Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Friday, March 7, 2014

WASEELE KA MATLAB AUR DUA-E-WASEELA

Bismillahirrahmanirraheem


Wasila ke matlab aisi chiz ke hain jo kisi maqsood ke hansil karne ya iska “Qurb” ka zarya ho-

“ Allah-Taala ki taraf Wasila talaash karo”

ka matlab hoga aise Aamal ikhtiyaar karo jis se tumhe Allah ki raza aur iski “Qurb” hansil ho jaye,

Imaam-Shokani(r.a) farmate hain-Wasila jo Qurbat ka maane(yani meaning) hai, Taqwa aur hansil kiye hue Aamal khair par sadiq aata hai,jin ke zarye se bande apne Rab ka “Qurb(yani wasila)” hansil karta hai,

issi tarah jin chizon se roka gaya ho in kaamo se bachne se bhi Allah ka “Qurab” hansil hota hai,isliye jin chizon se roka gaya ho isse na karna bhi “Qurb-e-Elaahi” ka wasila hai,

lekin Jahilon ne is haqiqi Wasile ko chod kar Qabar me madfun(yani dafan kiye hue) logon ko apna “Wasila” samjh liya hai, jis ki sharyat me koi bunyaad nahi hai, Balke “Hadees” me is “Moqaam-e-mahmood” ko bhi wasila kaha gaya hai jo akhirat me “Nabi{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ko aata farmaya jayega, issi liye “Aap{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ne farmaya:- jo Aazan ke baad mere liye ye “Dua-e-wasila” karega wo meri shifaat ka mustahiq hoga, “Dua-e-wasila” jo Aazan ke baad padhna masnun hai.

(Ahsanul-Biyaan, Page-no—302)


Sahih-Muslim me Hazrat-Abdullah-Bin-Ummar-Bin-Aas(r.t.a) ki riyawat hai ke unhone

“Nabi-Karim{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ko ye irshad farmate hue suna ke:- Jab tum “Muzzin” ko Aazan dete sono to issi tarah se kaho jis tarah wo kahta hai, phir mujh par darood bhejo jisne mujh par ek bar darood padha Allah-Taala is par “10” bar rahmat nazil farmaye ga, phir mere liye” Wasile” ki dua karo, “Wasila” Jannat ka wa Aazim-o-shaan muqaam hai,jo “Bandagan-e-Elaahi” me se sirf ek hi ko nasib hoga aur mujhe umeed haike wo banda main hunga, lihaza jisne mere liye “Wasile” ki dua ki to iske liye meri Sifaat wajib ho jayegi.

(Sahih-Muslim, Hadees-no---384)


Wasila jannat ke sabse Buland-wa-Bala aur Arfaa-wa-Aala darje ka naam bhi hai, aur jo “Rasool-Allah{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ka darjah aur “Aap{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ka jannat me ghar hoga aur jannat ka ye muqaam Allah-Taala ke Aarsh ke sabse qareeb hoga…Sahih-Bukhari me Hazrat-Jabir-Bin-Abdullah(r.t.a) ki riwayat hai ke “Rasool-Allah{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ne farmaya:- jo shaks Aazan soon kar ye dua padhe……..Tarjuma:- [ Aye Allah!Jo tu is puri puri Dawat-e-Tauheed aurqaayam hone wali Namaaz ka maalik hai, “Hazrat-Mohammad{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ko Wasila aur Fazilat aata farma aur Aapkois Qabil-e-Tauheed muqaam(shifaat) tak pahuncha jiska tune inse waada farma rakha hai,] iske liye Qayamat ke din meri Shifaat wajib ho jayegi.( *Sahih-Bukhari, Kitabul-aazan, Hadees-no---614*/*Sanan-Nisai, Kitabul-Aazan, Hadees-no---681*)

Surah-Tul-Mayedah ki Aayat-no 35 ki puri tafsir ke liye dekhe.

( Tafsir-ibn-Kathir, Surah-Al-Mayedah, Aayat-no,35 , Page-no. 333,335)

No comments:

Post a Comment