Bismillahirrehmaanirraheem
Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakaatuhu
SOOD (INTEREST) KA BAYAAN
1-Hz Jabir bin Abdullah (R.A) Se Rivaayat hai ki rasoolullah (S.A.W) ne Sood (interest) lene wale,dene waale Aur is ke likhne wale Aur is ke gawahon par Laanat farmai hai, Aur farmaaya:
"(Gnah ke irtikaab me) ye sab baraabar hai "
(Muslim Aur Bukhari me abu juhaifa (R.A) Se marvi hadees bhi isi tarah hai)
FAYDA
is Hadees me Sood ki hurmat, lene dene waale, likhne waale Aur gwahon par laanat ka zikr hai,Sood nassi Qurani se Haraam hai, is se baaz na aane waalon ke liye Allah Aur us ke Rasool(S.A.W) ki taraf se elaane jang hai, ye aisi laanat hai jis duniya bhar ke log giraftaar Aur mubtala hai,is laanat se chutkaare ke liye sachhe dil se har musalmaan ko koshish karni chahiye
2-Hz Abdullah bin Msaood(R.A) ne nabi(S.A.W) se rivaayat kiya hai ki Aap(S.A.W) ne farmaaya:
"Sood ke 73 darje hai,sabse kamtar darja us gunah ki tarah hai li koi aadmi apni maan ke saath nikah kare Aur sabse badkar Sood kisi musalmaan ki aabroorezi karna hai"
(Ise Ibne Maja ne mukhtasar Aur haakim ne mukammal bayaan kiya hai)
3-Hz Abu Syed Khudri (R.A) se rivaayat hai ki rasoolullah (S.A.W) ne farmaaya:
"sone (gold) ko sone ke badle me na becho, magar baraabar baraabar Aur ek doosar ke wazan me (Kami) beshi na karo,Aur chandi ko chandi ke badle me na becho,magar baraabar baraabar Aur ek doosre ke wazan me(Kami) beshi na karo Aur in me gayr maujood ke badle me maujood ko na becho"
(Bukhari,Muslim)
4-Hz Ubaada bin Saamit (R.A) se rivaayat hai ki rasoolullah(S.A.W) ne farmaaya:
"Sona sone ke badle,gandum gandum ke badle, jau jau ke badle, khajoor khajoor ke badle Aur namak namak ke badle ek doosre ki tarah baraabar baraabar Aur nagad (cash) banagad (Beche jayen) agar ajnaas me ikhtilaaf ho to fir jis tarah chahe beche,magar keemat ki adaigi nagad (cash) ho"
(Muslim)
5-Hz Abu Hurayira (R.A) se rivaayat hai ki Rasoolullah(S.A.W) ne farmaaya:
"Sona sone ke badle me,wazan me baraabar baraabar Aur kism ki ek ho,chandi chandi ke badle me,wazan me baraabar baraabar Aur kism me ek jaisi ho,fir agar koi zaada le ya zaada de,bas wah Sood hai
(Muslim)
No comments:
Post a Comment