Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Wednesday, February 19, 2014

AMEER UL MOMINEEN HZ UMAR BIN KHATTAB (RA)







Bismillahirrahmanirraheem


AMEER UL MOMINEEN HZ UMAR BIN KHATTAB (RA) 



Tareekh Damishq me ibn asaakir ne hazaam bin hishaam khuzza'e ke hawaale se naqal kiya hai ke



mere waalid Hishaam ko hz Umar bin abdul aziz (rh) ne bulaaya toh mere waalid mujhe bhi apne saath le gaye,

jab wah ameer ul momineen Umar bin abdul aziz (rh) ke paas pahunche toh Assalamu alaikum ya Ameer ul momineen kah kar salaam masnoon pesh kiya,


unhone salaam ka jawab diya, phir mere waalid hishaam se Hz umar bin abdul aziz (rh) se poocha ke

" Tumne hamare asalaaf ko bhi dekha hai, unke muqaable me hamko kis tarah dekha hai ???"


Hisham ne jawab diya ke


" har ek apne apne tareeqe par chal raha hai"

iske baad mere waalid hishaam ne kaha ke


" Hz umar farookh (ra) ke hasab e talab ek baar main us majlis me pahuncha tha, jahan aaj aapki majlis hai, toh maine hz umar farookh ko dekha ke wah apni sawaari se Utare aur khud Apne haath se apne kazaawah ko utaar kar baandh rahe they

phir hz umar farookh (ra) ne logon ki sawaarion par ek nazar daudaayi toh ek sawaari ko dekha, uski rassi itni shakht bandhi thi ke uski gardan uske paaon se alag thi,

hz umar farookh ne uski rassi ko dheela kar diya taake oont apni gardan poori tarah uta sake,

Baad me hz umar farookh ne Qadr e ghusse ki Haalat me pukaara ke is sawaari ka malik kaun hai ??


Ek shakhs ne jawab diya-"main hoon ya ameer ul momineen"


Farmaya-"Tumne is jaanwar ke saath bahut bura sulook kiya hai, uske jigar past par sawaar hokar uske seenon par pair maarte hue pahunche phir jab uske chaara daana khaane ka waqt aaya toh tumne usko itna shakht baandha  ke goya dono haddiyon ko (gardan ki haddi se paaon ki haddi se) jod diya, aise shakht baandhne se wah gardan kis tarah uthaayega aur apni rozi kis tarah kha sakega ????"


Hazaam kahte hain ke mere waalid Hishaam ne Ye waaqeya bayan karke hz umar bin abdul aziz se poocha ke

is tarah Qaum ki Khidmat wa tarbiyat jaanwaron tak ke aaraam wa raahat ka khyaal aap kyun nahin karte ???

Is saadgi ke saath ke apne haath se apne kazaawah ko utaarna,

apne haath se jaanwaron ko baandhna,

deegar Sawaarion ki haalat ki tafteesh karna aur unki taqleef ka pata lagaana,

Taqleef me mubtela jaanwar ki rassi dheeli karna aur us jaanwar ke maalik ko uske saath Shaffaqqat wa ria'yat ki taaqeed karna,


ye sab khaleefa raashid Hz umar farookh (ra) ka mubaarak wa dard'mandana amal tha,

aur us pur'shoz waqeye ko sunkar Der tak hz umar bin abdul aziz (rh) Rote rahe, Aajke patthar dil kya isse sabaq lenge ????


( Tareekh ibn asaakir jild 4 page 122)


is waaqeye se hamen chand baaton ka ilm hua


1- Ameer ul momineen hz umar farookh (ra) ne apne aapko dusron se mumtaz nahin samjha, balke aam logon ne jis tarah apni sawaari se khud apne Haath se kazaawa utaara, unhi ki tarah unhone bhi bila kisi se madad liye apni sawaari se kazaawa utaara aur phir oont ko khoonte se baandha,

Halaanke aap Ameer ul momineen they, Misr, syria, aur persia wagerah ke faateh aur maalik they, agar aap chaahte toh ek mulaazim rakh lete jo sirf oont se kazaawa utaarta, usko khoonte se baandhta, phir use chaara daana deta....


2- ek baat ye malum hui ke Jis tarah wah apni sawaari ke araam wa raahat ka khayal rakhte they, usi tarah dusron ki sawaarion ke aaraam wa raahat ka bhi khyaal rakhte they, warna unhen apni sawaari ko khoonte se baandhne ke baad dusron ki sawaarion par nigaah daalne ki kya zaroorat thi ????


3- ek baat ye malum hui ki wah zamaana saadgi pasandi ka tha, Warna Ameer ul momineen ko itni zahmat na uthaani padhti, balke koi khushamadi uthata aur Ameer ul momineen ki sawaari se kazaawa utaarta, phir usko khoonte se baandh deta,

lekin poori Majlis me kisi ne bhi Ameer ul momineen ke kazaawah utaarne aur phir usko khoonte se baandh dene ki zaroorat mahsoos na ki,

balke Ameer ul momineen hz umar farookh ne ye amal khud hi kiya,

ye saadgi pasandi ka kitana accha zamana tha aur Khushamad pasandion aur ji huzoorion se door rahne ka mubaarak waqt tha.....



HZ UMAR FAROOKH (RA) KE DAUR ME QURAAN KAREEM KE HIFZ WA FAHAM KA EHTEMAM



Hz umar farookh ke swaaneh hayat me  Islam ki khidmat ki aur Musalmano ke saath tarham wa shafaqqat ke jahan bahut se waaqeyaat taareekhi kitaabon me milte hain wahin Hz umar farookh ka Quraan e kareem se Faham wa hifz ka ehtemam wa intezaam ka ek ajeeb waaqeya bhi saamne aata hai, jisse maalum hota hai ke Farookh e azam Islaam ki khidmaat ke liye Hamesha aage rahe...


1- hz umar farookh (ra) ne ek sahab abu yousuf naami ko huqm de rakha tha ke wah Arab ke mukhtalif Ilaaqon me daurah karen aur pata lagaayen jo log Quraan se ghaafil hon aur na padhte hon, na yaad karte hon , unko Saza den "

(al asaba)


2- isi tarah Hz maaz bin jabal (ra) aur hz abu darda (ra) aur hz ubada bin saamit (ra) ko Hamas, damishq, aur pelestine ki taraf bheja ke wahan jaakar Taleem quraan ko raij kar den aur unme ek ek shaher me ek ek sahab muqeem ho jaayen..

Hz maaz pelestine me, hz abu darda Damisq me, hz ubada hamas me muqeem ho gaye..



3- Isi tarah hz umar (ra) ne fauji musalamano ke commandaron, sipah salaaron ke naam hukm'naama bheja tha ke in Sipaahion ko Quraan ki raghbat dilaao,

Chunanche hz Abu musa ashari (ra) ne hz umar (ra) ke paas 300 faujion ke Quraan hifz kar lene ki ittela bheji,

aur hz abu musa ashari (ra) ne Sooba basrah se khabar di ke

" mere paas jis qadr fauji hain unme se 10000 ke qareeb Aadmi Quraan yaad kar chuke hain"

hz umar (ra) ne khush hokar hz abu musa ashari ka wazeefa badha diya aur yaad karne Waale faujion ka wazeefa muqabalatan badha diya...



4- hz umar (ra) ne ek aam elaan kar rakha tha ke jo shakhs Quraan ke ahkaam aur deen ke deegar zaroori wa buniyaadi masail se waaqif na hon wah mere yahan ke Islaami bazaaron me apni Dukaan nahin rakh sakta... Iska khaatir'khwaah asar pada aur Taleem me umoom ishaa'at ke liye ye circular bada qawi sabab bana.....


HZ UMAR FAROOKH (RA) KI AAKHIRI KHWAAHISH:



Jan abu lulu ne aapko namaz e fajr me Zakhmi kar diya, kadi zarb lagne ki wajah se Aap gash khakar gir pade,

Abu lulu dusre logon ko khanjar maarte hue Bhaag khada hua, aakhir me pakda gaya toh apne aapko khanjar maar kar halaaq kar liya,

Us waqt hz umar faarookh ko uthaakar ghar laaye gaye, thidi der me aapko hosh aa gaya toh bete se poocha

" main tere liye baap ki haisiyat se kaisa tha"

toh hz abdullah bin umar (ra) ne jawab diya

"aap hamare liye bahtareen baap they "

hz umar (ra) ne Farmaya ke

" ummul momineen hz  aisha (ra) ke paas jaao aur kaho ke Umar chaahte hain ke Aap unhen nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ke painaate (pairon ke neeche) dafan hone ke liye jagah de den"

hz abdullah bin umar (ra) gaye toh dekha ke hz aisha (ra) ro rahin hain,

Arz kiya ke -" hz umar farookh ki ye khwaahish hai ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ke paitaane dafan kiye jaayen "

hz aisha (ra) ne jawab diya ke-" wah jagah toh maine apne liye rakhi thi lekin hz umar (ra) ki khwaahish ki buniyaad par main wah jagah unhe deti hoon"


hz abdullah bin umar (ra) waapas aaye aur hz aisha (ra) ki ijaazat diye jaane ki khabar unhe sunaayi.


Hz umar farookh (ra) ne kaha ke

" mere inteqaal ke baad wah dobara hz aisha (ra) se ijaazt talab karna aur kahna ke Umar farookh ne yahan dafan kiye jaane ki khwaahish zaahir ki thi, unki ijaazat milne par hi mujhe is jagah dafan karna, ho sakta hai Mera paas wa lihaaz karte hue unhone ijaazat farma di ho , hz aisha (ra) ke ghar par janaaza lekar jaao toh us waqt AMEER UL MOMINEEN  kah kar ijaazat na talab karna"............


Hz umar farookh (ra) ki imaanat wa diyaanat ki ye kitni badi daleel hai ke unhone baad marj apne aapko Ameer ul momineen kahne se rok diya ke ab wah haqeeqatan Ameer ul momineen nahin rah  gaye they,


Allah taala aapka muqaam buland tar buland rakhe aur jannatul firdaus me jagah naseeb farmaaye....


Aaj ke hukmaran bhi agar is saadgi, haq pasandi, aur hamdardi akhtiyaar karen toh ahad farooqi ki jhalak Ahle islam me phir aa sakti hai......

No comments:

Post a Comment