Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Thursday, February 27, 2014

LAILATUL QADR







Bismillahirrahmanirraheem





LAILATUL QADR




Ramzan ke akhri ashre ki taaq raaton mese aik raat qdr ki hoti hai is raat ki ibadat hazaar mahino ki ibadat se afzal hai,chunke hadees me is raat ki shinakht nahi ki gai is liye himmati taur pr in paanch taaq raaton me se kisi aik raat ko qdr ki raat qaraar dena durust nahi

Bahot se log is waham me rehte hai ke shayad ramzaan ki 27wi raat hi lailatul qdr hai,isi liye masjid me charagan kiya jata hai,taraveeh me tilaavat kiye jaane waale quran mjeed ki taqmeel hi isi raat ki jati hai aur log gharon ko chhod kr masajid me aakr raat guzaarte hai aur fir masjid me aane walo me se ibadat karne waale kam aur khush gappon me masroof rahne waale log ziyada hote hai

Jab ki ye sab kuch shariat ki had se bahir hai,sab se pehli baat yeh hai ke is raat ki takhsees aur taeen krna hi durust nahi hai,kyonki ye paanch taaq raaton me se koi bhi ho sakti hai aur ye bhi mumkin hai ke is saal jo raat,qdr ki ho wah aaindah saal na ho,ya jo qdr ki raat guzashta saal thi wah is saal na ho,

Dusri cheez ye hai ke nafli ibadat masjid ki bajaye ghar me ada karna afzal wa oola hai,agar koi shakhs in paanch taaq raato me jaag kar allah ki ibadat karna chahta hai to wah masjid ki bajaaye ghar ko pasand kre

Elawah ye ke masjid me bajamat qyaam ka ehtemaam kiya gaya ho to fir masjid me bhi hazir hua ja sakta hai,is qayaam se maqsood masnoon qayaam hai na ke wah jo hamare yahan bhot si masajid me hota hai jise shabeena ka naam diya jaata hai


1-to shbeena padhne waale wahi log hote hai jo pehle taraweeh me masnoon qayaam ki tadaad puri kar chuke hote hai aur wah is dusre qayaam(shabeena)ka ehtamaam alag se karte hain
2-is qayaam shabeena me imaamat ka mansab sambhalne waale is raftaar se tilaawat karte hai ke quran majeed ke maane par ghaur karna to door ki baat hai,uske talaffuz aur huruf ki adaayegi ko samjhna hi mushkil hota hai,jab ke ye quran ke aadaab ke khilaaf hai,aur us par mastazaad ye ke in paanch taaq raato me ya kisi aik me ijtemaai dua ka ehtamaam bhi kiya jaata hai aur bahut se log mehaz is dua me shirkat ke liye masjid me chale aate hai aur unka maksad sirf apne matlab ki dua karaana hota hai,unko lailatul qdr ki azmat se kuch sarokaar hota hai na ibaadat se kuch gharz,is liye ye amr laazim hai ke insaan ramzaan ke aakhiri ashre ki taaq raato me lailatul qdr ko talaash kare aur bidaat wa khurafaat se door reh kar ibaadat me raat basar kre

Yaad rahe ! lailatul qdr ke baare me hadees me bataur e khaas uski alaamat bayaan nhi ki gai,is liye ye kehna ke is raat aasmaan par taaron ki chamak zada hoti hai,kutton ke bhokne ki awaaz nhi aati,suba hone par suraj tulu hota hai to us ki shuwaayen(rays) nahi hoti,baatil qaul hai,jiski daleel hadees me maujood nhi

No comments:

Post a Comment