Bismillahirrahmanirraheem
INSAANI ZINDAGI ME ZABAAN KI AHMIYAT (PART-2):
NABI E AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) KE SAATH MAZAAQ
Hz auf bin malik (ra) kahte hain ke :-" maine ghazwa e tabuk me rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke paas aaya, aap sallalaho alaihi wasallam (pbuh) chamde (leather) ke ek khaime (camp) me tashreef farma they, maine salaam kiya, aapne jawab diya aur farmaya:- "andar aa jao !",
maine kaha:- kiya poora andar aa jaun ?
Aapne farmaya:- haan ! Poora hi andar aa jao, phir main andar gaya,"
hz usman bin aatiqa (ra) farmate hain ke:-" hz auf (ra) ne 'poora aa jaaun' khaimah chhota hone ki bina par kaha tha "
(abu dawood 3/272, ahmad 6/25,27)
ZABAAN SE TAQLEEF PAHUNCHAANE KA ANJAAM:
Hz abu hurairah (ra) kahte hain ke ek shakhs ne kaha:-" aiy allah ke rasool ! Falan aurat ke baare me zikr kiya jaata hai ke wah badi namaz padhne wali, roza rakhne aur Sadqah karne waali hai, elawa uske ke wah apni zabaan se apne padosion ko takleef pahunchaati hai,
aap rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:- "wah jahannami hai",
us shakhs ne kaha:- aiy allah ke rasool ! Falan aurat ke baare me zikr kiya jaata hai ke namaz, roza, aur sadqah bahut kam karti hai aur paneer ka tukda sadqah me deti hai, lekin apni zabaan se pados waalon ko taqleef nahi pahunchaati,
aapne farmaya:-" ye jannat me hai "
(rawah ahmad 2/990, baihaqi)
hz abu hurairah (ra) farmate hain ke rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" ba'khuda wah momin nahi ho sakta,
poocha gaya, aiy allah ke rasool kaun!, farmaya :- jiska padosi uski buraayi se mahfooz na rahe"
(bukhari 7/78, muslim)
hz anas (ra) se marwi hai kahte hain ke rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" wah shakhs jannat me nahi daakhil hoga jiska padosi uski buraayi se Mahfooz na ho "
( rawah muslim 68)
BHALAAI AUR BURAAI KARNE WAALE KI PAHCHAAN
Hz ibn masood (ra) kahte hain ke ek aadmi ne rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se poocha ke:-" aiy allah ke rasool main kaise jaanu ke maine accha ya bura kiya?
Toh rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jab apne padosi se suno ke tumko accha kahte hain toh tune accha kiya, aur jab apne padosi se suno tumko bura kahte hain toh tune bura kiya "
(rawah ibn majah 4223)
hz ibn abbas (ra) kahte hai ke maine rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se farmate hue suna:-" wah shakhs momin nahi jo aasu'dah rahta ho aur uska padosi uske bagal me bhooka rahta ho "
(rawah baiheqi 3/1391)
hz uqba bin aamir (ra) kahte hain ke rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" pahle do jhagadne waale qayamat ke din do padosi honge"
( rawah ahmad 4/151)
AADMI KO BURA HONE KE LIYE BADKAAR AUR BAKHEEL HONA KAAFI HAI:
Hz uqba bin aamir (ra) kahte hain ke rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" tumhare ye nasab kisi par aar nahi hain, tum sab aadam ki awlaad ho, barabar barabar kisi ko kisi par koi fazilat nahi, siwaaye deen wa taqwa ke, aadmi ke bura hone ke liye yahi kaafi hai ke wah bad'go, badkaar aur bakheel ho "
( ahmad 4/145,1582)
BHEDH AMAANAT HAI:
Hz jaabir bin abdullah (ra) se marwi hai ke rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jab aadmi baat kare, phir idhar udhar mutawajjoh ho to wah amaanat hai"
(rawah tirmizi 1959)
ALLAH TAALA HAM SABKO NEK AMAL KARNE KI TAUFEEQ DE......aur KISI BHI BAAT PAR AMAL KARNE SE PAHLE US BAAT KI TAHQEEQ KARNE KI SALAAHIYAT DE......AMEEN
No comments:
Post a Comment