di ke wah imaandaar hone ke baad kaafir ho gaye they, halaanke wah ghazwa e tabook me rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath they, unhone qalmah kufr ada kiya aur kaha ke hamne toh ye sirf ba'taur e mazaak kaha tha...


SHUBAH -11



Ab unke is shubah par ghaur farmaayen: kahte hain ke tum log aise musalmaano Ki takfeer karte ho jo " la ilaaha illallah " ki shahadat dete hain, namazen padhte hain aur roze rakhte hain



JAWAB:



Iske jawab ko ghaur se sune aur acchhi tarah samjh len kyonki ye un suffaat ka nihaayat aham aur intehaai mufeed hissa hai


kalma e kufr se kaafir hone ki daleel kitabullah ka wah waaqeya bhi hai, jo bani israel ke islam aur ilm aur neki ke ba'wajood allah paak ne bayaan farmaya hai ke unhone hz moosa (as) ko kaha

" unke devtaon ki tarah hamare liye bhi koi mujassam deota (mabood) muqarrar kar den"

(surah araaf 138)


aur baaz sahaba kiram (ra) ka rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko ye kahna:


"( mushrikeen jis tarah ek darakht par apna aslaha latkaate aur usse barkat haasil karte hain) aise hi hamaare liye bhi koi darakht " zaat e anwaat" (aslaha latkaane aur barkat haasil karne ke liye) muntakhab farma den"


(musnad ahmad 5/218)


tab allah ke nabi rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne kasam kha kar farmaya ke tumhaara ye kahna bani israel ke qaul ki tarah hi hai.....


ALLAH HAMEN HAQ BAAT KAHNE AUR SUNNE KI TAUFEEQ DE...... Ameen

No comments:

Post a Comment