Bismillahirrahmanirraheem
AZDAWAAJ (MARRIED LIFE) KI DAHLEEZ PAR:
LAYEQ SAATHI KA INTEKHAAB:
Rishta Jauziyat Ke Awwaleen Masail Me Aham Masla Layez Aur Nek Khawind (Shauhar) Ya Biwi Ka Intekhaab (Chunaav) Hai,
Is Maamle Me Kisi Bhi Tarah Ki Jald'baazi Wa Be'ahtiyaati Karni Aur Maal Wa Jamaal Ki Hars Ki Wajah Se Tarah Tarah Ki Mushkilaat Aur Pechedgion Ka Ba'as Hoti Hai,
Aur Zindagi Ka Haqeeqi Ins Wa Suqoon Tabaah Ho Jaata Hai,
Shariat Islaamiyah Ne Azdawaaji Zindagi Ke Pech Wa Kham Ko Saamne Rakhte Hue Zindagi Ka Saathi Ikhtiyaar Karne Me Deen'daari, Khush'akhlaaqi, Aur Iffat Ko Meyaar Qaraar Diya Hai,
In Baaton Ke Elaawah Aran Wa Ajam (Non Arab) Ka Tafazil, Rang (Color), Nasab (Caste) Par Fakhr, Maaldaari Wa Faqeeri ; Zaat Biraadari Ka Farq Wagerah Har Qism Ki Doi Ka Aitbaar, Amar Jaahiliyat Aur Khilaaf Shariat Hai,
Allah Taala Ke Nazdeek Izzat Wa Sharf Ki Koi Cheez Hai Toh Wah Deen'daari Wa Nek O Kaari Hai,
Bas Is Liye Rishta Qayem Karne Me Aur Cheezon Ka Aitbaar Ghalat Hai,
Allah Tala Ka Irshaad Hai
"Allah Ke Yahan Ziyada Mu'azziz Wah Hai Jo Neki'kaari Me Bada Ho"
(Surah Hujraat)
Dusri Aayat Me Irshaad Hai
"Tum Me Jo Ghair Shadi Shuda Ya Bewa Wa Laundi Hon Aur Tumhare Ghulaam Laundion Me Jo Nek hon Unke Nikaah Kar Do"
(Surah Noor)
Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Irshaad Hai
"Jab Koi Deen'daar Aur Pasandeedah Akhlaaq Tumhare Paas Nikaah Ka Paighaam Bheje Toh Usse Rishta Nikah Qayem Kar Lo, Agar Aisa Nahin Karoge Toh Zameen Me Bada Fitna Wa Fasaad Hoga"
(Tirmizi)
Dusri Hadith Me Irshaad Hai
"4 Cheezon Ke Sabab Aurton Se Nikaah Kiya Jaata Hai, Maal Ke Sabab, Khaandaan Ke Sabab, Deen Ke Sabab Aur Jamaal (Khoobsoorti) Ke Sabab, Toh Tum Deen'daar Aurat Ke Saath Kaamyaab Ho Warna Tumhare Haath Khaak Aalood Honge"
(Bukhari Wa Muslim)
Baaz Ulema Ne Nek Shauhar Ya Biwi Akhtiyaar Karne Se Ye Naseehatein Zikr Ki Hain
1- (Ladke Ya) Ladki Ke Mutaallik Pahle Ye Daryaafat Na Karo Ke Kis Madarse Ya College Me Usne Taaleem Paayi Hai, Balke Pahle Ye Malum Karo Ke Kis Ghar Me Uski Tarbiyat Hui
2- Nek Maa Ki Aulaad Se Shadi Karo
3- Rishta Jauziyat, Zindagi Basar Karne Ki Company Hai Lihaaza Apni Ya Apne Partner Aise ShaKhs Ko Pasand Karo Jo Tumhare Akhlaaq Wa Aadaat (Habit) Aur Tabiyat Ke Mawafiq Ho...
To Be Continued...
No comments:
Post a Comment