Bismillahirrahmanirraheem
INSAANI ZINDAGI ME ZABAAN KI AHMIYAT:
GHEEBAT KI SAZA-
Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jo shaks kisi musalman aadmi se ek luqma bhi khaale ( yani gheebat karke aur tohmat laga kar) toh allah taala usko utna hi jahannum se khilaayega, aur jo shaks kisi musalman aadmi ka ek kapda pahan le toh allah taala usko utna hi jahannum se pahnaayega, aur jo shakhs kisi aadmi ke riyaakaari aur propagandah ki jagah khada huwa toh allah taala usko qayamat ke din riyakaari aur propaganda ki jagah khada karega"
(abu dawood 5/195, baiheqi 6290)
GHEEBAT ROZA AUR NAMAZ KO BARBAAD KAR DETI HAI
Hz abdullah bin abbas (ra) kahte hain ke do aadmiyon ne johar ya asr ki namaz padhi aur wah dono rozadaar bhi they, Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne namaz padh li toh farmaya:-" tum dono dobara wuzu karo aur namaz padho aur aaj ka roza poora karlo Aur dusre din uski qaza karna,un dono ne poocha ke allah ke rasool kyun?Toh aapne farmaya:-" ke tumne falan ki gheebat ki hai "
( rawah baihaqi 6302)
GHEEBAT KARNE WAALON KE LIYE TAUBAH NAHI:
Hz abu saeed aur hz jabir (ra) kahte hain ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya ke:-" gheebat zina se bad'tar hai, logon ne pooch,-aiy allah ke rasool ye kaise ?
Aapne farmaya:-" aadmi zina karke tauba karta hai aur allah uski tauba qubool karta hai,"
aur ek riwayat me hai:-" tauba karta hai aur allah usko maaf kar deta hai aur gheebat karne waala us waqt tak maaf nahi kiya jaata jabtak wah maaf na kare jiski usne gheebat ki hai "
aur ek hz anas (ra) ki riwayat me hai ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" zaani ke liye tauba hai aur gheebat karne waale ke liye tauba ki gujaish nahi hai "
(baiheqi 6314)
BAD'GHUMAANI, GHEEBAT, JAASOOSI, AUR HASAD SE BACHO:
Hz abu hurairah (ra) farmate hain ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" bad'ghumaani se bachte raho isliye ke bad'ghumaani jhooti baad hai, aur logon ka aib na tatolo, aur jaasoosi na karo, aur na dhoka dene ke liye saude ka bhaao badhaao, aur na aapas me bughz rakho, aur na dusre ko tohmat lagaan, aur aiy allah ke bandon ! Aapas me bhai bane raho, "
(bukhari 2/188)
aur ek riwayat me hai ke:-" na aapas me laalchi bano"
(muslim 3/1985)
MUSALMAAN KI AABRU'REZI KARNA:
Hz saeed bin zaid (ra) Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se riwayat karte hain ke aapne farmaya:-" sabse bada sood musalmaan ki aabru'rezi karna hai "
( rawah abu dawood 5/198, baihaqi 6283)
GHEEBAT SE ROKNA ZAROORI HAI
hz anas (ra) Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se riwayat karte hain ke aapne farmaya:-" jis shakhs ke paas uske musalmaan bhai ki gheebat ki jaa rahi ho Aur wah uske madad ki taaqat rakhta hai aur uski madad ki toh allah taala uski wajah se duniya aur aakhirat me uski madad karega, aur agar taaqat rakhte hue madad nahi ki toh allah taala usko duniya aur aakhirat me uske saath mubtela kar dega"
( sharah as sunnah 13/107)
GHEEBAT SE ROKNA JAHANNUM SE AAZAADI HAASIL KARNA HAI:
Hz asma bint yazeed (ra) kahti hain ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya ke:-" jisne apne bhai ki izzat ki uske adam maujoodgi me mudafi'at ki ( yani gheebat karne se roka) toh allah taala ke zimma ye hoga ke usko jahannum se aazaad kar de "
(rawah baiheqi)
APNE BHAI KI IZZAT KI HIFAAZAT:
Hz abu darda (ra) kahte hain ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se suna farmate they ke:-" jo musalmaan apne bhai ki aabru ki hifaazat karega toh allah ke zimme ye hoga ke qayamat ke din usse jahannum ki aag ko hata dega, phir Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne ye aayat tilawat ki:-" aur ham par momino ki madad karna waajib hai"
(surah room ayat 47, rawah fi sharah sunnah 13/106)
MUSALMAANO KI IZZAT BACHAANA:
Hz jaabir (ra) se marwi hai ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jo musalmaan kisi musalmaan ko aisi jagah ruswa karta hai jahan uski izzat barbaad ki ja rahi ho aur uskh be'aabruyi ho rahi ho, toh allah taala usko aisi jagah ruswa karega jahan wah apni madad ka khwaaha hoga, aur jo musalmaan kisi musalmaan ki aisi jagah madad karega jahan uski be'aabruyi ho aur uski izzat barbaad ki ja rahi ho toh allah uski wahan madad karega jahan wah apni madad ka khawaaha hoga "
(rawah abu dawood 5/197, ahmad 4/30)
GHEEBAT KA KAFFARA:
Hz anas (ra) kahte hain ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" gheebat ka kaffara ye hai ke jiski tumne gheebat ki hai us Ke liye bakhshish talab karo, kaho,:-" aiy allah hamko aur usko bakhs de "
(miskaat 3/1366, baiheqi 3666)
MUSALMAANO PAR TOHMAT LAGAANE KI SAZA:
Hz mua'az bin anas (ra) kahte hain ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jisne kisi munaafiq se kisi momin ki hifaazat ki toh allah taala ek farishta bhejega jo qayamat ke din uske ghost ko jahannum se bachaayega, aur jisne kisi musalmaan ko buraayi se mutaham kiya jisse uski badnaami chahta ho, toh allah taala usko jahannum ke pul par rok lega yahan tak ke jo kuch usne kaha tha nikaalega"
( abu dawood 5/1965)
MUSALMAAN KE AIB KO CHHUPAANA
Hz uqba bin aamir (ra) kahte hain ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jisne kisi aib ko dekh kar chhupaaya wah us shakhs ki tarah hai jisne kisi zindah dargor ko zinda kiya ho"
(rawaah ahmad 4/147, 153)
MUSLIM KO KAAFIR AUR DUSHMAN E KHUDA MAT KAHO
Hz ibn umar (ra) kahte hain ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jo aadmi apne bhai ko, aiy kaafir, kahta hai to un dono me se ek zaroor kaafir hota hai"
(bukhari 7/97, muslim 1/79)
hz abu zar (ra) se marwi hai kahte hain ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jisne kisi ko kaafir ya dushman e khuda kah kar pukaara aur wah aisa nahi hai toh wah usi par laut aayega"
( muslim 1/80, ahmad 5/166)
'TOH' ME LAGNE KI MUMANIAT:
Hz zaid bin wahab (ra) kahte hain hz ibn masood (ra) ke paas ek aadmi laaya gaya toh kaha gaya ke ye falan hai, uski daardhi(beard) se sharaab tapak rahi hai, toh hz abdullah bin masood (ra) ne kaha ke:-" ham buraayi dhoondne se rok diye gaye hain, lekin agar koi cheez hamare liye zaahir ho jaaye toh ham us par mawakhizah karenge "
( abu dawood 5/200)
DILLAGI AUR MAZAAQ
Hz abu hurairah (ra) kahte hain ke:-" logon ne kaha Hai ke, aiy allah ke rasool aap hamare saath hansi mazaak karte hain, Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" magar main sachi hi kahta hun "
(tirmizi 199)
BACCHON SE HANSI MAZAAQ:
Hz anas (ra) kahte hain ke :-"Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ham se ghule mile rahte they, yahan tak ke mere chhote bhai se mazaaqatan kahte, aiy ameer ! nafeer ko kya kiya un (mere bhai ) ke paas ek nafeer tha (chidiya ka baccha ) , jisse wah khela karta tha wah marr gaya"
( bukhari 7/1002, muslim 2150)
NABI E AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM(PBUH) KA MAZAAQ:
Hz anas (ra) kahte hain ke :-" ek aadmi ne Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se sawaari talab ki, aapne farmaya:-" main tumko oontni k ek bacche par sawaar karaunga, us aadmi ne kaha:- main oontni ka baccha kya karunga ? Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-"oont bacche hi paida karte hain"
(tirmizi 1991)
Hz anas (ra) se marwi hai ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne unko zalaz nain ( do kaano waale) kah kar pukaara"
(abu dawood 5/272)
hz anas (ra) kahte hain ke:-" Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne ek boodhi aurat se kaha:- jannat me boodhi aurtein daakhil nahi hongi, toh budhiya ne kaha:- unka kya kasoor hai ? , budhiya us waqt qur'an padh rahi thi,
aapne usse kaha:- kya tumne qur'an me nahin padha:-" ham aurton ko nayi zindagi dekar baakarah bana denge "
( miskaat jild 3/ 1370, surah waqeyah 35, 36)
No comments:
Post a Comment