Bismillahirrahmanirraheem
NAMAZ-E-TARAWEEH KE FAZAIL WA AHKAAM:
Biraadraan e islam ! Aaj ke is article me namaz e taraweeh ke fazail wa ahkaam bayaan kiye jaayenge, allah taala aap sabhi hazraat ko sunne samjhne aur amal ki taufeeq se nawaaze.....AMEEN
Musalmaano ! Taraweeh, qayamul lail, aur tahajjud dar'asal ek hi namaz ke mukhtalif naam hain,
isi namaz ko ramzaan ke elaawah mahinah me qayam ul lail aur tahajjud kaha jaata hai aur ye namaz raat ke pichle pahar me padhi jaati hai,
jabke ramzan ul mubarak me ise taraweeh kaha jaata hai aur ye bil umoom ISHA ki namaz ke fauran baad padhi jaati hai,
waise ye namaz raat ke awwal, ausat, aakhir tamaam hisson me padhi ja sakti hai,
ye nafil namaz hai aur nafil namazon me ise badi fazeelat hai, isliye allah taala ne ise apne bandon ko is ibaadat ki targheeb mukhtalif tareeqon se di hai,
chunanche quran kareem ke ek muqaam par apne nek aur Mahboob bandon ki sifaat hasna bayaan karte hue allah taala farmaata hai
" aur jo apne rab ke saamne sajde aur qayam karte hue raatein guzaar dete hain "
(surah furqaan 64)
aur dusri jagah ahle iman ki nek khaslaton aur acchi aadaton ka bayaan karte hue allah taala ne irshaad farmaya ke
" unki karwatein apne bistaron se alag rahti hain wah apne rab ko khauff aur ummeed ke saath pukaarte hain "
(surah sajdah 16)
ek aur maqam par farmaya:-" yani wah raat ke pichle pahar allah se astaghfaar karte hain"
( surah dhariyaat 18)
aur pyare nabi akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne ek hadith me huqm diya ke :-" logon ! Islam ko phailaao, khaana khilaao, sulah rahmi karo, aur raat me jab log mahu khwaab hon toh tum namaz padho, tum jannat me ba'hifaazat daakhil ho jaaoge "
(tirmzi, allama albani ne sahih kaha hai)
aur khaas taur par ramzan ul mubarak ke mahine me is namaz ki fazilat ke silsile Me allah ke rasool nabi akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne musalmaano ko targheeb dilaate hue farmaya ke
" jis shakhs ne imaan ke saath aur ajar wa sawaab ki ummeed karte hue, ramzan me qayam kiya (yani tarawih ki namaz padhi ) toh uski pichle gunaah maaf kar diye jaayenge "
(bukhari, muslim)
isi tarah hz umar bin marah (ra) se marwi hai ke bani quza'aa ka ek shakhs khidmat nabawi me haajir huwa, aur usne arz kiya ke:- ya rasoollullah ! Aap mujhe bataayem ke agar main ye gawaahi dun ke allah ke elaawa koi saccha mabood nahi aur aap bila'shubah allah ke rasool hain aur paanch waqt ki namaz padhun, (ramzan ke ) mahine ka roza rakhun, ramzaan me qayam karun, aur zakaat ada karun toh mujhe kya sawaab milega ?
pyare nabi akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jis shakhs ka inteqaal in amaal par hoga wah siddiqeen wa shohada ke saath hoga"
(ibn khuzaima, ibn habban, ba'sand sahih )
TARAAWEEH BA'JAMAAT AFZAL HAI :
agarchah taraawih ki namaz tanha bhi jayez hai magar ise ba'jamaat ada karna tanha padhne se afzal (bahtar) hai,
isliye ke pyare nabi akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne ise ba'jamaat padhaayi hai, aur ba'jamaat padhne ki fazilat apni zabaan mubarak se bhi bayaan hai,
chunanche hz abu zar gifaari (ra) se marwi hai ke:- hamne allah ke rasool sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath ramzaan ka roza rakha lekin aapne (taqriban) mahina bhar tarawih na padhai, albatta jab (ramzan ke ) 7 din baaqi rah gaye (yani 23wi shab ko), toh aapne hamen ek tihaayi (one-third) raat tak qayam ul lail padhaai, aur jab 6 raatein baaqi rah gayin (yani 24wi shab ko) ,toh aapne hamen aadhi raat tak qayam ul lail padhaaya,
hamne guzaarish ki: aiy allah ke rasool! Kaash ke aap is raat ka qayaam aur badha dete, toh aapne jawab diya:-" jab banda imaam k saath poori namaz padh leta hai Toh uske liye raat bhar ka qayam likha jaata hai, aur jab 3 raatein baaqi rah gayi ( yani 27wi shab) toh aapne apne ghar waalon, aur ajwaaz e mutahharaat aur tamaam logon ko jama kiya aur hamen qayam ul lail padhaayi, ( aur qayam is qadr lamba kiya) ke hamen falaah ke faut hone ka andesha la'haq huwa,
(raawi ne) sawaal kiya ke :- falaah ka kya matlab hai ? Toh hz abu zar (ra) ne jawab diya ke SAHRI,
Phir aapne baaqi mahina ( 28,29,30 ki raaton me) hamen qayam ul lail na padhaai "
(ashab us sunan waqaal al albani sahih, hadith no 447)
TADAAD TARAAWIH:
Sahih hadithon se qayamul lail ya tarawih witr samet 11 rakat saabit hai,
8 rakat tarawih aur 3 rakat witr,
jaisa ke hz aisha (ra) se sawaal kiya gaya ke rasoollah (sws) ramzan me (tarawih ) kitni rakat padhte they ? Toh unhone jawab diya ke:-" aap ramzan aur ghair ramzan me 11 rakat se ziyaadah nahi padhte they"
(bukhari, muslim)
TARAAWIH KI QIR'AAT:
Tarawih ki namaz me khaas sooratein ya aayaton ke padhne ka zikr hadithon me nahi milta,
taaham riwaayaton aur aasaar e sahaba se ye pata chalta hai ki is namaz ki qir'at lambi honi chahiye, taake qayaam der tak ho sake, isliye imam ko chahiye ke agar muqtadiyon ke thakne ya uktaane ka andesh na ho oh wah qir'aat lambi kare, isliye ke tarawih me taweel qayam afzal hai,
kuch masajid ke aimma qur'aat me badi jald baazi karte hain, yahan tak ke qalimaat samjh me nahi aate,
sirf AA'LAMOON, TA'LAMOON sunaayi deta hai, ye tareeqa qur'aat sunnat ke khilaaf hai, balke isse qur'aan kareem ki be'hurmati bhi hoti hai,
isliye aimma ko chahiye ke jitna bhi padhen thahar thahar kar saaf saaf padhen...
TARAAWIH ME AURTON KI JAMAAT:
Khwaateen bhi tarawih ki namaz ba'jamaat me shareek ho sakti hain,
ba'sharte ke masjidon me unke liye alag intezaam ho aur wah sharai hijaab aur islaami Adab wa akhlaaq ka lihaaz karte hue saadgi aur waqaar ke saath masjidon me aayen,
aur agar aurtein alag jamaat karna chaahen toh usme bhi koi harj nahi hai,
koi padhi likhi aurat unki imaamat kar sakti hai, makhsoos halaat me mard bhi tanha aurton ki jamaat ki imamat kar sakte hain, jaisa ke tibrani aur musnad abu yala me marwi hai ke
" hz abi bin kaab (ra) ne apne khaandaan ki khwaateen ki imamat karaai thi "
(tibrani, wa musnad abu yala)
witr se faariq hone ke baad buland aawaaz se " SUBHAANA MALIKIL QUDDOOS " kahna masnoon hai,
teesri martaba is dua ka aakhiri hissa kheench kar kahna chahiye
(abu dowood, nisai, ahmad, imam albani ne sahih kaha hai )
namaz tarawih do do rakat padhna afzal hai,
witr ki ek rakat alag padhni bhi masnoon hai,
hz aisha (ra) se riwayat hai ke:-" pyare nabi akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) namaz isha aur namaz fajr ke darmiyaan 11 rakaten namaz ada farmate They har do rakat ke baad salam pherte aur phir saari namaz ko ek rakat se witr banaate,
(muslim)
Allah taala tamaam musalmaano ko taraawih aur qayam ul lail ki taufeeq bakhshe aur uske ajar wa sawab se ham sab ko maala maal farmaayen.....AMEEN
No comments:
Post a Comment