Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Tuesday, February 18, 2014

Naaf Ke Neeche Hath Bandhne Wali Hadith Zaeef






BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM




hazrat Ali rz aur zere naaf haath bandhne wali riwayat

Hazrat ali raz ki ye riwayat ke sunnat ye hai k hatheli ko hatheli par zere naaf rakha jaye
(abu dawud, H. 756)


IS RIWAYAT K ZAEEF HONE KI DALAAIL HAWALO K SAATH:

iski sanad me ZIYAD BIN ZAID RAWI MAJHOOL HAI,jaisa k
- ABU HATIM NE (JARAH WA TADIL J. 3, PAGE 532 aur TEHZEEB J. 3, PAGE 369) AUR
- ALLAMA KHAJARJI NE (KHULASA J. 1 P. 344) ME
- ALLAMA ZEHBI NE (MEEZAN AITEDAL J. 2, PAGE 89) ME
- HAFIZ IBN HAJAR NE (TAQREEB PAGE 110) ME SARAHAT KI HAI.

aur ziyad se riwayat karne wala, abdur rahman bin ishaaq koofi rawi hai, ye bil-ittefaaq ZAEEF HAI,
ALLAMA IBN HUMAM AUR ALLAMA HALBI HANAFI FARMATE HAIN"
"YA
NI IS RWIAYAT K ZAEEF HONE PAR MOHADDISIN KIRAM KA ITTEFAQ HAI KYUNKI ABDUR RAHMAN ISHAQ KI RIWAYAT SE MARWI HAI AUR IS KE ZAEEF HONE PAR AIMA JARAH WA TADEEL MUTTAFIQ HAIN.
(FATHEUL QADIR J. 1, PAGE 249, AUR MUSTAMLI PAGE 301)

ISKE RAWI ABDUR RAHMAN ISHAQ KO
-IMAM AHMED RA. FARMATE HIAN ZAEEF AUR MUNKIRUL HADIS HAI,
-IMAM IBN MUIN AUR IMAM BUKHARI NE feeh nazar aur
-IMAM ABU ZARA'A NE munkirul hadis AUR
-IBN KHUZAIMA NE KAHA KE ISKI MARWIYAT SE AHTEJAJ NA KIYA JAYE
-ALLAMA ZEHBI AUR HAFIZ IBN HAJAR NE ZAEEF QARAR DIYA.
(TAHZIBUL TAHZIB J. 6, PAGE 137, aur MEEZAN AITEDAL J. 2 PAGE 548, aur TAREEK KABIR J. 3, PAGE 259, aur TAQREEBU PAGE 198)

aur ............
-IMAM BEHEQI NE (SANAN KUBRA J. 2 PAGE 31) ME IS RIWAYAT KO ZAEEF QARAR DIYA HAI.
-DEOBANDI MAKTAB FIKR ME SE MAULANA ABDUL HAI LAKHNAWI NE (AS SA'AYA J. 2, PAGE 156) ME aur inke shagird
-ALLAMA NEMWI NE (AT TALEEQUL HASAN PAGE 91) ME
-MAULANA KHALIL AHMED SAHARANPUR NE (BAZL MAJHUD J. 2, PAGE 23) ME
-ALLAMA SHABBIR AHMED USMANI NE (FATEH AL-MAHLUM J. 2, PAGE 40) ME
-MAULANA MOHAMMED YUSUF BANORI NE (MAARIFUS SANAN J. 2, PAGE 444) ME
-MAULANA TAQI USMANI NE (DARS TIRMIZI J. 2, PAGE 24) ME
-AUR MOLWI ABDUL QAYUM HAQQANI NE (TAUZEE SUNAN J. 1 PAGE 556) ME

IN SAARE ULEMANO NE IS RIWAYAT KO ZAEEF QARAR DIYA HAI

No comments:

Post a Comment