Bismillahirrahmanirraheem
ROZE KE MUKHTASAR FAZAIL WA AHKAAM:
Ramzaan ul mubarak ka mahina allah ki taraf se uske ahle imaan bandon ke liye ek aisa besh'keemti atiya hai jo zabaani fuyooz wa barkaat aur illahi nematon ka saraapa marka aur mukhtalif nu e ibaadaton ka ek aalmi mausam bahaar hai
RAMZAN UL MUBARAK KE FAZAIL:
1- is mahine mubarak me allah taala ki nazil karda muqaddas kitab quraan qareem ka nuzool huwa hai..
Allah taala ka irshad hai
" hamne is kitab ko shhab e qadr me naazil ki hai"
(surah qadr)
2- allah ke rasool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka irshaad giraami hai:-" jab ramzan shareef ka mahina daakhil hota hai toh aasmaan ke tamaam darwaze khol diye jaate hain aur jahannum ke tamaam darwaje band kar diye jaate hain aur shaitaano ko qaid kar diya jaata hai "
(hadith)
3- ek dusri hadith me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne irshaad farmaya: - " saum (roza) aur qur'aan, qayamat ke din bande ke liye shafaat karenge, saum kahega:- aiy mere rabb maine isko din ke waqt me khaane aur tamaam shahwaani lazzaton ki takmeel se rok diya tha, pas iske baare me meri shafaat qubool farma "
(sahih, rawah ahmad)
ROZA KE AADAB AUR USKI SUNNATEIN:
1- SAHRI KHAANA:-- Allah ke rasool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka irshaad mubarak hai:-" sahri khaao kyonke sahri me barkat hai "
(hadith)
2- AFTAARI-- Chunanche sahih bukhari wa muslim me hai ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne irshaad farmaya:-" log hamesha khair o barkat me rahenge jab tak aftaar karne me ujlat aur jaldi karenge "
isi tarah nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke baare me aata hai ke:-" nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) salaat (namaz) se pahle rabat(ghadah khajooron) se aftaar farmate, agar rabat na hota toh chand adad khajooron se, Agar wah bhi na hota toh paani ki chand lappo se aftaar farmate "
( rawah tirmizi)
KASRAT SE DUWAON KA EHTEMAAM KARNA:
nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) Ka irshaad giraami hai:-" teen qism ke logon ki duwa kabhi radd nahin hoti, aftaar karte waqt roza daar ki dua, mansaf aur aadil imaam ki dua aur mazloom shakhs ki dua"
(rawah tirmizi)
nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) jab aftaar se faarig ho jaate to farmate:-" in logon ke liye saum todna jayez hai "
(rawah abu dawood, hasan)
MAREEZ AUR MUSAAFIR SHAKHS KE LIYE:
Albatta baad me un dino par kaza zaroori hai, allah taala ka farman hai:-" jo tum mese mareez ho ya safar par ho to dusre dino me ginti muqammal kare "
(surah baqarah)
lekin aisa mareez jiski shifa'yaabi ki koi ummeed na ho toh uski taraf se rozaana har roza ki ewaj me ek miskeen ko khaana khilaana mashru hai,
HAIZ AUR NIFAAS WAALI AURTON KE LIYE:
Un do qism ki aurton par bhi baad me in ayyaam ki kaza zaroori hai, kyonki ummul momineen hz aisha (ra) ki mutawaffiq alaih riwayat hai:-" hamen roza ke qaza ka huqm diya jaata aur namaz ke qaza ka huqm nahi diya jaata"
(mutawaffiq alaih)
HAMILA (PREGNENT) AUR DHOODH PILAANE WAALI AURTON KE LIYE:
Ba'shartah ke unhen apne nafs par ya bacchon par koi khauff aur andesha laa'haq ho toh aise haalat me unke liye mashru fidya ada karna hai,
chunanche hz ibn abbas (ra) se marwi hai ke unhone ek dhoodh pilaane waali ya hamal waali aurat ko dekha to nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" tu un logon mese hai jo roza ki taaqat nahi rakhte hain isliye tujh par fidya ( har roza ke badle ek miskeen ko khaana khilaana) hai, aur tujh par qaza nahi hai"
(sahih rawah dare kutni)
ROZA TODH DENE WAALE UMOOR:
Ye umoor do tarah ke hain jo roza ko todh dete hain aur sirf qaza ko waajib Karte hai , wah is tarah hain
1- jaan bhoojh kar khaana peena aur ciggarette wagerah karna (aise shakhs par fauran tauba karna waajib hai)
2-qaiy karna (ulti karna)... nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka irshaad hai:-" aur jisne qaiy kiya us par qaza waajib hai"
(rawaah haakim)
3- haiz....
Mahwaari aur nifaas ke khoon ka paaya jaama agarchah sooraj ghuroob hone se kuch deir pahle hi kyon na shuru huwa ho...
2- dusre wah umoor jo saum ko todh dete hain aur qaza aur kaffaara dono waajib kar dete hain
jamhoor ulema ke nazdeek sirf jama ( biwi ke saath mujaamat aur hambistari karna) hai, uska kaffara gardan aazaad karaana hai, uski taqat na ho toh do mahine ka roza rakhna, uski bhi taaqat na ho toh 60 miskeeno ko khaana khilaana hai...( aur baaz ulemaon ne is tarteeb par shart nahi lagayi)
WAH UMOOR JINSE ROZA FAASID NAHI HOTA:
1- Bhool se, ghalti se, ghayait darja majboori ya Kisi dabaao ke nateejah me kha ya pee lene se roza faasid nahi hota, chunanche aise shakhs par qaza hai aur na kaffara,
kyonke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka irshaad hai
" jo shakhs bhool gaya ke wah rozadaar hai aur usne kha ya pee liya toh wah apne roza ko muqammal kare.( yani use barkaraar rakhe) kyon ke allah ne use khilaaya aur pilaaya hai "
(mutawaffiq alaih)
isi tarah nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka irshad hai:-" beshak allah taala ne meri ummat se ghalti, bhool chook aur majboorion ke aalam me kiye gaye gunaah maaf kar diya hai "
(sahih rawah daare kutni)
2- begair qasad wa iraada qaiy aa jaana...
nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka irshad hai:-" jis shakhs ko az khud qaiy aa jaaye toh us par qaza nahi "
(haakim)
3- boodha mard ho ya jawaan, uska apni biwi ka bosa wa kinaar karna, bashartah wah jama aur mujaamat ka baa'as na bane...
Is babat hz aisha (ra) se riwayat hai wah farmati hain:-" allah ke rasool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) roza ki haalat me bos wa kinaar karte aur saum ki haalat me lams farmate ( badan ko chhoote) they, aur aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) tum logon me sabse ziyaadah apni sharmgaah ki hifaazat par qaadir they"
(mutawaffiq alaih)
4- din ke waqt me ahtelaam ho jaana, agarchah mani baaher nikal aaye
5- mani ka khurooj yani be'ghair kisi qasad wa iraadah ke uska baahar aa jaana jaise soch aur ghaur fikr karne par mani ka nikal aana toh usse bhi roza faasid nahi hota
6- janabat, haiz, nifaas ke ghusl ko raat se le kar tulu e fajr ( subah saadik ke tulu hone) tak maukhar kar dena, albatta namaz ke liye ghusl me jaldi karna waajib hai...
7- kulli karna aur naak me paani daalna, basharte ke wah mubalagah ke saath na ho, jaisa ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne ek sahaba se farmaya:-" wuzu ko poora karo aur ungaliyon ke darmiyaan khilaal aur naak me paani daalte waqt mubaalga (zor) karo, is shart ke saath ke tum roza se na ho "
(sunan)
8- kisi bhi waqt miswaq karna aur usi tarah tooth brush aur paste istemal karna, basharteh ke wah pet(stomach) me daakhil na ho...
9-khaane ka zaayeqa chakhna, is shart ke saath ke uski wajah se pet ke andar kuch daakhil na hone paaye
10- aankh wa kaan me surma wa drop ka istemal karna, agarchah wah halaq me mahsoos ho raha ho.
11- injection istemal karna, basharte ke wah gizaaiyat ka sabab na bane aur agar wah pet me pahunch jaaye toh wah khilaaf aadat ke huqm me shumaar hoga...
12- un dawaon ka istemal karna jo pet me daakhil na hon, jaise marham, ya aankhon ke liye surma, aur zukham ke liye inhaler ka istemal karna
13- daant nikaalne ya naak aur muh ya kisi aur jagah se khoon nikalne se bhi roza faasid nahi hota..
Aakhir me dua hai ke allah taala ham sab ko sahih maano me deen ko samjhne aur uspar kitab wa sunnat ki roshni me amal karne ki taufeeq bakhshe.........ameen
No comments:
Post a Comment