Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Wednesday, February 19, 2014

AURAT-- ISLAM AUR TAHZEEB KI KASH'MAKASH ME










Bismillahirrahmanirraheem




AURAT-- ISLAM AUR TAHZEEB KI KASH'MAKASH ME:




Allah taala ne tamaam bani nu e insaan ko ashraful makhlooqaat ka azaaza ata kiya,

usme bhi AURAT ko na'qaabil faraamosh azaazat ata kiye.. Is haisiyat se ke islam se pahle aurat haqeer (kamzor) samjhi jaati thi, mazloom thi, aur mu'aashre me uska kuch wazan na tha, zinda dafna di jaati thi,

islam ne AURAT ko buland maqaam wa martaba ata kiya, phir uske saath adal wa insaaf ka huqm aur uske huqooq bataaye, aur amal paira na hone par shakht azaab ki wa'eed sunaayi, fitri kamzori ka lihaz karte hue uske kaam ka daayerah mutaiyyan kiya...


Maujoodah daur ka tajurbah karen toh maalum hoga ke aurat ke goshe aur parde (hijab) ka kya haal hai,

na huqooq ul jawjiyat ka kuch parwah hai aur na hijaab ka kuch ehtemaam aur toh ye hai ke be'pardagi aur be'hayaai se ghoomne phirne toh tahzeeb (modern culture) ka naam diya ja raha hai..









Aur uper se ye naara baazi ke

" AURTON KO GHULAAMI KI ZANZEERON SE BAAHAR NIKAALO , AURAT KE SAATH INSAAF KARO, AURAT KI SALAAHIYAT SE FAAYEDA UTHAAO WAGERAH"


Is tarah ke naare dil ko bha jaane waale naare dar'asal apne peeche ek hi maqsad rakhte hain,

aurton ke liye islam ke jo daayera (boundary) mutayyan kiya hai, usko us daayere se baaher kar den,


isme kuch shak nahi ke dusmanaan e islam ne is darwaaze se acchhi khaasi kaamyaabi haasil kar li hai,

isme kuch ajeeb nahi ke islam ke dushmano ki in kaarwaahiyon ke shikaar ghair muslim mu'aashre hon,

tajjub aur afsos to is par hai ke hamaare wah mu'aashre , jahan " qaal allah " aur " qaal rasool " ki sadaayen hon , unke is fareb me aa jaayen...


Tareekh e islam se ye baat bilkul waazeh hai ke aurat ne islam ke ata'kardah daayere me rahte hue aise aise kaarnaame anjaam diye ke use dekh kar tahzeeb paraston ke ye matwaale bhi nahi kar sakte...











Aaj bhi mamlakut saudi arab me khwaateen ka islam ke ata'kardah daayere ko laazim pakadne ki mumaniyat ho ya mu'aashariyat har jagah acche nateeje saamne aa rahe hain, lihaaza aurton ke haq me islami huqooq faayede mand hain, islami huqood aurton ki shaan o shauqat ka baa'as hai,

isme shaq nahi ke haq wa baatil ki kash'makash se azl hai abd tak jaari rahegi, haq ke aalam bardaar hamesha se islam ke khilaaf uthne waale aag ka muqaabla karte aaye hai, aur kar rahe hain, uske ba'wajood dusman e islaam aise ghaat lagaaye baithe hain ke koi mauqa haath se jaane nahi dete,

bad'kismati se hamare bahut se kalima go bhai unke fareb me aagaye hain,

ma'aasiyat aur mu'aashariyat hoke harkaat wa saknaat ho ke tahzeeb tamaddun har cheez me un dushman e islam ke naqs e kadam par aankh band kiye chale ja rahe hai

" EUROPE ki ghulami pe razamand ho toh

mujh ko gila tujhse hai EUROPE se nahi hai "


Pyaare nabi Muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) kya hi sach farma gaye:

" tum zaroor apne se pahle logon ke taur tareeqe aur chaal chalan par beghair ki tardeed ke chaloge, hatta ke agar wah kisi goh ke suraakh me daakhil ho toh tum bhi daakhil ho jaaoge, sahaba kiram (ra) ne arz kiya: kya ye yahudi aur nasaara hain ?, aapne farmaya: haan ! "

(mutaffiq alaih )


dil ko ghamgeen kar dene waali baat ye hai ke islam ke naam lewa aur kalma go hazraat aurton ko sare bazaar la khada karne waalon, be'hayaai, be'pardagi, ki numaish karne waalon aur aurton ko fashion ki aad me khaazib nazar bana kar uske matak matak kar chalne ko tahzeeb nu ka naam dene waalo ki purzor taeed karne me mast aur magan nazar aate hain...


Isme do raaye nahi ke iske nataiz kis qadar bhayanak hain ke rozaana kitni asmatein lut rahi hain, gaaon (village) ho ya shaher har jagah asmat'jari, balaatkaar ke nit naye waaqeyaat ka zahoor roz Ka mamool ban chuke hain, iske elawa is " azaadi niswa (aurat)" ki tahreek se jo jurm, faahishaat wa hadsaat hote jaa rahe hain ek mustaqal mauzu ki haisiyat rakhte hain,

ab ghinaaoni surat haal ka tadraak yahi hai ke ISLAM ne jo daayerah khwateen ko ata kiya hai us daayere me usko rakhte hue har wah kaam isme liye jaayen jo uski tabiyat ke mawafiq hon... Warna apni aankhon ke saamne apne maa, bahno, aur bacchon ki izzat ka sarre bazaar nilaam hote dekhna laazmi hai,

isko allah taala ne surah taaha ayat no 124 me yun waazeh kiya hai

" aur jo shakhs meri yaad se ru'ghardaani karega wah duniya me pareshaan haal rahega aur qayamat ke din ham use andha uthaayenge"


waazeh rahe tahreek azaadi niswan (womens freedom) ki taareekh sirf 80 saal puraani hai,

dar'asal haqiqat iski ibtedaa 20 march 1919 ko egypt me hui, phir dekhte hi dekhte ye marz saare aalim e islam me phail gaya...


Is tahreek ka haqeeqi Target ye hain


1- be'hayaai ko saari duniya me aam karna

2- naujawaano ko iske fitne me uljhaaye rakhna

3- nayi nasal (new generation) ke saamne taareekh e islami aur salaf us saliheen ke hairat angez kaarnaamon par pardah daalna

4- aazaadi niswan ki naara baazi se be'hayaai ko mazboot karna...

Taake is raaste se aalam e islam ki takhreeb kaari ke zariye ba'aasaani ghulaami ki zanzeeron me jakda ja sake aur muslim abaadi ko deen se bezaar kar den,.....


Ulema e deen sheikh abdul aziz bin abdullah bin baaz (rh) farmate hain ke:-" bila'shak wa shubah yahud, musalmaano ko be'deen aur bad'akhlaaq banaane me koi kasar baaqi nahi chhod te, unke bahut se bade idaare hain jime se baaz tak unki rasaai ho chuki hai, aur baaz ki takmeel me hamesha kamar'bastah rahte hain, ye log ek taraf musalmano se quwwat aur aslaha se lais hokar jung karte hain toh dusri taraf unke afkaar wa khayaalaat me bigaad nihaayat Hi makkari aur chalaaki se karte hain"


(majallah al jamia tul islamia 59/ 1403H)


Yaqinan dushmanaan e islam ne islami tahzeeb wa tamaddun aur muhammadi islam ke muqaable me maghribi tahzeeb wa tamaddun aur subaayi islam ko laane ke liye tamaam aalam e kufr ke aashirwaad ke baad aasaan tareen raasta talaash kar liya hai , wah hai " AURAT KI ZAAT " kyon ke dushman e islam ye baat ba'khoobi jaante hain ke aurton ki durustgi me saare samaaj ki durustgi hai aur aurat ke bigaad me saare samaaj ki tabaahi hai, aur waise aurat fitri taur par nayi nayi cheezon ko qubool karne ki aadi hai, agarchah wah uske deen wa aabru ke khilaaf ho ,

sahih baat toh ye hai ke aurat daayera e islam me rahkar shaan wa shauqat ki mallika aur qaumon ki izzat ka baa'as hain, waise aurat ka maujoodah daur me islam ke ata kardah daayera me rahna bahut zaroori hai, sach kaha hai jisne bhi kaha hai

" yaqinan aurton ki taraf nazar Jamaaye hue mard un bhediyon ki tarah hain jo ghost ke tukde ko paane ke liye chakkar laga rahe hon "

" agar ye ghost un darindon se mahfooz na kar liya jaaye toh yaqinan be'ghair kisi chun chara ke wah usko hadap kar jaayenge "....




BE'HIJAABI KA NAARA DAR'ASAL YAHUDION KA WATEERAH:



Shuru'aati islam ka waqeya hai, abu aun ka bayaan hai:

" arab ki ek khaatoon 'bani qainuqa' ke muhalle me maal bechne le aayi, phir thodi der ke liye ek sunaar ke qareeb baith gayi, yahudion ka ek jamghat uski niqaab kusaayi(utarwaane) par tul gaya, magar wah baraabar inkaar karti rahi, itne me sunaar chupke se uske kapde ka kinaarah uski peeth se baandh diya, jab wah aurat wahan se jaane ke liye uth khadi hui toh uska satar ( private part) khul gaya jis par yahudi bahut zor se hasne lage, us aurat ne ek zor ki cheekh lagaayi, ye surat e haal dekh kar paas ke ek ba'ghairat muslim ne us sunaar ka qatal kar diya, Yahudion ne us musalman ko qatl kar diya, phir kya tha, musalmanon aur yahudion me tu tu main main shuru ho gayi,"


uske baad se aaj tak yahudi baraabar aurton ko islami qanoon se nikaalne ke liye bahut hi dil'kash aur dil'shoz naam dete aa rahen hain....


Aiy khatoon ne islam ! Tu in badmaashion ke changul me na phans, tu naujawaan mardon ki maa, aur honhaaron ki dars'gaah hai,

yaqinan jis cheez ki naarah baazi aur hangama aaraai ye log kar rahe hain, nihaayat hi khatarnaak harkatein hai..

Kisi ne kya khoob kaha hai:

" qasam ba'khuda haya baaqi na rahe toh zindagi be'gaar hai,

aisi zindagi me koi bhalaai nahi hai"



Aiy khatoon e islam ! Hamen malum hai ke aaj razail, fazail par ghaalib hain, magar kaan khol kar sun le umar jitni bhi ho baher'haal kam hi hai, ek na ek din duniya ko khairaabad kahna hai,


jis din aurat islam ke ata kardah nematon ko chhodkar in badmaashion ke daam fareb me Aa gayi us din se mardon ke saath be'jhijhak akhtalaat, maidaano, kaar'khaano, colleges, saahili ilaaqon (beaches) , parkon aur sare bazaar itni ruswaaiyyan hui ke tahatus sara tak ja pahunchi... (auzubillah)


is baat ka izhaar aalmi shohrat yaafta bahut si khwateen ne kiya hai ke:-" ham tahreek azaadi niswan ke changul me aise phanse ke na sharm baqi rahi na kuch haya! Hadd toh ye hai ke deen islam se bhi haath dho baithe, aiy meri bahno ! Tum ham se ibrat haasil karo, badmaashion aur yahud ke fareb me na aao " (allah tumhari hifaazat kare )


ab ham mukhtasar taur par un aurton ke aqwal ka zikr karenge jo akhtalaat mard'zan aur modern culture ke taweel tajurbe se ghuzarne ke baad dusri aurton ko dars-e- ibrat aur ek paigaam dena chahti hain ke islami hijab hamesha lazim pakden,, islami zindagi, tahzeeb par ba'khushi raazi hon wagerah,










ek muslim shayerah ne kaha:-" duniya ki sab se acchhi aurat wah Hai jo ghar ke kaam kaaj me masroof rahe , jab ghar me rahti hai toh ghar ki maalkin hai jiske huqm ko sab sar'aankhon par rakhte hain "

"sahi maano me aurat ka waqaar ghar me hai, bachhon ki tarbiyat karne aur shauhar ka ta'aawun karne me hai,"

" asal me aurat par zulm wah log karte hain jo aurton ko arsh se farsh par la khada kiye, jab ji chaaha unse lutf uthaya aur jab ji chaaha unko dhutkaar diya !

Afsos hai musalman agar ab bhi na jaage to........... !


Ek ghair muslim khaatoon likhti hai:-" hamare bacchon ka gharon me khidmaat ban kar rahna hazaar darjah bahtar aur kam nuqsaan ka ba'as hai usse ke wah kaarkhaano me unchi unchi naukriyon par rahen, jahan ladki unka ghulam hokar rahti hai aur aakhir me uska jeena doobhar ho jaata hai "


kaan khol kar sunlo!(muslim womans)


"Kitna accha hota ke hamare mumalik bhi muslim mumalik ki tarah saaf wa shafaaf hote, jahan izzat wa namoos ki misaal Qayem hai "


ek ameriki newspaper ki numaaya khatoon ka bayaan hai:-" mard'zan ke akhtalaat se ab bacho aur azaadi niswan (women freedom) ke naaron ko chhod do, pardah ke us daur ki taraf phir se palat jaao jisme aurton ke zariye qaumon ko urooj haasil huwa, ye tumhare liye ameriki, yahudi, aur isaayi tahzeeb (culture) aur tamaddun se bahut bahtar hai, kyunke hamne bahut tajurbah karke dekh liya, ameriki mua'shrah abaahiyat aur fahash ke rang barang manzireh pesh karne me apna saani nahi rakhta,"

"bila shaq wa shubah aazaadi niswan aur akhtalaat mard'zan(relation ship between male and females) ne kaarkhaano (working place), saahili maqaamaat (beaches), colleges, aabaahiyat khaano (clubs) me aisi ghinauni soorat e haal akhtiyaar kar li hai jiske tasawwur se kaleja(heart) muh ko aa jaata hai, aur main hawaas baakhta ho jaati hun "



ek mashoor singaar (make up) lagaane waali 'fabiyan' naami khatoon ne Bayaan diya ke::-" agar mujh par allah ka fazal wa karam na hota toh meri zindagi viraan ho jaati, kyonki maujoodah daur me insaan khwaahishaat ka ghulaam hai "


france is ek journalist khatoon me bayaan diya ke:-" maine arab ki muslim khatoon ko ba'izzat aur qaabil e ahteraam paaya hai, bar'khilaaf europi khwateen ke aur main arab ki khatoon ko badi khush'naseeb samjhti hun aur main use nasihat karti hun ke wah zulmat kadah aur fahaskaari ke markaz EUROPE ki taraf hargiz hargiz na dekhe "


america e ek filmi adakaarah (acteress) lambi mayusi ki zindagi guzaarne ke baad khud'khushi karte waqt un aurton ke naam jo cinema me amal wa dakhal ya kisi qism ka pesha akhtiyaar karne ki khwahish'mand hain ye paigham dete hue likhti hai:-" gharelu aur aaili zindagi haqeeqi sa'aadat mandi ka ba'as hai aur aurtein duniya ki zaahiri chamak damak par khush na hon, cinema me amal wa dakhal nihaayat hi shaqawat aur Bad'bakhti ka ba'as hai, lihaza koi khatoon cinema me na adna kaam ki khwahish'mand ho aur na adakaari (acting) ki "


ye mashriq(east) wa maghrib(west) ki khwateen ke chand qaabil ibrat bayanaat they jo tahreek azaadi niswan ka shikaar hui,

mazkoorah aurtein dusri tamaam aurton ke liye ibrat hai


toh aiy khatoon e islam ! Fitna wa khatrah me mubtela hone se pahle hoshiyar ho jaayen !!!


ALLAH TAALA BHOOLE BHATKE MARDON AUR AURTON KO AQL AUR DURUST RAAH SE HAMKANAAR KARE, AUR HAM SAB KO ZAAHIRI AUR BAATINI FITNO SE MAHFOOZ RAKHE........AMEEN

No comments:

Post a Comment