Bismillahirrahmanirraheem
SUNNAT KHULEFA-RASHEEDEEN (RA)
Nabi E Akram Muhammad Sallaho alaihi wasallam ne Farmaya
" Pas Tum Me Se Jo Ye (Ikhtelaaf) Paaye Toh Us Par (Laazim) Hai Ke Meri Sunnat Aur Mere Khulefa e Rasheedeen Ki Sunnat Ko Laazim Pakad Le Use Apne Daanton Ke Saath (Mazboot) Pakad Lo "
(Sunan Tirmizi 2/96 , Hadith 2676)
Is Hadith Ke Baare Me Imam Tirmizi Ne Farmaya
"Yaad Rahe Ke Sayyidena Hz Umar (Ra) Ka Khulefa E Rashid Hona Nas E Sahih Se Saabit Hai Aur Is Par Musalmano Ka Ijma Hai"
Ek DusrI Hadith Me Nabi E Akram Muhammad Sallalaho alaihi wasallam Ne Farmaya
"Mere Baad In Do Shakhson Abu bakr Aur Umar (Ra) Ki Iqteda (Ittaat) Karna"
(Sunan Tirmizi 2/207, Hadith 3662, Ibn Majah 97)
Is Hadith Ke Baare Me Imam Tirmizi Ne Farmaya
"Lihaaza Saabit Hua Ke Ye Farooqui Huqm Bhi Hadith Marfua Ke Huqm Me Hai, Jabke Marfu Hadith Bhi Iski Taeed Karti Hain, Aur Ek Bhi Sahih Marfu Hadith Iske Mukhaalif Nahin Hai
Daleel Ek
Sayyidena Saib Bin Yazeed (Ra) Se Riwayat Hai
" Ham (Sahaba) Hz Umar Bin Khattab (ra) Ke Zamaane Me 11 Rakat Padhte They"
(Sunan Saeed Bin Mansoor Ba'hawala Alhawi Al fatawa 1/349, Haashiya Athar Us Sunan page 250)
Is Riwayat Ke Tamam Raawi Jamhoor Ke Nazdeek Siqa Wa Saddaq Hain
Jalaluddeen Suyuti (911 hijri) Is Riwayat Ke Baare Me Likhte Hain
"Aur Ye (11 Rakat Wali Riwayat) Musannaf Sayeed Bin Mansoor Me Bahut Sahih Sanad Ke Saath Hai"
(Masaabeeh Fi Salaatul taraweeh Lil Suyuti Page 15, al hawi Fatawa 1/250)
Lihaza Saabit Ho Gaya Ke 11 Rakat Qayam Ramzaan (Taraweeh) Par Sahaba Kiram (Ra) Ka Ijma Hai
Daleel-2
Musannaf Ibn Abi Shyba (235 hijri) Me Hai Ke
"Beshaq Hz Umar (Ra) Ne Logon Ko Aur Abi (Bin Kaab) Aur Tamindari (Ra) Par Jama Kiya, Pas Dono 11 Rakat Padhate They"
(Musannaf Ibn Abi Shayba 2/392 hadith 7670)
Is Riwayat Ki Sanad Bilkul Sahih Hai Aur Iske Saare Raawi Bukhari Wa Muslim Ke Hain Aur Bala Ijma Siqa Hain....
No comments:
Post a Comment