Bismillahirrahmanirraheem
MUQALLIDON KI SEENAY PER HATH BANDHNAY WALI AHADEES PER HAMLA OR ZEEF HADEES PAISH KERNA
YE POST US KA RAD HAI JIS MAIN HANAFION KI NAAF SE NEECHAY WALI JITNE AHADEES PAISH KI HAIN UN KI TAHQEEQ HAI OR UMEED HAI K AINDA WO ITNE JURAT NAI KARAIN GAY K RASOOLULLAH SALLALAHO ALYHE WASALAM KI AHADEES PER HAMLA KARAIN…
ABI HADEES K MOHAFIZ IS ZAMEEN PER ALLAH K HUKM SE AHLE HADEES ZINDA HAIN
Namaz main hath seenay per bandhna sahih ahadees ki roshni main :-
Hazoor sallallaho aly he wasalm se motawater aya hai namaz main apna dayan hath bayen hath per rakhtay thay
(nazam ul mutanasir fil ahadees motawatir page 98)
Is k bar aks imam malik k muqallid malkion ki ghair mustanad kitaB
“al madona“
main likha hai k
“ imam malik ne namaz main hath bandhnay k baray main kaha “mujy farz namaz main is ka sabot nai mila wo isay makroo samjtay thay agar nawafil main qayam lamba ho to hath bandhnay man koi harj nai is tarah wo apnay ap ko madad day sakta hai
(madona 1/72)
Madona ek ghair mustanad kitab hai agar hanafi hazrat isko sahih samjte hain to zara madona ki sanad imam malik tak sahih sabit ker dain?
warna unho ne imam malik per jhot bola jab k imam malik apne mustanad kitab “ mota imam malik “ main hadees laye hain
hz sahal bin saad wali
“logon ko hukm diya jata tha k admi apna dayan hath apni bayen zara per rakhay “
(1/158)
Or is hadees ko imam malik ne ye baab bandh ker laye hain ankhain khol ker muqallid hazrat parh lain
“baab waza al yadain ahdahuma alal akhira fi salat “
Or sabot le lo Ibne abdul bar ne kaha
“ibne nafay , abdul malik or motaraf ne malik se riwayat kiya hai k unho ne farmaya :farz or nafal main dayan hath bayen hath per rakhna chahiye is main koi harj nai “
ibne abdul bar ne kaha :or in imam malik k madni shagirdon ka yahe qoal hai
(al astazkar 2/291)
Naaf k neeche hath bandhnay ki ahadees ki tahqeeq :-
Hanafi hazrat ne musanaf ibne sheba ki aik hadees paish ki
"hz Wael bin Hajar rz Farmate hain ke Maine Rasoolulla h SAWS ko dekha ke Aap SAWS ne Namaz me apna daaya hath baayein par Naaf ke neeche rakha"
[Musannaf Ibne Abi Shaiba 1/390]
To hamaray mohtram hanafi hazraat musanaf ibne abi sheba ka jo nuskha 1966 hyderabad hind main taba hoa tha is main is hadees ka ikhta taam
“ala shamalihe fi salat“
per hoa is main
“tahatu sara ka lafz kahin mojood bhe nai Musanaf k qadeem nuskhon main bhe ye alfaz mojood nai alama Muhammad hayat sindhi ki gawahi
“oon ul mabood “ (2/ 462) main sabat hai k unhone musanaf k nuskhay main ye lafz nai paye
Even k ap k anwar shah kashmiri bhe farmatay hain Main ne musanaf k teen nuskhay dehkhe hain un main se aik nuskhay main bhe ye alfaz nai
(faiz ul bari 2/267)
Dosra shahid Ye hadees imam wakeek wastay musnad ahmed (4/316) sharah suna (3/30) sunan dar qutni (1/ 286) main mojood hain
lakin “tahtu sara“ k alfaz kisi riwayat main mojood nai
Sunan nisai or sunan darqutni main Abdullah bin Mubarak ne wakee ki motabait ki hai lekin ye alfaz to in ki riwayat main bhe majood nai
Abu naeem al fazal bin dakeen ne yahe hadees moosa bin umair se
“ tahtu sara “ k beghair riwayat ki hai
(al marafatu tareekh lil farsi 3/121 asuan kubra 2/28 , al moajam al kabeer lil tibrani 9/66 , tahzeeb ul kamal lil mazi 18/499 )
Agar ye hadees mojeed hote to muqtadamen e hanfia is se bay khabar na hotay jab k tahavi ibne turkamani or hamam in hanfion ne is ka zikr tak nai kia !!!!
Is liye ap deobandi hazrat ko chahiye k musanaf k ab her nuskhay main btayen k iski khasosiat ye hai k
“ IS MAIN AISE ALFAZ MAIN HAIN JO IBNE IBE SHEBA KO PATA HE NAI CHALA BALKAY HUM AALL E TAQLEED NE EJAAD KIYE HAIN ! “
Ye alfaz qasim bin qatlo bagha hanfi
( kazab / qala al baqai anazar alzoo al lamay 6/186 )
ne pehli martaba ye alfaz ghalat fehmi ya kazab bayani ki waja se musanaf ki taraf mansoob ker diye jis ka deobandi hazrat ne khob faida uthaya khair ALLAh in ko hidayat day!!
Hassan mauvia deobandi sahib is k ilawa jo ap ne nuskhay likhay hain wo zara sabit to ker dain pehlay !!!!
Copy paste kerna her waqt ache bat nai ilm bhe hasil ker lain waisay khair muqalad hain ilm ka ap se kya kaam !!
Dosri riwayat jo ap ne paish ki or ALHAMDULIL AH khud he apne us post k neechay likh dia
“zaeef“
Ap k alfaz ye hain apni post per bhe dekh lena
"Ali raz. Se rivayat hai ke Namaz ki Sunnat ye hai ke daaya hath baaye par rakh kar Naaf ke neeche rakhein."
[Ibne Abi Shaiba 1/301 ; Musnade Ahmed 1/110 ; Abu Dawood pg1279 , hadis756 ] Zaeef.
Is k ilawa ye aik or riwayat abu dawood ki hazrat abu huraira r.a wali bhe ap ne likhi or ALHAMDULIL AH khud he man lia k ye zaeef hai is liye apni post k neechay likh dia zara check kerna
"Abu Huraira rz. Ne kaha Hath ko Hath par Namaz me Naaf k neeche rakha jaye."
[Abu Dawood pg1279 , hadis758 ] Zaeef
Ap ne khud he apni riwayat ko zaeef keh dia ab main kya karun ???
Khair in riwayat ka daroomadar abdur rehman ishaq al koofi per hai Is ko mandarja zail iema ne zaeef kaha hai
Abu zara arazi (jarah o tadeel 5/ 213)
Abu hatim razi ( jarah o tadeel 5 /213 )
Ibne khuzaima (kitab o toheed page 220 )
Ibne moeen (jarah o tadeel 5/ 213 ,
tareekh ibne moeen 1559 , 3070 )
Ahmed bin hanbal ( kitab uz zufa lil bukhari 203 , tareekh ul kabeer5 /259 )
Bukhari (al alal tirmazi 1/227)
Is k ilawa bhe or iema ne is ko zaeef kaha hai ……..
Phr ap ne aik tabi ka qoal paish kia jo ye hai
"Al Hajjaj bin Hisan raz. Farmate hain: Maine Abu Majlaz rah. Se suna (Raavi kehte h) Maine unse daryaft kiya ke (Rasoolull ah SAWS) hatho ko kaise rakhte the toh Farmaya: Wo apne daaye hath ke androoni hisse ko apne baayein hath ki hatheli ke Zahiri hisse par rakhte the aur in dono ko Naaf se neeche rakh lete the."
[Ibne Abi Shaiba 1/391
Ap k nazdeek imam abu hanifa ka qoal hujat hai is k ilawa kisi ka qoal hujat nai to ye kahan se ban gaya ????
Kya in ki taqleed shoroo ker de ? ??
Abu tabi ka ye qoal hazorr sal lal la ho aly he wasalm ki marfoo hadees k khilaf hai jis main seenay ka zikr aya hai
(musnad ahmed )
abu muljlaz ka ye qoal dosray tabi r.h k qoal k khilaf hai jo farmatay hain nabi sal lal la ho aly he wasalam namaz main seenay per hath bandhtay thay
( abu dawood 579 )
Hz saeed bin jubair r.a farmatay hain namaz main naaf se oper hath bandho lihaza mujlaz ka qoal saeed bin jubair tabi k qoal k bhe khilaf hai
Ab ya karaigay ap?
hazoor (sws) ki sahih hadees k samnay tabaeen k aqwal ko lena ap ka kam hai hamara nai k hum hadees ko thokra dain aik imam k liye ALLAH bachaye is kufr se Or ap hanfi in donon qoal k bar aks karte hain zara ap btayen gay k ap ki ortain seenay per hath q bandhte hain hath to naaf k neechay bandhnay chahiye na
“ kya ye khula tazad nai !
“Phr ap ne ibraheem nakhi ka qoal paish kia jo k ye hai
"Ibrahim Naqi'i rah. Ne farmaya ke Apna Daaya hath baayein par Naaf ke neeche rakhe."
[Ibne Abi Shaiba 1/390 ]
To bhai ab ap hanfi se ibrahimi ho gaye wah g….
in tabi ka qoal hujat kab se ban gaya
khair Is asar main rabee rawi ghair motayan hai agar is se murad rabee bin sabeh hai to wo to zeef hai tamam mohadeesen k nazdeek jarah o tadeel ki kitabain khol k dekh lo
Phr ap ne ye asar paish kia
"Anas raz. Ne farmaya: 3 batein sab Nabiyo ke aqlaq me hain: .
i. Jald Iftar karna,
ii. Sehri me Taqeer karna aur
iii. Namaz me Daaya hath baaye par Zeir Naaf rakhna."
[Bahawala Ibne Hazam v4/113 ]
To bhai is ka jaiza to laylain q k apni zindagi barbad kerte o Is riwayat main sayeed bin zarbi al basri al abdani zaeef rawi hai
(al khalafiat lil behqi page 37 )
mukhtasar al kahalafiat (1/342)
Hafiz ibne hajar farmatay hain mukar ul hadees
( taqreeb 2304 )
AP NE JO SEENAY PER HATH BANDHNAY WALI RIWAYAT PER HAMLA KIA HAI TO MAIN US KI TAHQEEQ OR US JAWAB BHE INSHallaH JALD IS GROUP MAIN DAY DON GA UMEED HAI K AP SACH DEKH KER SEEDHE RASTAY PER A JAYEN AP K PAS NAAF K NEECHAY HATH BANDHNAY KI AIK SAHIH RIWAYAT NAI KHUD SOCHAIN !!!!!
No comments:
Post a Comment