Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Friday, March 7, 2014

TAWHEED AUR SHIRK KI HAQIQAT:



Bismillahirrahmanirraheem




TAWHEED AUR SHIRK KI HAQIQAT:



Islam 3 cheezon ke majmua ka naam hai aur wah hai,

1-AQEEDA
2-AMAL
3-AKHLAAQ


Bahut se musalman akhlaaq hi ko sab kuch samjhne lagte hain, nahi to kam se kam aqeeda aur amal par usko tarjeeh dete hain aur kuch log amal se maroob ho jaate hain aur islam ke zaahiri aamaal ko anjaam dene waale ko sabse bada musalman aur allah ka qareebi samjhte hain haalanke sacchai yah hai ki islam me asal cheez aqeeda hai aur usi par islam ki imaarat qayem hai agar kisi ke paas aqeeda e tawheed nahi hai to uske paas islaam nahi aur na hi aakhirat me jannat ki shakl me usko nateeja milega,

ham neeche quran wa hadith ki roshni me is haqiqat ko waajeh karne ki koshish kar rahe hain


IMAAN AUR NEK AMAL:


Allah ne quraan ke andar jahan bhi jannat me hamesha ke liye daakhil hone ki baat kahi hai waha do cheezen shart ke taur par bayaan ki hai ek imaan(aqeeda e Tawheed) aur dusra nek amal jaisa ki allah ka farman hai:

" aur jo log imaan laaye aur nek kaam karen wa jannati hain jo jannat me hamesha rahenge"

(surah baqarah 82)


AQEEDA-E-TAWHEED KI AHMIYAT:


Jannat me hamesha daakhila ke liye tawheed aur nek amal ki zarurat hai lekin agar amal me kami aur susti ho gayi ho to uski maafi ke bahut raaste hain, nahi to jis qadar uski saza ho usko jhelne ke baad poori tarah aazaadi mil jaayegi aur jannat me daakhila mil jaayega,

jabki agar tawheed bilkul na ho ya usme shirk ki milaawat ho tab bhi allah koi amal qubool nahi karega, isliye aise shakhs ke liye jahannum muqaddar hai aur uspar jannat haraam hai, kyonki aise shakhs ke paas tawheed nahi aur tawheed na hone se agar usne koi nek kaam kiya bhi ho to allah ne use qubool nahi kiya hai..


Insan aur jinn ko allah ne sirf aqeeda-e-tawheed ko apnaane aur use amli zindagi me naafiz karne ke liye paida kiya hai



Jaisa ki allah ka farman hai:-" maine jinnat aur insaano ko sirf isliye paida kiya hai ki wah sirf meri ibadat karen"

(surah dhaariyaat 56)


aur isi paigaam ko duniya me basne waalon tak pahunchaane ke liye allah ne rasoolon ko bheja jaisa ki quran me hai

" hamne har ummat me rasool bheja ki(logon) sirf allah ki ibadat karo aur uske siwa tamaam maboodon se bacho"

(surah nahal 36)


ek dusri jagah allah ne aur zyada wazaahat ki hai:-" tujhse pahle bhi jo rasool hamne bheja uski taraf yahi wahi naazil farmayi ki mere siwa koi mabood barhaq nahi pas tum sab meri hi ibadat karo"

(surah ambiya 25)


SHIRK KI KHATARNAAKI:


farmaan e ilaahi hai:-" yaqinan allah apne saath shareeq kiye jaane ko nahi bakhsta aur uske siwa jise chaahe bakhs deta hai aur jo allah ke saath shareeq muqarrar karen usne bahut bada gunaah aur bohtaan baandha"

(surah nisa 48)

aisa hi allah taala ka irshaad hai:-" yaqeen maano Ki jo shakhs allah ke saath (kisi ko) shareek karta hai uska thikaana jahannum hi hai aur gunaahgaaron ki madad karne waala koi nahi hoga"

(surah maida 72)


nez shirk ko allah ne sabse bada gunaah qaraar diya hai:-" yaqinan shirk sabse bada gunaah hai"

(surah lukmaan 13)


shirk ki tabaahi sirf yah nahi ki uske zindagi bhar me jo kuch aamaal anjaam diye hon ,shirk sabko bekaar wa zaaya kar deta hai,

jaisa ki allah taala ka irshad hai:-" yaqinan teri taraf bhi aur tujhse pahle (ke tamam nabiyon) ki taraf bhi wahi ki gayi hai ki agar tune shirk kiya to bila shubah tera amal zaaye ho jaayega aur yaqinan tu nuksaan uthaane waalon mese ho jaayega"

(surah zumar 65)


nez taqriban 18 nabiyon ko naam ke saath zikr karne ke baad allah ka farman hai:-" allah ki hidayat hi hai jiske zariye apne bandon mese jisko chaahe uski hidayat karta hai aur agar (maan lo) yah hazraat bhi shirk karte to jo kuch yah Aamaal karte to wah sab barbaad ho jaate"

(surah anaam 88)


TAWHEE JANNAT KI CHHABHI(KEY) HAI:


Hz abu hurairah ra se riwayat hai ki aap(sws) ne farmaya:-" yaqiqan allah ke 99 naam hain ek kam sau jisne un naamon ko(unke maana aur mafhoom ke saath jisme poori tawheed maujood hai) mahfooz kar liya wah jannat me daakhil hoga"

(bukhari wa muslim)


hz usman ra se riwayat hai ki nabi akram sallalaho alaihi wasallam ne farmaya:-" jo shakhs is haal me mare ki wah yah jaanta ho ki allah ke siwa koi mabood barhaq nahi to wah jannat me daakhil hoga"

(muslim)


ALLAH HAMEN TAUFEEQ DE KI HAM KOI BHI AMAL KARNE SE PAHLE USE KITAB WA SUNNAT KI ROSHNI ME PARAKH LEN.........AMEEN

No comments:

Post a Comment