Bismillahirrahmanirraheem
BAD'KAAR SE NIKAAH:
Islam Me Zina Kabeera Gunaahon Me Se Ek Bada Gunaah Aur Intehaayi Bura Aur Ganda Jurm Hai, Usse Insaani Mu'aashre Me Kharaabi Aur Khaandani Sharf Wa Izzar Aur Nasli Sehat Ki Barbaadi Ke Saath Jismaani Bimaarion Aur Khudaai Azaabon Ka Silsila Shuru Ho Jaata Hai,
Nasal Insaani Ki Falaah Wa Baqa Is Baat Par Mauqoof Hai Ke Is Gande Fa'al Ko Qatai Taur Par Haraam Qaraar Dekar Paak Wa Saaleh Rishta Qayem Karne Ka Huqm Diya Jaaye, Aur Bad'kaar Mard Wa Aurat Ko Paak'baazon Se Rishta Qayem Karne Ke Laayeq Na Samjha Jaaye, Isliye Quraan Majeed Me Saaf Elaan Kar Diya Gaya Hai
" Zina'kaar Mard Nikah Nahin Karna Magar Zina'kaar Ye Shirk Waali Aurat Se Aur Zina'kaar Aurat Se Nikaah Nahin Karta Magar Zina'kaar Ya Mushrik Mard, Ye Imaan Waalon Par Haraam Kar Diya Gaya Hai"
(Surah Noor)
Imam Ibn Kathir Ne "Wa Hurrimu Zaalika Alal Mumineen"
Ki Tafseer Me Farmaya Hai Ke
"Zina Karna Ya Karaana Aur Badkaar mardon Aur Aurron Se Rishta Karna Haram Hai"
Imam Ahmad (Rh) Ne Is Ayat Se Istadlal Kiya Hai Ke
"Paak Daaman Mard Ka Nikaah Badkaar Aurat Se Aur Pak Daman Aurat Ka Nikaah Badkaar Mard Se Sahih Nahin Hoga Jab Tak Ke Badkaari Se Tauba Na Kar Lein"
Ek Riwaayat Me Hai Ke Hz Murshid Bin Murshid Ne Annaaq Naami Zina'kaar Aurat Se Jiske Saath Jamaana E Jaahiliyat Me Unka Taalluq Bhi Tha, Shadi Karne Ke Liye Rasoollullah (Sws) Se Ijazat Talab Ki,
Aapne Aaraaz (Mana) Farmaya Yahan Tak Ke Ye Aayat Naazil Hui Aapne Ye Aayat Suna'kar Farmaya
"Usse Nikaah Na Karo"
(Abu Dawood , Tirmizi)
No comments:
Post a Comment