Islam- The Religion Of Peace

Islam- The Religion Of Peace

Sunday, March 2, 2014

NIKAH KE LIYE LADKE WA LADKI KO DEKH LENA ME KOI HARZ NAHIN BALKE BAHTAR HAI:


.Bismillahirrahmanirraheem

 


NIKAH KE LIYE LADKE WA LADKI KO DEKH LENA ME KOI HARZ NAHIN BALKE BAHTAR HAI:

Islam Me Ye baat Shakt Mamnu (Mana) Hai Ke Koi Mard Kisi Ajnabi Aurat Par Aur Koi Aurat Kisi Ajnabi Mard Par Nigaah Daale Lekin Jab Rishta Qayem Ke Liye Paighaam Dena Ho Toh Shari'at Ka Ye Huqm Hai Ke Mard Aur Aurat Ek Dusre Ko Dekh Len,

Chunanche Hadith Me Hai

Hz Abu Hurairah (Ra) Ne Kaha Ke Main Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Saath Tha , Aapki Khidmat Me Ek Shakhs Haazir Hua Aur Bataaya Ke Usne Ansaar Ki Ek Khatoon Se Nikaah Kar Liya Hai, Aapne Farmaya Ke

"Tumne Use Dekha Hai ? Kaha Nahin,

Aapne Huqm Diya Ke- Use Dekh Lo Kyonki Ansaar Ki Aankhon Me Kuch Nuks Hota Hai"

(Muslim ,Nisaai)

Dusri Hadith Me Hai

" Jab Koi Shakhs Kisi Aurat Ko Nikaah Ka Paighaam De Aur Nikaah Ke Liye Ba'qadr Zaroorat Usko Dekhna Mumkin Ho Toh Dekh Le"

(Abu Dawood, Ibn Majah)

Note: Hadithon Me Sirh Makhtoobah Aurat Ko Dekhne Ka Zikr Hai Lekin Ye Huqm Paighaam Dene Waale Mard Ko Bhi Shamil Hai Yani Aurat Ko Bhi Chahiye Ke Apne Mangetar Ko Dekh Le,

Kyonki Uski Jo Illat Bayan Ki Gayi Hai Wah Dono Ke Ek Dusre Ko Dekhne Par Dalaalat Karti Hai,

Chunanche Rasoollullah (Sws) Ka Irshad Hai

"Ek Dusre Ko Dekh Kar Apni Pasand Se Rishta Karna Dono Ke Darmiyaan Daimi Ulfat Wa Muhabbat Ka Ba'as Hota Hai"

(Tirmizi , Nisaai),

RASM'PARASTI AUR TARAQQI PASANDI:

Ladki Dekhne Aur Dikhaane Ke Silsile Me Baaz Gharaano Ka Haal Ye hai Ke Rasm O Riwaaj Ki Pairwi Me Paighaam Dene Waale Ko Apni Ladki Dikhaana Pasand Nahin Karte,

Unke Nazdeek Ye Bahut Hi Sharm Wa Aar Ki Baat Hai,

Iske Muqable Baaz Taraqqi Pasand Photo Bhejne Ki Rasm Ijaad Kar Liye Hain,

Ye Dono Rasmein Shari'at Ke Sareehi Khilaaf Hain Aur Inke Nataij Bhi Kharaab Hain,

Dusri Tarah Maghribi Shaidaayyon Ka Ye Aalam Hai Ke Paighaam Dene Aur Dekhne Ke Bahaane Aqad Nikaah Se Pahle Hi Dono Ki Azaadaana Mulaaqaatein Hoti Hain Aur Be'ghair Kisi Nigraan Ke Ek Saath Bazaaron Me Tafreeh'gaahon Ki Sair Hoti Hai,

Taajub Hai Un Waalidain Par Jo Apni Aulaadon Ko Is Tarah Ki Na'jayez Azaadi Dekar Bad'akhlaaqion Aur Haya'soz Harkaton Ka MaUqa Dete Hain Aur Haram Akhtalaat Wa Mulaqaat Ko Mangetaron Ke Darmiyaan Munaasibat Wa Muhabbat Maalum Karne Ka Zariya Samjhte Hain,

Islam Ne Jis Tarah Zina Wa Badkaari Ko Haram Qaraar Diya Hai Usi Tarah Unke Wasail Wa Zaraaye Par Bhi Shakht Bandish Lagaayi Hai....

No comments:

Post a Comment