KE MAINE EK KHWAAB DEKHA HAI..........!
Hz abu hurairah (ra) se riwayat hai ki, unhone bayan kiya ke ham log nabi e akram sallalaho alaihi wasallam
ki khidmat me baithey hue they ke aapne farmaya
" main soya hua tha toh (khwaab me) ek aurat nazar aayi jo wuzu kar rahi thi,
chunanche maine poocha ke ye kiska mahal hai ?
Toh bataya ke - ye hz umar bin khattab (ra) ka mahal hai
phir mujhe unki ghairat yaad aagayi,
isliye wahan se waapas ho gaya (aur andar nahin gaya)
hz abu hurairah (ra) ka bayan hai ke hz umar (ra) is baat par ro pade aur bayan kiya-- aiy allah ke rasool ! Mere maa baap aap par fida hon, kya main aapke liye bhi ghairat rakhoonga ??"
(sahih bukhari, kitab ut taabeer)
sahaba kiram me amuman aur khulefa e arba me khususan hz umar bin khattab (ra) ki jo ahmiyat aur qadr o manzilat hai, uski tafseel ke liye islami taareekh, seerat sahaba, aur
"Taareekh khulefa ka mutaala bahut mufeed hoga
taaham yahan do chand baaton ka zikr karna munaasib hoga, ke inse hz umar bin khattab (ra) ki abqari shakhsiyat ki kuch jhalak mil jaati hai,
hz umar bin khattab (ra) ek aisi ro'abdaar wa ba'waqaar aur aham shakhsiyat thi ke jinke islaam ke liye aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ne dua farmaayi thi, jo qubool hui, aur islam laane ke baad baaz mauqon par nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ko aise mashware diye ke unki taeed me Quraan ki kai aayatein naazil hui,
shahadat aur jannat ki bashaarat toh ek mashoor haqeeqat hai, khud is hadith me aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam farma rahen hain ke main soya hua tha toh (khwaab me) khud ko jannat ke andar dekha, (jahan) ek mahal ke kinaare ek aurat wuzu karti hui nazar aayi, maine poocha ke ye mahal kiska hai?
Toh bataya ke - umar bin khattab ka.........
Yahan pahle ek masla ki Wazaahat zaroori hai ke jannat me jab namaz wa ibaadat hi zaroori nahin toh phir wuzu karne ke kya maane ???
Toh iske jawab me hafiz ibn hajar askalaani farmate hain
" mumkin hai ke mu'allakah khatoon (yani hz umme saleem ) ki (duniyaawi) haalat e wuzu ki misaal wa wazaahat ke liye jannat ke us mahal ke kinaare wah " ba'haalat wuzu dikhaayi gayin hon"
aisi baat nahin hai ke fil'waaqe wahan bhi wuzu ka amal pesh aayega, ye khaatoon nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ke zamaane me ba'hayaat toh thin hi khud hz umar (ra) ke daur e khilaafat me bhi wah zinda rahin,
hz umar (ra) ke mahal ke kinaare hone ka matlab bhi ulema ne ye batlaaya hai ke wah hz umar (ra) ka daur e khilaafat dekhengi, aur aisa hua bhi "
(ba'hawala fath ul bari jild 12 page 416)
aur farmaya
" jamhoor ulema e ba'qaul aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ne jisko khwaab me jannat ke andar dekha, wah jannat me Zaroor daakhil hoga, goya hz umme saleem (ra) ko is tarah jannat me daakhil hone ki bashaarat mili, lekin is jannat me jis shakhs ka ek mahal hi dekha gaya ho unki ahmiyat aur qadr o manzilat ka andaaza lagaana koi mishkil nahin"
(fath ul baari)
aisi koi shakhsiyat bhi hz umar (ra) ki hi hai, chunke aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ne poocha ke ye kiska mahal hai ??
Toh aapko bataya gaya ke hz umar ka hai
aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam uske andar jaana chaah raahe they, magar hz umar (ra) ki ghairat yaad aa gayi isliye wahan se waapas ho gaye aur andar daakhil nahin hue,
ye baat jab hz umar (ra) ne suni toh hz abu hurairah ka bayan hai ke wah ro pade aur kahne lage
" aiy allah ke rasool ! Kya mujhe aapke liye bhi ghairat hogi"
do qareebi mu'allaqeen ka baaham ek dusre ke jazbaat ki qadar wa ehteraam ka ye aala namoona hai, ek taabe hai aur dusra muttabe hai, ek pairokaar Hai, toh dusra peshwa, ek azeem tareen shakhsiyat hai aur dusra uske muqaable me ek aam aadmi,
magar aham insaan, phir bhi koi rasool wa paighambar nahin....
Magar jo rasool hain wah bhi us aam , magar aham insaan ke ahsaasaat wa jazbaat ki qadr ka itna paas wa lihaaz rakh rahen hain, iske mutaallik amr me mudaakhalat gawaara nahin,,,
dusri taraf wah apne taalluq se azeem shakhsiyat ke ehteraam wa jazbaat se is qadr mutaassir ke aakhein ashq'baar aur saraaapa izhaar ke aapke liye bhala mujhe kya ghairat hogi, jo kuch mera hai wah haqeeqat me aap hi ka hai,
hz umar (ra) ke taalluq se dekha gaya , ye khwaab hamen unki ahmiyat bataane ke saath saath ye bhi sabaq deta hai ke
"baahimi taalluqaat ki mazbooti ka raaz ek dusre ke jazbaat ki qadr wa ehteraam me hai, khwaah wah ba'zaahir, fareeqain me se ek ka uske sabab kuch nuqsaan hi kyon na ho"
No comments:
Post a Comment